ay ishq na chhe.D aa aa ke hame.n 
ham bhoole huo.n ko yaad na kar 
pahale hii bahut naashad hai.n ham 
tu aur hame.n naashaad na kar 
qismat kaa sitam hii kam nahii.n kuchh 
ye taazaa sitam ijaad na kar 
yuu.N zulm na kar bedaad na kar 
ay ishq hame.n barbaad na kar 
jis din se mile hai.n dono.n kaa 
sab chain gayaa aaraam gayaa 
cheharo.n se bahaar-e-subah ga_ii 
aa.Nkho.n se faroG-e-shaam gayaa 
haatho.n se Khushii kaa jaam chhuuTaa 
ho.nTho.n se ha.Nsii kaa naam gayaa 
GamGii.n na banaa naashaad na kar 
ay ishq hame.in barbaad na kar 
raato.n ko uTh uTh rote hai.n 
ro ro kar duaayi.n karate hai.n 
aa.Nkho.n me.n tasavvur dil me.n Khalish 
sar dhunate hai.n aahei.n bharate hai.n 
ay ishq ye kaisaa rog lagaa 
jiity hai.n na zaalim marate hai.n 
ye zulm to ay jallaad na kar 
ay ishq hame.n barbaad na kar 
ye rog lagaa hai jab se hame.n 
ranjiidaa huu.N mai.n biimaar hai vo 
har vaqt tapish har vaqt Khalish 
be-Khvaab huu.N mai.n bedaar ha vo 
jiine se idhar bezaar huu.N mai.n 
marane pe udhar tayyaar hai vo 
aur zabt kahe fariyaad na kar 
ay ishq hame.n barbaad na kar 
bedard zaraa insaaf to kar 
is umr me.n aur makhmuum hai vo 
phoolo.n kii tarah naazuk hai abhii 
taaro.n kii tarah masuum hai vo 
ye husn-e- sitam ye ranj -o-Gazab 
majabuur huu.N mai.n mazaluum hai vo 
mazaluum pe yuu.N bedaad na kar 
ay ishq hame.n barbaad na kar 
ay ishq Khudaaraa dekh kahii.n 
vo shoKh hasii.n badanaam na ho 
vo maah-e-laqaa badanaam na ho 
vo zohraa-jabii.n badanaam na ho 
naamuus kaa us ko paas rahe 
vo pardaa-nashii.n badanaam na ho 
us pardaa-nashii.n ko yaad na kar 
ay ishq hame.n barbaad na kar 
ummiid kii jhuuThii jannat ke 
rah rah ke na dikhalaa Khvaab hame.n 
aa_iindaa ke farzii ishrat ke 
vaade se na kar betaab hame.n 
kahataa hai zamaanaa jis ko Khushii 
aatii hai nazar kamayaab hame.n 
chho.D aisii Khushii ko yaad na kar 
ay ishq hame.n barbaad na kar 
do din hii me.n ahad-e-tifalii ke 
maasuum zamaane bhuul gaye 
aa.Nkho.n se vo Khushiyaa.N miT sii ga_ii.n 
lab ke vo taraane bhuul gaye 
un paak bahishtii Khvaabo.n ke 
dilchasp fasaane bhuul gaye 
un Khvaabo.n se yuu.N aazaad na kar 
ay ishq hame.n barbaad na kar 
aa.Nkho.n ko ye kyaa aazaar huaa 
har jazb-e-nihaa.N par ro denaa 
aahang-e-tarab pe jhuk jaanaa 
aavaaz-e-fuGaa.N par ro denaa 
barbat kii sadaa par ro denaa 
mutrib ke bayaa.N par ro denaa 
ehasaas ko Gam buniyaad na kar 
ay ishq hame.n barbaad na kar 
jii chaahataa hai ik duusare ko 
yuu.N aaTh pahar ham takaa kare.n 
aa.Nkho.n me.n basaaye.n Khvaabo.n ko 
aur dil ko Khayaal aabaad kare.n 
Khilvat me.n bhii jo jalvat kaa saamaa.N 
vahadat ko du_ii se shaad kare.n 
ye aarazuue.n ijaad na kar 
ay ishq hame.n barbaad na kar 
vo raaz hai ye Gam aah jise 
paa jaaye ko_ii to Khair nahii.n 
aa.Nkho.n se jab aa.Nsuu bahate hai.n 
aa jaaye ko_ii to Khair nahii.n 
zaalim hai ye duniyaa dil ko 
yahaa.N bhaa jaaye ko_ii Khair nahii.n 
hai zulm magar fariyaad na kar 
ay ishq hame.n barbaad na kar 
duniyaa kaa tamaashaa dekh liyaa 
GamGii.n sii hai betaab sii hai 
ummiid yahaa.N ik vaham sii hai 
taskiin yahaa.N ik Khvaab sii hai 
duniyaa me.n Khushii kaa naam nahii.n 
duniyaa me.n Khushii nayaab sii hai 
duniyaa me.n Khushii ko yaad na kar 
ay ishq hame.n barbaad na kar
 
