madgirl*:
huhhhhhhhhhhh
very serious topic
janab pehla sawal....
islam ne in ka darja aulia-e-karam se zyada buland kar rakha hai agar ye serf deen k faraiz hi ada kar le yaani namaz roza waghera or ye jo kaam ye karte hai is ko chhor k koi or jaaiz kaam...
Aulia e karam say ziada??? yah kahan likha hay? and kis ka kahna hay?
madgirl*:
jaha tak baat in k ibaadat k tareeqa kaar pe aati hai waha beheshti zewar mai likha gaya hai k jo in ko lagta hai k wo mard zyada hai,ya un mai naswaani unsar zyada hai to usi tareeqa pe ibaadat ki jaaye
hmm oki.
and aik question hay kay,agar aisa hay to, jin ko lagay kay wo aurat ziada hain to, tab agar wo auraton jaisay kaprhay pahnain to tab to unko gunah nahin milay ga na?
ya phir yah bat sirf IBADAT kay liyay kahi gai hay?
madgirl*:
maa baap ka farz ye hai k inhe bhi apne doosre aam bacho ki tarha paale or kia aap ne wo hadees nahi suni jis ki tashreeh is tara hai jo insan apni do betio ki parwarish ache tareeqe se karega qayamt k din wo MOHAMMAD (PBUH)k itne hi qareeb hoga jesa k humari shadat ki ungli or darmyaan waali lambi ungal to bhai mere socho zara in ka darja kitna buland hoga???????
main aap ki bat to samajh gai hon,
ji parhi hoi hay yah hadees,and agar main bhool nahin rahi to puri hadees yah thi kay,achi parwarish karain and unki shadi karain.
but wo bat only betiyon kay liyay ki gai hay, BETON kay liyay nahin, to tab wohi bat in kay liyay ham kaisay kah saktay hain??
i think khud say koi darja daina sahi nahin hay.
han yah bat to hay kay SAB bachon ki achi parwarish ka hokom diya gaya hay parents ko.
madgirl*:
baaqi agar koi or confusion hai to thore dino ka waqt do k mai kuch or kutub parhoo or kuch logo se is k baare mai information jama kar k aapko bataoo
aap bhi SAHA SATTA ki 6 kitaabo mai se kisi bhi ek ka mutaala kijyega jawab mil jaayega
oh thankzz
Saha Satta? yah writer ka name hay kia?
(and main pakistan main nahin hon, yahan say yah books milna mushkil hongien

)