Logo

Satisfaction for what we have...

Assalam O Alaikum
How are you All?
A new topic from My side

*Yeh jo hum hain ,jo hamain ata kiya gaya hain
Hum isi per Razi aur shukurguzar kyun nahi?
Hum hamesha ziyada say ziyada panay ki koshish main
lagay rehtay hain
Allah swt nay jo hamain diya hain hum is pe khush nahi rehtay aur hum sochtay hain k jo hum chahtay hain woh
hamain kyun nahi milta.
Hamari khwahishaat itni barh kyun gaee hain?
So start.......
............
................

Posted on 5/9/2008 12:19:38 AM


khoob sai khoob tar ki talash....
aik natural factor hai...
aur insaan ka nashukra hona bhi os ki nature mai shamil hai...
Insan ka nafs osay iss baat per uksata rehta hai keh kuch aur ho jae to kitna acha ho...
aur nafs per qabu rakhna... hard work to do...
aik waqt mai ap nafs per ghalib hon gay... aur dosray lamhay mai nafs ap per ghalib ho ga... with stronger attack...
kisi bazurg nay kaha hai keh nafs ko marnay ki koshish nahi karni chahiye... is sai osay aur ziada taqat milti hai... kyoun k nafs marrr nahi sakta... nafs ko marnay ki bajae os ko kamzor karo...

Posted on 5/9/2008 2:48:57 PM

Waalaikum Assalam
yeah mein bi bhai ki baat se agree karti hon k ham har pal khoob se khoob tar ki talash mein rahte hain
hamare andar qanat pasand ka ansar bohat madham par gya hai lalich aur dosro ki dekha dekhi bus paise ya taqat k peeche bhagne ka junoon sa hai

Posted on 5/9/2008 3:11:11 PM

Yaa right Said Both of you
Nafs aur ziyada paanay ki khwahish
per kahin na kahin Society main Showoff bhi iski zimedaar hain.

Posted on 5/9/2008 5:01:48 PM


yeh nafs hi hai jis ki wajah sai ziada panay ki khawahish hai..
society ka showoff aur media bhi...
is kay ilawa bhi boht sai awamil kar-farma hai...
jesay ham nay khud ko saholaton ka adi bana lia hai..
keh un kay baghair jesay zinda rehna hi na-mumkin hai...

insaan ki apni family ka bhi is mai boht amal dakhal hota hai...
showoff na bhi ho to dosray sai comparison kar kay insaan main khud ba khud yeh ziada ki khawahish jaag jati hai..

its very hard to discuss this topic specifically... baat kahan ki kahan nikal jati hai..

Posted on 5/10/2008 9:37:52 AM

waqai apki batein tu theek hain bhai but i think we must dicuss

Posted on 5/10/2008 7:24:21 PM

Rehan M Din:

yeh nafs hi hai jis ki wajah sai ziada panay ki khawahish hai..
society ka showoff aur media bhi...
is kay ilawa bhi boht sai awamil kar-farma hai...
jesay ham nay khud ko saholaton ka adi bana lia hai..
keh un kay baghair jesay zinda rehna hi na-mumkin hai...

insaan ki apni family ka bhi is mai boht amal dakhal hota hai...
showoff na bhi ho to dosray sai comparison kar kay insaan main khud ba khud yeh ziada ki khawahish jaag jati hai..

its very hard to discuss this topic specifically... baat kahan ki kahan nikal jati hai..


Assalam O Alaikum
yaa Buhat saray awamil hain
we all friends were discussing it in class
Like aik ghareeb family hain
woh apni Life main khush hain
per unkay aas paas rehnay walay log hamesha unhain
unki ghareebi ka ehsaas dilatay hain
Mean You have no car etc
so unki batein unhain ehsaas e mehroomi dey jaati hain
Jabkay unho nay kabhi personally isko mehsoos nahi kiya.

Posted on 5/11/2008 12:37:59 AM

rapunzel:
waqai apki batein tu theek hain bhai but i think we must dicuss


Assalam O Alaikum
Right Dear Friend
Discussions honi chahiye
is say hamain different problems ko samajhnay main kaafi madad milti hain...!

Posted on 5/11/2008 12:40:21 AM

Waalaikum Assalam
yep is tarah jin baton pe humae pass words nhi hote unk mutaliq hamein dosron ki raye se kuch na kuch material hasil ho jata hai jis se hum apni aik alag soch bana sakte hain

Posted on 5/11/2008 1:42:39 PM


agree with SS... keh log ziada ehsas dilatay hain...
keh tumharay paas yeh nahi hai... woh nahi hai...
aik saathi ki koi cheez lost ho gai...
os nay apnay dost ko bataya...
to dost ka pehla sawal yeh tha... keh mehngi thi kya???
mujhay os sawal per boht dukh howa...
what do cost matters??????
agar 1 Rupee ki bhi cheez hai... tab bhi hai to sahi...

normally comparison to male aur female donon mai paya jata hai... lekin is ko highlight ziada females mai kia jata hai... is ka matlab hargiz yeh nahi keh sari females hi aisi hoti hain... ya males mai is cheez ko highlight nahi kia jata... its general rating...




Posted on 5/12/2008 10:01:08 AM

Assalam O Alaikum
yaa Right Sir...
yaa pehlay yehi poocha jaata hain k mehengi thi ya nahi.
yaa iska comparison both male n female main paya jata hain,per Baat yeh hain kay Aksar girls buhat showoff karti hain aur Normally girls main buhat jealousy hoti hain jealuosy males main bhi hoti hain per woh zahir nahi kartay jabkay girls ki baaton say pata chal jata hain k she is feeling jealous...
so agar Koi kisi ko kahain k aap k paas tho yeh nahi hain woh nahi Agar woh insaan apni mojooda life main khush bhi hain tho woh sochnay pe majboor ho jayengay k Really hamray paas yeh kyun nahi baki sab k paas tho hain.
So I mean Showoff in the society bhi iska Reason hain.

Posted on 5/12/2008 11:12:13 AM


biggest reason is showoff...
os kay baad phir farmaishain janam leti hain...
jesay kisi wealthy person ka 10 saal ka bacha wish karta hai keh mobile lai kar dain...
woh osay 20~30,000 ka mobile lai kar dai deta hai
woh bacha school lai kar chala jae ga...
friends ko dikhae ga...
sab apnay ghar mai ja kar farmaish karain gay
osi mobile ki...
2~3 lai aen gay...
aur phir ghareeb ka bacha rooth kar beth jae ga
keh mujhay bhi lai kar dain...
nahi to mai school nahi jaon ga...
wahan per ghareeb kya karay ga...
ehsas-e-kamtari...
aur phir isi sai buraiyan janam leti hain...


Posted on 5/12/2008 1:46:47 PM

Assalam O Alaikum
Yaa Right Sir
Showoff is the biggest reason for this
kyunki Buhat kam Log hotay hain
Jo logo ki baaton ki taraf dehaan nahi daitay
aur Kinat pasandi ki rah apnatay hain...!

Posted on 5/13/2008 11:19:04 AM


aisa bhi hota hai keh agar insaan khud ignore kar bhi dai
to os ko baar baar yeh ehsas dilaya jata hai
keh aisa hona chahiye
tum nay aisa kyoun nahi kia...



Posted on 5/14/2008 9:39:31 AM

Assalam O Alaikum
Yaa Right Sir
baar baar ehsaas dilanay say bhi Insaan k dil o dimagh main yeh baat baith jati hain
yeh Asian countries main buhat ziyada hota hain
Aik person ko dosray person say Wealth n Income may
Compare kiya jata hain k Unkay paas tho yeh hain aap kay paas kyun nahi etc...
Isi liye kabhi kisi ko aisi baat nahi kehni cahahiye
Our two words of Kindness and Support can make a big difference....!

Posted on 5/14/2008 12:12:28 PM


Words of kindness n support bolay kon???
agar koi bol bhi dai to os ko negatively ziada lia jata hia...

Posted on 5/19/2008 9:47:39 AM

Rehan M Din:

Words of kindness n support bolay kon???
agar koi bol bhi dai to os ko negatively ziada lia jata hia...


Assalam O Alaikum
Words of Kindness and Thanks
kabhi aisa nahi kehna chahiye
For Example like aap yahan kaisay rehtay hain etc
Normally agar aap kisi ko sahi tareekay say kahay tho woh kabhi negative nahi laingay
Coz hamari Niyyat saaf ho tho InshAllah it will work...!

Posted on 5/19/2008 6:40:02 PM