Logo

§tumary sath chalny pe dil razi nai hota§

Kaheen tum apni kismat ka likha tabdeel kar lety
to shayad hum bhi apna raasta tabdeel kar lety

agar hum wakai kam hosla hoty muhabbat main
marz barhnay say pehlay he dawa tabdeel kar lety

tumhary sath chalnay pe jo dil razi nahin hota
bahut pehlay hum apna faisla tabdeel kar lety

tumhain in moasmon ki kia khabar milti agar hum bhi
ghutan k khoaf say aab o hawa tabdeel kar lety

tumhari tarah jeenay ka hunar ata tou phir shayad
makan apna wohi rakhty pata tabdeel kar lety

wohi kirdaar hain taaza kahani main,jo pehlay bhi
kabhi chehraa kabhi apni qabaa tabdeel kar letay

judaai bhi na hoti, zindgi bhi sehal ho jati
jo hum ik doosray say masa'ala tabdeel kar lety

hamesha ki tarah is baar bhi hum bol uthay warna
gawahi denay walay wakea tabdeel kar letay

bohat dhundhla gaya yadon ki jhilmil main dil e saada
wo mil jata to hum yeh aaen atabdeel kar letay

Posted on 10/18/2007 10:34:14 AM

first line is too good

Posted on 10/18/2007 3:10:50 PM

yes too good n i wish loag apni kismat ka likha tabdeel kar paen

hamain b rasta badalnay may asani ho jaey

Posted on 10/18/2007 7:49:50 PM

kaash.....very nicee jee

Posted on 10/18/2007 7:54:58 PM

thx

Posted on 10/18/2007 8:27:21 PM

cool
a r

Posted on 12/1/2007 6:03:54 AM