Logo

O Dewanay larkay!

O Dewanay larkay!
zara thaam lay mera haath
kis ko dhoond raha hai?
mein doon gee na tera saath!

O Dewanay larkay!
mujhay karnay day mehsoos
tujh ko apnay andar
jab tu hoga udaas
mein banoo gee teri aaas!

O Dewanay larkay!
ik khawahish dil kee
jo tujhko hai batanee hee
jab tu marna chahay
mein wajh banoo teray jeenay kee!


Posted on 8/31/2007 8:54:23 AM

wah wah
     Apne Hathon Ki Lakeeron Mai Basa Le Mujh Ko
Mai Hoon Tera, Tu Naseeb Apna Bana Le Mujh Ko

Mai Jo Kaanta Hoon To Chal Mujh Se Bacha Kar Daman
Mai Hoon agar Phool To Baloh Mai Saja Le Mujh Ko

Mai Khule Dar K Kisi Ghar Ka Hoon Samaan Pyaare
Tu Dabey Pao Kabhi Aa K Chura Le Mujh Ko

Tark-e-Ulfat Ki Qasam B Koi Hoti Hai Qassam
Tu Kabhi Yaad To Kar Bhoolney Waley Mujh Ko

Mujh Se Tu Pochney Aaya Hai Wafa K Mainey
Yeh Teri Saada Dili Maar Na Daaley Mujh Ko

Kal Ki Baat Aur Hai Mai Ab Sa Raho Na Raho
Jitna Jee Chahey Tera. Aaj Sata Le Mujh Ko

Mai Khud Ko Baant Na Daalun Kahin Daman Daman
Kar Diya Tu Ne Agar Mere Hawalay Mujh Ko

Baada Phir Baada Hai Main Zehr bhi Pee Jaon Qateel
Shart Ye hai koi Bhaho mein Sambhaley Mujh ko...

Posted on 8/31/2007 10:28:26 AM

nice one both fo you

Posted on 8/31/2007 9:18:06 PM

^dewaja^:
O Dewanay larkay!
zara thaam lay mera haath
kis ko dhoond raha hai?
mein doon gee na tera saath!

O Dewanay larkay!
mujhay karnay day mehsoos
tujh ko apnay andar
jab tu hoga udaas
mein banoo gee teri aaas!

O Dewanay larkay!
ik khawahish dil kee
jo tujhko hai batanee hee
jab tu marna chahay
mein wajh banoo teray jeenay kee!



Aao Cricket Khailainn

Posted on 8/31/2007 11:10:39 PM


Posted on 9/1/2007 3:43:52 AM


Posted on 9/2/2007 2:20:31 AM


Posted on 9/2/2007 10:08:57 AM