Logo

faasale aise bhii ho.nge ye kabhii sochaa

faasale aise bhii ho.nge ye kabhii sochaa na thaa
saamane baiThaa thaa mere aur vo meraa na thaa

vo ki Khushbuu kii tarah phailaa thaa mere chaar suu
mai.n use mahasuus kar sakataa thaa chhuu sakataa na thaa

raat bhar us kii hii aahaT kaan me.n aatii rahii
jhaa.Nk kar dekhaa galii me.n ko_ii bhii aayaa na thaa

aks to maujuud the par aks tanahaa_ii ke the
aa_iinaa to thaa magar us me.n teraa cheharaa na thaa

aaj us ne dard bhii apane alahadaa kar diye
aaj mai.n royaa to mere saath vo royaa na thaa

ye sabhii viiraaniyaa.N us ke judaa hone se thii.n
aa.Nkh dhu.Ndhalaa_ii hu_ii thii shahar dhu.Ndhalaayaa na thaa

yaad karake aur bhii takaliif hotii thii "Adeem"
bhuul jaane ke sivaa ab ko_ii bhii chaaraa na thaa

faasale aise bhii ho.nge ye kabhii sochaa na thaa

Posted on 3/17/2004 9:32:58 PM

cool you are really cool..i love peorty.

Posted on 3/17/2004 9:43:36 PM

gud very gud poem

Posted on 3/18/2004 10:45:01 PM

tum bhi kuch sunao na mana haikuch kehna?

Posted on 3/18/2004 11:05:06 PM

this is my fav song from the film mehbooba...and plus ali sher looks sooooo handsome..jst love this song!

Posted on 3/19/2004 2:12:39 PM

acha yeh song hai kaunsi film it is hindi aur urdu pakistan ki hai yah india ki please tell me i will buy the casette.

Posted on 3/19/2004 2:22:12 PM

umm arz kia hai:

agar yakeen nahi aata tu azmayee mujhay
wo aina hai tu phir aina deekhayee mujhay

ajab charag hoon din raat jalta rehta hoon
main thaak gia hoon hawa say kahoo bujhayay mujhay

main husn ki ankh ka ansoo tha is nay kader na ki
bikhar giya hoon tu ab rait say uthayay mujhay

bohat deoon say main in pathroon main pathar hoon
koi tu ayee zara dair ko roolayee mujhay

main chahta hoon tum hee mujhay ijazat doo
tumharee tarhaan say koi galay lagayay mujhay..


Posted on 3/19/2004 3:49:13 PM

cool maine abhi teen talk main appni ghazal likhi hai zara perho ja ker check ker do you right cool poerty please.

Boohat coool really.

Posted on 3/19/2004 3:56:16 PM

chalo app ke liye idher lel atey hain...please check ker dain.


woh shisha pyar ka tootte dair nahin lagti
woh chehra yaar ka chupte dair nahin lagti

Mohabbet hai tumse bepana yeh kaise bataen
tere hii yaad main tarapte dair nahin lagti

Sitare jab chup jate hain jab chand nikal ata hai
tab tera chehra dhikhne main dair nahin lagti

kab tak roothe raho gai yun hi mere chand
nazuk rishte tootne main dair nahin lagti

mere yadoon main baste hain kayi pal suhane
yadoon ke dariche khulte dair nahin lagti

jab bhi tanha hon mere saath saath chale
ke ashq ankhoon se behte dair nahin lagti

sitamgar woh nahin jo dil ko toor ker jae
ke musafiroon ko rah badalte dair nahin lagti

kisi ko mat sunana apne pyar ka fasana
dunya main mazaak bante dair nahin lagti

abb kaun rakhe ga ghaon per marham
zakhmoon se khun raste dair nahin lagti

Posted on 3/19/2004 4:00:23 PM

wa wa wa .. so true!

Posted on 3/19/2004 4:08:33 PM

mazaak na karo yaaaaaaaaaar.

Posted on 3/19/2004 4:10:32 PM

kya mazaak true mean true :)

Posted on 3/20/2004 2:32:43 AM

acha....yakeen ker liya hai.....eik aur sunain mere appni...

Khilti hue baharoon main
mehki hue rahooon main
kahin aise hi chalte hue
yah aise hi bethe hue
main rakhtin hon tere milne ki umeed
kahin to ja ker mitain gai
kahin to ja ker milain gai
woh bijhre hue yadaain
mohabbet ki batain
bijhre hue lamhai
mohabbet main guzre
is umeed ke sahare zinda hon ke
khilte hue baharoon main
mehki hui rahoon main
tum a jao gai yun hi samne
kaho gai mughse
main kahin nahin tah
main tumare pas hi tha
ke dunya main bas eik pal ke liye
han bas eik pal ke liye
kho geya tha
abb lout aya hon
hamesha ke liye lout aya hon
tumare rahoon main
tumare nigahoon main
aur main sharma ker muskra don gi
tumare sapurd apne ap ko ker don gi
kash woh mehki hue se baharain chali aeen
ke intezar to kafi guzer chuka hai
kahin umeed kiran bhejh hi na jae
isse pehle baharain chali aeen.

Kaise hai????

Posted on 3/22/2004 3:53:25 PM

excellent yaaar kiran ur a gud poet really.keep it up buddy.

Posted on 3/22/2004 7:21:04 PM

thanks tum ne to mughey acha kaha...

Posted on 3/22/2004 8:09:08 PM

haye mujhay sharam ati hai

Posted on 3/23/2004 10:54:33 PM

kis baat per...

Posted on 3/26/2004 11:19:23 PM

awein lolzzz

Posted on 3/28/2004 3:40:27 PM

koi zaroori nahin tum sharam karo..

Posted on 3/28/2004 10:57:16 PM

wesay mein kafi be sharam hoon lolzzzzzzzzzzzzz

Posted on 3/29/2004 12:11:33 PM

acha phir thoori se sharam ker lia karo tum...

Posted on 3/29/2004 7:15:10 PM