Logo

mehr bani kerkay isay mat perhiyeh ga

insaan ki fitrat bhi bari ajeeb hoti hai kay jis kaam say isay roko isi ko kernay ki isay khuwahish hoti hai.kya aap nay uper wali line perh li.mein aap ko keh rahi hun nay kay yeh aap mat perhain.aap kyun apna waqt barbaad kerna chahtay hain.main aap ko musalsal mana ker rahi hun kay isay mat perhain.aap ki aqal mein aik baat nahi aati .meray mana kernay kay bawajood aap issay zoroshor say perh rahay hain.
is say to achha hai kay koi malumati kitaab perhlain or is say faida hasil karain or meri manain to apnay dost ko bhi yeh kahain kay woh yeh sab na perhain.magar afsos kay aap khud bhi abhi tak yeh perh rahay hain .kya allah tala nay aap ko uqal nahi dee.insaan ki fitrat hay kay jis kaam say ussay roka jaay woh wohi kaam kerta hai.lekin mein phir bhi aap say guzarish kerti hoon kay iss ko perh kay apna keeti waqt zayah na karain.lekin aap hain kay perhtay hi chalay jaarahay hain.aap kisi ki baat suntay hi nahi hain.kya aap ko buhot mazah aaraha hai yeh perh kay.achha ab bataain kya aap nay isay perh kay kuch haasil kya bhi kay nahi.abb aap apni ghari'watch'per nazar daalain kay aap nay bilawajah apnay 5 min zayah kardiyah hain.issay say to achha tha kay aap koi achhi si maloomati kitaab perlay tay lekin aap meree suntay hi kahan hain.....kaash aap meree baat sunlaytay to to aap ka keemti waqt zayah na hota khair ainda say hosiyaar rahiyeh ga

Posted on 5/30/2004 7:46:47 PM

kia itna bada afsana likh diya hai?

Posted on 5/30/2004 7:52:37 PM

nahi perh ker batao...

Posted on 5/30/2004 8:05:13 PM

pora nahi parha par dimagh ki dahi ban gaye hai

Posted on 5/30/2004 10:05:31 PM

topic ka title hi
demag ki dahi bana deta haii...

Posted on 5/31/2004 12:28:48 PM

achha hai demagh ka kuch to bana

Posted on 6/1/2004 1:09:57 PM

koi achi ´cheez banti dahi hi banni thi...

Posted on 6/1/2004 1:16:39 PM

khali dahi bani mairey tu dhai bhaley baan gai

Posted on 6/1/2004 2:01:50 PM

ok sanum aap kehtee ho tu hum nahin parhtey..hum ap ki koi baat tal saktay hian kia

Posted on 6/1/2004 2:24:00 PM

main nai bhi nahin pardha
main nai tu reply posts pardey hain

Posted on 6/1/2004 2:30:35 PM

kiya samaghdari hai waise maine bhi nahin perha bas reply hi pare hain...

Posted on 6/1/2004 3:01:26 PM

wesay bhi parh kar kia karna haii

warna demag ka kuch bhi ban jata

Posted on 6/1/2004 4:09:43 PM

oh meiney tu aab perh liya ... aab mein kiya karooon


Posted on 6/1/2004 10:41:32 PM

app appnai demagh key khair manayein

Posted on 6/2/2004 10:36:14 AM

uske pas damagh hoga to khair manaye ga na fragi ke pas to damagh hai hi nahin hai friends...

Posted on 6/2/2004 1:20:10 PM

yeah bhi hai
per ager damagh nahin hai tu sara pardh kaisey liya

Posted on 6/3/2004 1:48:28 AM

yehi too nishani hai demag na honay ki
tumhi shyy kuch nahi samjhtii

Posted on 6/3/2004 7:14:58 AM

hhehe fragi bari baat hai kya sabak mila aap ko issay beta zara sab ko batain gay

Posted on 6/3/2004 9:02:23 PM

heheh manay bi nahi perha wasay likha kiya han

Posted on 6/4/2004 10:12:57 AM

Tum ne likhne main itna time waste kia us ka jawab kon de ga sanumayaz

aur kiran khala fragi ki dimagh ki chorain apne dimagh ki bat karain

Posted on 6/4/2004 10:53:43 AM

fragi ka damagh
per woh tu hai hey nahin

Posted on 6/4/2004 3:14:14 PM

tum log to asiay keh rahe h jaisay tum ne fragi ka headkhol kar dekha hay

Posted on 6/4/2004 3:30:49 PM

arey humain putta chal jata hai bcoz hummarey paas damagh hai
app head khol kai check kaar loo kuch nahin millaney wala

Posted on 6/5/2004 12:55:33 AM

TeenTracker:
Tum ne likhne main itna time waste kia us ka jawab kon de ga sanumayaz

aur kiran khala fragi ki dimagh ki chorain apne dimagh ki bat karain



array main nay kab kaha kay perhain ,
topic dekha nahi kya

Posted on 6/6/2004 6:15:29 PM

fragi ka demagh ho ya na ho lekin dahi to zaroor hogi uss kay sir main

Posted on 6/6/2004 6:16:54 PM

wesay parha tou mainay bhi nahi
n e wayz yar achay kamo main time waste kia karo na

Posted on 6/6/2004 6:31:37 PM

teen jee mere mere pas acha khasa zaheen damagh hai is ke to yeh sab gawa hain zara pooch lain beshak...jawab se chari se fragi se aur wol jee se yah api se...

Posted on 6/7/2004 11:40:29 AM


Posted on 6/7/2004 11:48:27 AM

arey javad jee app kyun muskura rahey hain

Posted on 6/9/2004 3:24:21 AM

unko muskrane do tumara kiya jata hai bhi..

Posted on 6/14/2004 1:44:45 PM

yeh shaid javad ji muskrahat ko bulb samajh rahi hain aur samajh rahi hain bill ayy ga

Posted on 6/15/2004 12:53:20 AM