Age: 125
7409 days old here
Total Posts: 4265
Points: 0
Location:
Antarctica, Antarctica
everyone a blessed and happy ramadan in advance... in holland it starts on 15th october....
hum sub eik hi din start kyon nahin karte? sub muslim hain aur mere khayaal main eik hi chaand hai aur woh eik hi din dikhai deta hai
mere khayaal main uk main kuch years pehle eik hi din main sub muslims ne ramadan start kia but now they again have different days... if we stand together we will be strong, but maybe that's for another topic...
Age: 125
7409 days old here
Total Posts: 4265
Points: 0
Location:
Antarctica, Antarctica
thanks sanasana and jp ka raja....
but first we have shab e baraat next week. to sub ko us mubarek din ki bahut bahut mubarek ho. when r u celebrating shab e baraat and how? we on wednesday inshallah
Age: 125
7587 days old here
Total Posts: 5562
Points: 0
Location:
San Marino, San Marino
inshaAllah ne tofeeq dee tu ya Allah ne tofeeq dee tu
wese sab kuch Allah per nahi chor dena chahiye insaan ko khud bhi kerney ki tofeeq or jazba hona chahiye, ager aap waqyee namaz ki niyat se uthen masjeed ki janib qadam berhayen.....tu masjeed tuk pohchana Allah miya ka kaam hai.....:)
Saudi Arab main mostly people inshAllah us waqt kehtey hain jab unko koi kaam na kerna hoi tu...... wo kehtey hain isnhAllah main aaonga...
Age: 125
7409 days old here
Total Posts: 4265
Points: 0
Location:
Antarctica, Antarctica
i know sanasana, but u know 'banatay hain' adab se kaha. like u say ke Allah miyaan kareinge etc....
and i know very well ke Allah eik hai aur Uske siwa koi nahin hai... yehi to muslim hote hain jo sirf eik Khuda aur Uske Rasool (pbuh) par yakeen rakhte hain. but thanks that u pointed me at that....
Age: 125
7406 days old here
Total Posts: 124
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
SanaSana said:
just in hand...................... Be Ready Guyzz........... Rehmaton or Berkaton wala Maheena shuro honey ko hai.......
Yes sanasana ji waqai bht hi acha or babarkat mahiona anay wala hay is mahinay main har jagah ronak rehmato or barkat hi nazar ati hay :) bas ALALH tala hum sab ko is babarkat mahinay ki barkaton say bharpor fayda othanay ki taufeek ata farmay AAMIN...
Age: 125
7406 days old here
Total Posts: 124
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
heera said:
Ramadan shuru tho nahin hui hai na?yahan pe oct 15 pehla roza hoga.has it started somewhere else or somthin?
Ramzan shoro nahi hoy laikin anay walay hain...SAHABA-e-karam Ramzan anay say 6 motnh pehle os kay anay ki khushi manatay tha...or ramzan khatam honay kay bad 6 month tak os ko yad kartay thay ...
Age: 125
7406 days old here
Total Posts: 124
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
lolz...hum kahan On sahaba-e-karam ka mukabla kar saktay hain han aik mahinay pehle tak zaroro khushi hoti hay anay ki or aik mahinay afsos karta hon janay kay bad yad ati hay na ...
Age: 125
7409 days old here
Total Posts: 4265
Points: 0
Location:
Antarctica, Antarctica
hum itni deer tak ramzaan ki tayaari karte hain aur patta hi nahin chalta kab yeh maheena khatam ho jaata hai. to be honest, pehle to yeh soochte hain ke roza kaise rahe ga, kaam, study aur phir roza bhi..... lekin aggar insaan sache dil se rakhe to Khuda madad karta hai...
lekin this week to shab e baraat hai, aur phir 15 days baad ramzaan... shab e baraat ka roza kaun rakh raha hai?
Age: 125
7587 days old here
Total Posts: 5562
Points: 0
Location:
San Marino, San Marino
shab-e-barat ko roza rakhna or ebadut kerna bohut hi accha hai lekin wo jo koondey type chezen hoti hain hamarey yahan wo nahi hoteen coz Islam main is terha ka koi bhi ziker nahi milta... lekin kertey ahin mostly log....
Age: 125
7409 days old here
Total Posts: 4265
Points: 0
Location:
Antarctica, Antarctica
SanaSana said:
shab-e-barat ko roza rakhna or ebadut kerna bohut hi accha hai lekin wo jo koondey type chezen hoti hain hamarey yahan wo nahi hoteen coz Islam main is terha ka koi bhi ziker nahi milta... lekin kertey ahin mostly log....
what do u mean by 'koondey type'? i got a book jis main har month ke baare main likha hai aur us main yeh bhi likha hai humaare Rasool (pbuh) shab e baraat ke doosre din roza rakhte hain. mere khayaal main sunnat hai, farz nahin....
Age: 125
7587 days old here
Total Posts: 5562
Points: 0
Location:
San Marino, San Marino
tu janab main ne kab khudanakhuasta roza ke liye kaha hai roza tu bilkool bohut acche baat hai iski fazeelat bohut hai main ne koonday ke barey main kaha hai ke wo bilkol bhi na tu sunnat hai or na hi offcourse farz main shamil hain ye insaan kee apni paida ki hoyee baat hai or jo kuch quran main or sunnat main hai sirf wohi qabil-e-taqleed hai werna biduat yani apni taraf se banayee hoyee rasam hai.... well i think point clear ho gaya hai... lekin bohut sare log kiyonke kertey hain aisa tu ...is liye maloomat bhi nahi hai ....