Age: 124
7530 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
!!!Phir ishq ka Rog Lage!!!
Kabhee zamaane ki Baton ka humper Asar Ho jaaye Phir ishq ka Rog Lage or zindgi Basar Ho jaaye Haan kuch logon ne jo shraab ko zahar ka naam Diya Wo jo saath Dein to ik pyaala zahar ho jaaye Phir ishq ka rog lage or zindgi Basar ho jaaye
Zindgi kaatne ke hum Ne Bhaane Dhoondhe Kangaal Basti Main hum Ne khzaane Dhoondhe Thak ker Howa Main choor sahar ho jaaye Phir ishq ka Rog Lage or zindgi Basar Ho jaaye
Pyaas jis ki thee wo kabhee Bhee paas na aaya Zindgi ko Mera salaam raas na aaya Cum se Cum Mujh ko zindgi ki Qadar Ho jaaye Phir ishq ka Rog Lage or zindgi Basar ho jaaye
Age: 124
7407 days old here
Total Posts: 6204
Points: 0
Location:
United States, United States
khuda kare meri har dua poori ho, wo sab kuch tujhe mile jo tere liye jaroori ho, kabhi bhi humare darmiyaan na aayen ye fasle, har lamha pyar se kate, kabhi bhi koi na doori ho....
Age: 124
7530 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Aankhain Khoob Rooti Hain "
Tumhain Dil Say Bhulatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain, Dard Dil Main Jagatay Hain Tu Aankhain Khoot Rooti Hain.. Tumharay baad Chahat K Sabhi Punchi Uray Janaan, Kahin Bhi Dil Lagatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain.. Teri Tasweer, Adhooray Khat Tu Jala Diey Hum Nay, Ab Paani Pay Naqsh Banatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain.. Ghata Aawargi Main Jab Siyah Choola Pehanti Hai, Parenday Jab Satatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain.. K Jab Bhi Shaam Dhalti Hai Meri Qismat K Sab Taray, Falaq Par Jagmagatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain.. Sard Tareek Raaton Main Siyah Sawan Ki Barish Main, Dard Jab Muskuratay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain.. Sahil Ki Woh Mitti K Jis Pay Khoon Hathoon Say, Wafa Likh Kar Mitatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..
Age: 124
7407 days old here
Total Posts: 6204
Points: 0
Location:
United States, United States
Dil ko dard haathon ko kalam de gaye hain kaise kaise tohfe mere sanam de gaye hain idhar aana mere mehboob ko manzoor nahin aur udhar na jaane ki kasam de gaye hain....