khuahishon k samandar k sab moti tera muqadar hon
phool chehray phool lehjay tery hamsafar hon
teri samaton ki dastaras may kabhi wo lafz na aen
k tery dil ko malal ho
teri basarton may har wo manzar utry jo roshan ho,umadti baharon ki misaal ho
kuch yun utrain tery liay rehmaton k mausam
k teri dua, koi harf e mudua
asmanon say kabhi radd na ho
tery naam ki duaon may shamil kisi ka koi harf e bud na ho
kehkishani rasto pe peham rawan rahay
meri dua hai
k
teri umr ka har lamha jawidaan rahay
ye dua hai meri k sara jeewan
barang e khushboo misaal e dooraj
zameen say ufaq k us paar tak
janam janam tum bahar dekho
khizan k bayrabt mosamon say
na koi jhonka hawa ka aey
qadam qadam par khushiyan hon raqsan
wo waqt tum ko khuda dikhlaey
bihat socha muhabat may
tumhain main tohfa kesa doon
jo teri ankhon jesa ho
sada i mery dil say
ye tum jo harf likhty ho
zamany bhar pe bhari hain
zamany bhar se sundar hain
dabo kar chahton may tum
usay tohfay may day dalo
tumhari salgirah ka din ha
samjh nahin aa raha k is moka par tumhen ki atohfa doon?????
muskurahatain, phool, khushiyan, dhair sari duaen, naik khuhishaat, ya khushboo!!!!
mery bas may hota to is moka par
apni kismat may anay wali tamam khushiyan
tumhain tohfay may bhej deti
aur tumhary sary dukhon ko
apni kismat may likhwa leti
lekin aisa karna mery ikhtiyaar may nahin
main to sirf dua he kar sakti hoon
k tumhari in ankhon may kabhi ansoo na aen
aur ye shararti ankhen hamesha muskurati rahen
aur har taraf qoas e qazah k rang bakherti rahen...!!!
Allah kary k tumhari har salgirah
bohat khoobsoorat
aur na bhulanay wali ho
BILKUL TUMHARI TARAH
aur tum isay hamesha hansaty muskuraty manao.
jab talak ye zameen rahay asman rahay
khushiyan tujhy naseeb hon tu jahan rahay
sajti rahay yunhi tery phoolon ki anjuman
jan e chaman bahar teri bay khizaan rahay
hawa ki doar jo uljhti ungliyon say kabhi
hum asman pe tera naam tak saja detay
ye usi wastay kahi hai mohsin taza ghazal
uski salgirah pe aur ab kia detay
Chandni
us dareechay ko choo kar
mery neem roshan jharokay may aey na aey
magar
meri palkon ki taqdeer sey neend chunti rahay
aur us ankh k khuab bunti rahay