i need help

1821 views 43 replies
Reply to Topic
Freddy

Age: 124
Total Posts: 2288
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
aik larkay ko aik problem hai can anyone please give him the right advice..

actually he loves a girl and ofcourse she loves him too...he don't remember when they start loving each other but he think they were very young....woe school mein be sath rahay ore college mein be ...masti ,shararateen, unhoon nein akathay he kein..

Here we got a situation larka kay pass kuch nahi na apna makan na Job na koi bank balance ..larki ki ma is a lalchi women...

larki bohot khobsurat hai parhi likhi hai ..tu hoya youn kay larki kay he handan ka aik larka hai jo kay apni family kay sath SaudiArab mein rehta hai ...they are saudi nationls..they are very rich they have at least 5 or 6 businesses in different countries ..mercidies ,houses bla bla bla... unhoon nein larki kay rishtay ki baat ki ore larki ki ma nein haan karnay mein aik minute be nahi lagayaa....larka be koi bhuda ya uss mein koi harabi nahi ...He is young ,talented and even more smart than him(the boy who loves girl)..

abb uss larkay mein Qurbani ka jazba paeda ho raha hai apnay pyar ki qurbani .....woe soch raha hai muj sei usay kya milay ga ..ore vesay be larki kay ghar walay kabi be nahi maneen gey...kue kay uss kay pass hai he kya...

uss nein larki ko ye sub batyaa tu nahi magar uss sei door door rehnay luga hai....ajj usay larki ka phone ayaa ....larki jistarha uss kay samnay royee ..ussay apnay pyar kay wastay deye...usay khuda kay wasteyee deye uss ka kalejaa phuta ja raha hai ..kue kay 2 weeks baad larki ki shaadi hai...
abb uss ki samaj mein nahi aa raha woe kya karay he has few options

1) larki ko bhuga kay ley jayee
2) uss kay ma baap kay samnay royee chilayee
3) khudkushi kaar ley
4) aankheen bund kaar kay kahi door chala jayee

kisi kay zehan mein ess ka haal hai koi ????? agar enn options kay elava be koi option hai kisi kay zehan mein tu kindlly bata dei ess sei kisi ki zindagi bach sakti hai..
Ye koi kahani ya koi filmi story nahi dosto ..it's happening righnow in somewhere in this world

i request to admins please make this topic sticky for just 2 days maybe by doing this he can get his life back
Posted 17 Sep 2004

Rain Man says
ok 2 days only

another laughable love story
Posted 17 Sep 2004

pathetic
Posted 17 Sep 2004

Rain Man says
yup
Posted 17 Sep 2004

Ashii says
new movie hai kya




hehehee...
acha okk agar sahi baat hai to,,, it s simple
if they really really love each other to that guy will manage to have a nice job and he ll understand his reponsibilities later
parrrrrrrrrrrrrr.. risk hai na yarrr
financialy stable na hua woh baad mei bhi to dono hi aik doosre ka sir phorein ge


khair yeh to unn k apne sochne ki baat hai
just one thing,,,   yeh kurbani wagera kuch nahi hota
sab bakwas hai,, apni jaan churane ka aik tareeka hai

4 suggestions jo ap ne diye sab galt
dono shadi kar lein,, simple
bhagne ki zaroorat nahi,, aram aram se tehelte hue ja'ain
darr hai kya kissi ka
aur yeh amma abba sab nakhre karte hein
shadi ho jae gi to sab theek ho ja'ain ge

khudkushi ki abhi zaroorat nahi,, shadi k baad pb hui to kar sakte hein..
khallaasssssssss..
and plz hamein invite karna na bhoolna
Posted 17 Sep 2004

SALL main to tumko bewakoof samajhta tha lekin tumne accha suggestion diye
Posted 17 Sep 2004

SanaSana says
yes another heartbroken

well,wo log i mean wo dono ziyada apney halaat ka tajzeeya ker saktey hain i mean acche tareeqe se
ab hum koi suggestion de bhi den tu hum ko tu sirf wohi pata hai na jo faradiya ne bataya hai
tu...
well mera khyal tu ye hai ke jab lerkey ke passapna kuch bhi nahi even ke job bhi nahi hai
tu wo lerki ko bhaga ker ye apna ker kiya karey ga
dono ki life hi upset ho jayege
sirf majnoo or laila ban ker dour reh ker tu zindagi baree khubsooruti se guzari jaa saktee hai lekin jab practical life main aateyhain tab lag pata jata hai
u know na ke "All are glitters in not the gold"
her chamktii hoyee chez sona nahi hotee
or haan koi shuk nahike waqyee wo dono aik dousrey se sacchi mohbat kerte hon....but jo halaat hain uskey paish-e-nazer tu kuch theek nahi lag raha
jab ke parents bhi raazi nahi hain
life main sirf love kerney se hi tu sarey masley hal nahi ho jatey
aagey ka tu kuch pata nahi
future ke bare main kon kiya keh sakta hai
ke lerki aagey jaker larkey se ye kerka aagey jaker Allah na akrey lerki ko dhoka de de
phir lerki ke paas tu wapsi ke sare rastey band ho jayengey na...!
Posted 17 Sep 2004

Sana it is the fact that you metioned.Life is ough enuf . It is very hard to spend life with only love .Some basic needs are important to fulfill . I personally think girl shuld realize that it is not only betterment for these two but also for their next generation.
Posted 17 Sep 2004

SanaSana says
Exactly....

or aik baar koi ahmaqana step utha liya tu most of the cases yehi hota hai ke uska koi azala mumkin nahi...
Allah na karey jo aisa kuch ho but.....it's a bitter fact..
Posted 17 Sep 2004

yes and taht is tasted oinly by girlthe loving boy will easily heal up and go ahead while whole life of that girl will spoil .It is a time for responsible action
Posted 17 Sep 2004

friend_16 says
aik idea .. kay wo ja ker larki kay parents say baat karay .. kay wo us ko thora sa time day dein ...koi limited period .. after all un ki baitee bhe tu us say pyaar kerti hai.. aur udher un say kuch limited time lay lein ... agar wo us limited time main kuch ker lay tu theek hai warna phir .. usee say ..
Posted 17 Sep 2004

Freddy says
¥Á§-D said:

ok 2 days only

another laughable love story



thanks MR D
ya laughable 4 u but not 4 every1

SALL said:



new movie hai kya




hehehee...
acha okk agar sahi baat hai to,,, it s simple
if they really really love each other to that guy will manage to have a nice job and he ll understand his reponsibilities later
parrrrrrrrrrrrrr.. risk hai na yarrr
financialy stable na hua woh baad mei bhi to dono hi aik doosre ka sir phorein ge


khair yeh to unn k apne sochne ki baat hai
just one thing,,,   yeh kurbani wagera kuch nahi hota
sab bakwas hai,, apni jaan churane ka aik tareeka hai

4 suggestions jo ap ne diye sab galt
dono shadi kar lein,, simple
bhagne ki zaroorat nahi,, aram aram se tehelte hue ja'ain
darr hai kya kissi ka
aur yeh amma abba sab nakhre karte hein
shadi ho jae gi to sab theek ho ja'ain ge

khudkushi ki abhi zaroorat nahi,, shadi k baad pb hui to kar sakte hein..
khallaasssssssss..
and plz hamein invite karna na bhoolna




woe larka kehta hai mein Rehri laga lun ga ...mazdoori kaar loon ga ore larki ko be koi etraaz nahi...larki be kehti hai woe job kaar ley gey ..
Shaadi tu woe sirf baag kay he kaar saktay hain kue kay larki kay ghar walay kabi nai manay gey....jee nahi tumheen invite nahi karna tumheen kaar leye tu barati kya khayeen gey


SanaSana said:



yes another heartbroken

well,wo log i mean wo dono ziyada apney halaat ka tajzeeya ker saktey hain i mean acche tareeqe se
ab hum koi suggestion de bhi den tu hum ko tu sirf wohi pata hai na jo faradiya ne bataya hai
tu...
well mera khyal tu ye hai ke jab lerkey ke passapna kuch bhi nahi even ke job bhi nahi hai
tu wo lerki ko bhaga ker ye apna ker kiya karey ga
dono ki life hi upset ho jayege
sirf majnoo or laila ban ker dour reh ker tu zindagi baree khubsooruti se guzari jaa saktee hai lekin jab practical life main aateyhain tab lag pata jata hai
u know na ke "All are glitters in not the gold"
her chamktii hoyee chez sona nahi hotee
or haan koi shuk nahike waqyee wo dono aik dousrey se sacchi mohbat kerte hon....but jo halaat hain uskey paish-e-nazer tu kuch theek nahi lag raha
jab ke parents bhi raazi nahi hain
life main sirf love kerney se hi tu sarey masley hal nahi ho jatey
aagey ka tu kuch pata nahi
future ke bare main kon kiya keh sakta hai
ke lerki aagey jaker larkey se ye kerka aagey jaker Allah na akrey lerki ko dhoka de de
phir lerki ke paas tu wapsi ke sare rastey band ho jayengey na...!



TeenTracker said:


Sana it is the fact that you metioned.Life is ough enuf . It is very hard to spend life with only love .Some basic needs are important to fulfill . I personally think girl shuld realize that it is not only betterment for these two but also for their next generation.




hmmmm tumharay kehnay ka mutlab hai larki nein bewakoofi ki uss sei pyar kaar bethi jis kay pass kuch be nahi....magar abb tu woe kaar chuki...
chaloo ye suppose kaar letay hain kay larki ki saudiarab walay larkay sei shaadi ho jati hai...tu kya ye uss larkay kay sath zeyadati nahi ho gey...
asaal mein woe larki un stupid larkioon jesi hai jo jis sei aik baar pyar kaar ley sirf usi ki ho kay reh jati hai ..dosra koi lakh kuch kaar lay woe apni juga sei nahi hilten...
jaha tuk life upset honay ki baat hai ..tumharay khayaal mein jin kay pass sub kuch hota hai kya woe khush hotay hain ?? Un ki life upset nahi hai kya ...meray khayaal mein tu zeyada hoti hai...
In my opinion shaadi shuda life ko accha ya bura banana larki kay hath mein hota hai..insaan ki basic need agar poori ho jayeen tu i think insaan khush reh sakti hai ..like house ,cloths,food and love
yaha problem ye nahi kay larki kya larki uss sei shaadi karna nahi chahti ya uss kay demag mein kisi kisam ka khoof hai kay ess sei shaadi kay baad mein secure reh sakoon gey ya nahi ...believe me larki is very brave ..she said tumheen kaam karnay ki koi zaroorat nahi mein kaam karoon gey tum sirf muj sei shaadi kaar lo chaheyee jesay be.
Posted 17 Sep 2004

f16 i think it is not practical.How could a guy can get settle in country like pakistan where ppl have wasted their life for getting some.

this situation is ideal in countries like UK USA and Canada but in Pak it is practically impossible
Posted 17 Sep 2004

SanaSana says
well,faradiya hum ne hegiz ye nahi kaha ke usne koi stupidity ki hai
love tu bus aik dum se ho jata hai
or kuchnahi dekhta...
i meant to say..ke ager realistic ho ker socha jaye tu life main agey jaker baree problems bhi khuda na khuasta create ho saktee hain...jo situation aapney bayan ki hai uski roo se....
well,ab wohi better soch saktey hain...
coz her sugesstion per tu waqyee amal nahi kiya jaa sakta..
Posted 17 Sep 2004

larkay ki sister hai???? if yes she can help himmm...what abt girl?? bhaag jane sey wo khush nahi rahien gey,,,depends agar us ke father ka dil naram hua..he will agree..
Posted 17 Sep 2004

baap ke samne ronay se kuch na ho...leken Allah KE SAMNE ROYEY...kuch na kuch hoga...
Posted 17 Sep 2004

fardaya jazbat main aakar aadme keh deta hay kay main reri laga loon ga ya mazdooree karloon ga lekin un logon se pocho jo yeh kaam karte hain.
agar un dono ki shadee ho jatee hay to kia is baat ki gurantee hay keh yeh larkee nahin kahe gi kay "Mujhe tum se shadee kar ke kia milla"

Mohabbat ek jazbatee kaam hay waqee main larke aram se zindagee guzar sakte hain love main fail ho kar larkiyan nahin.Gurantee kissi baat ki nahin larki ko samjhna chahye kay us kay maa baap sahee faisla karaingay.

Aur sab bataon ki ek baat instead of heart thinking use brain.


Posted 17 Sep 2004

saieen says
/me waiting ...count down started :/

bhagnaa kyun hay.......bhagnay meh hur cheez ka hul thori hota hay?

muza tu tub hay....jaisay lerki ko putaya waisay he lerki keh ghur walu ko patauuu :D
Posted 17 Sep 2004

friend_16 says
haan i know ye kay ye asaan nahi hai .. par ye kis nay kaha kay practical nahi hai ... some way or the other just manage to go abroad .. ask for a limited period .. coz phir wo tu kuch bhee ker sakta hai na .. so abhee us kay paas soochnay ka time kam hai ... just pray to Allah .. coz agar Allah nay chaha saab theek hoo jaiy ga.. aur agar Allah nay he na chaha tu wo wo jo marze ker lein ... no shadi ..
Posted 17 Sep 2004

Ashii says
sana is not wrong
coz yarr abhi pehle lagta hai hum sab manage kar lein ge par ja bsir pe parti hai na to akal thikane aa jati hai
larka rehri laga le ga to kya teer maar le ga
dono ko pehle sahi se sochna chaiye k baad mei pbs na hon coz theb they ll b responsible for everything


wellllll,, jahan tak responsibility ki aur shadi ka baad ki pbs ki baat hai to chahe shadi parents/family ki marzi se karo
later if u have pbs to koi kuch help nahi karta, believe me,,,, sab kismat ko rote hein apni galti na parents mante hein na family waale
han par pasand ki shadi mei pb ho to zaroor taane dene aate hein


par khair THIS IS OUR SOCIETY
Posted 17 Sep 2004

friend_16 says
yea rite ye tu hota he hai hamare society main .. jo bhe karein app loog bohat sooch samaj ker .. coz ye faisala bohat say zindagiyoon ka hai... .. hai na?
Posted 17 Sep 2004

Ashii says
dunya se nahi darne ka yarrrrrrrr
logon ki aisi ki taisi
khuda pe aur khud pe yakeen hai to phir kahe ka darr

hum logon kiiiii
thokar mei hai yeh zamaanaaaaaaaaa
Posted 17 Sep 2004

Freddy says
okay friends tell me just in two lines ...ess lovestory ka end kya ho ga..

1)KYA LARKA ORE LARKI BHAAG JAYEEN GEY
2) KYA LARKI KAY GHAR WALAY MAAN JAYEEN GEY
3)KYA LARKI KI SHAADI SAUDIARAB WALAY LARKAY SEI HO JAYEE GEY
4) KYA LARKA KHUDKUSHI KAAR LAY GA

assal mein ye kahani one and half year pehlay ki hai ore ess ka end be ho chuka hai aap logoon kay jawaab kay baad mein bataoon ga kay ess ka end kya hoa tha ...ore kya wakeyee essa hona chaheyee tha
Posted 17 Sep 2004

Ashii says
3/

beshak i hope k aisa nahi hoga
but come on yar,, we r talking abt coward pakis
hmmm 100% log to nahi hote par still majority aise hi hein
waise agar aisa hi hua hai to im sure that gal is happy in her life and guy too
Posted 17 Sep 2004

Freddy says
kaal dasaan ga
Posted 17 Sep 2004

i hoop key un ke parents maan jayien
Posted 17 Sep 2004

3 coz pakistan main yehi hota hay
4 is liye possible nahin hay kay khudkushee karna itna aasan kaam nahin
Posted 18 Sep 2004

3 hi hoga bcoz paki larkian kabhi apne parents k against jana pasand nahi karen gi and i think 3 wud b the better option
Posted 18 Sep 2004

Freddy says
YES the answer is 3) larkii ki shaadi ho geye saudi sei and now she has a cute chintoo looks like shez happy with his family but Who knows really shz ? anyway larka aab haar wakt nashay mein doba rehta hai and near to die (he choose a different way for khudkusi) hum usay samja samja kay thuk chukay hain but he don't understand infact he don't want to understand anything.


Posted 18 Sep 2004

Freddy says
and suzzz jaha tuk tumhari baat ka taluk hai kay paki larkiyaan kabi be apnay parents kay against jana pasand nahi karteen ..tu app ki etlaa kay leye eraaz hai uss larki nein tu bohot koshish ki thi kay kisi tarha he sahi chahay bhaga kay he muj sei shaadi kaar loo but larka nahi mana tha
Posted 18 Sep 2004

so sad




larkee to khush hay lekin bechare larke ka kya kasoor tha jo wo nashe main par gaya

agar banda apne emotions par control karle to aisa na ho
Posted 18 Sep 2004

Reply to Topic