Logo

aa bhii jaao kii zindagii kam hai

aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahien ho to har Khushii kam hai

vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahiin
shahar mein aaj raushanii kam hai

jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaaNdanii kam hai

aa-iinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai

tere dam se hii mai.n mukammal huuN
bin tere terii 'Yamini' kam hai


Posted on 9/21/2003 7:24:41 PM

Sukun mil gaya aaj muje badnaam ho kar
tere har ek ilzaam pay yuN bezabaan ho kar

kya hua gar bulaya muje beizzat karne ke liye
khush hu main teri mehfil me mehman ho kar

log parh hi lenge mohabbat teri aankhoon me
chahe karle lakh inkar tu anjaan ho kar

ilzaam muj par lagakar khud roye ja raha hai
kya payega mera hamdard shar e aam ho kar

mil to gaya suboot muje teri mohabbat ka
ab afsos nahi tere ishq me nakam ho kar



Posted on 9/23/2003 2:25:52 AM