Logo

BAAR BAAR GAEY

Siyaah hijr gaya , zard intezaar gaey
kisi ka dard gaya dard k hisaar gaey

udaas raat, khizaan humsafar, safar gumnaam
teray khayaal k mausam humain tou maar gaey

naa jaan bharakti hay apni naa raakh hotey hain
humain yeh kaisi museebat main tum utaar gaey

ajeeb dushman-e-jaan tha k bin laray jeeta
ajeeb jung thi hum jis main haar haar gaey

bohat hee thori see mohlat mili muhabbat ki
hum apna aap magar jaatey jaatey waar gaey

kisi ke bhaijey huey aa gaey thay dunya main
kisi say maangi hui zindagi guzaar gaey

na chaand atqa kisi jaa na badliyaan atkeen
hum uski raat ke aangan main baar baar gaey!!

Farhat Abbass Shah

Posted on 12/12/2007 1:32:38 PM

buhat khoob


Posted on 12/12/2007 3:03:29 PM



v.nice

Posted on 12/13/2007 4:36:19 AM

nice

Posted on 12/14/2007 4:18:04 AM

1 HUG BI KARDO

Posted on 12/15/2007 6:20:50 AM

very nice

Posted on 12/15/2007 7:16:16 AM