History of pakistan

3376 views 104 replies
Reply to Topic
sal_fan

Age: 124
Total Posts: 370
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
when do u think the history of pakistan start? And why?

like do u think our history started since people started the struggle of pakistan or in 1947 or when we got our constitution...
Posted 13 Oct 2004

Xtreme says
Well Personal fame and glory is important to most people than most of other things in life. So our Quaid was one of those people no doubt. And you just dont become a good muslim by just being born one thats the fun part in islam u have to do and follow a lot of things. You can be a very good person but still not a good muslim and we all know things about our Quaid which are not in our text books.
And yea he did a very good thing for us and we all should be thankful to him i agree on that one But well in life others do end up better when 1 man gets his goal.
And i respect him too but they should just tell us the truth from the start in schools its not very nice to learn it later in life.
Posted 18 Oct 2004

shaista says
but what is the truth then?

one can not say about someone else whether he is a good muslim or not...

Posted 18 Oct 2004

Xtreme says
YAye aye so true shaista
but when u drink alcohol , eat pork and not pray so that will be some signs!!
Posted 18 Oct 2004

Ashii says
i donno if quaid e azam was a good man or not
i guess he was

but,, i know one thing
he was secular
and this is a fact :)


i agree with patak on few points,,,
will answer in detail later
Posted 18 Oct 2004

sal_fan says
Xtreme said:

YAye aye so true shaista
but when u drink alcohol , eat pork and not pray so that will be some signs!!



no offence but do u have a proof of that? or u just sayin that cuz u heard this from some anti-Quaid-e-Azam people who wud have prefered 2 live in india and remain servants
Posted 18 Oct 2004

Ashii says
sal fan
just one question,,, if pak is realy a country created for muslims
howcome all indian muslim religious parties didnt support muslim league before mid 40's
??
(muslims league itself is not a religious party)
Posted 18 Oct 2004

Freddy says
question was why pakistan made not quaid-e-azam was a good muslim or not.

everyone knows why Pak-istan made. muslims ko aik alehda country chaheye tha for living with independence jaha rooz rooz ka fasaad na ho ....jaha musalman sakoon sei gayeen ki qurbani dei sakeen......jaha islam ka kanoon ho wagera wagera


aab aatay hain quaid-e-azam ki taraf. i don't know kaab haamaray logoon ki thinking original ho gey...kaab hamaray zehaan sacchai ko pehchanayeen gey ??.
yaar hum apnay leaders ko superman kue dekhna chahtay hain ? hamra leader be insaan he tha ..tha kay nahi ?

agar yun dekha jayee tu kon hai jo gunagar nahi hai ?
allama sahib sharab petay thay im sure bohot kam logoon ko pata ho ga un paar aik larki kay qatal ka mukadma be chala. lekin kya un ki ezaat kam ho geye ..sir syed ahmad khan be koi haji luk luk nahi hoon gey ....

agar woe sub buray thay tu phir hamaray dil mein un ka ehtaram kue hai ??

un kay gunnah un kay sath just see what they did for you
un ki jaga agar ko christian hota jo hameen azadi delata tub tu kisi kay zehan mein aesa koi sawal na aata ...

rahi baat hamari text books mein ye sub nahi batayaa jata.......agar hamaray ma baap nein apni jawani mein bohot sei KARNAMAY keye hoon .should they tell there childerens all there stories ..kay unhoon nein jawani mein kya kya gunna kea wagera wagera ...chaloo maan lea kay woe bata deta tu bachoon kay zehnoon pay kya assar parta ? theek hai wakt guzarnay kay sath sath un ko pata chal he jata paar uss wakt jananay ore start mein jananay mein bohot farak hai....


here i must say I love quaid-e-azam unn ki aik aik cheez sei mujay pyar hai chahay woe gunnah he kue na ho
Posted 18 Oct 2004

Ashii says

fradiya yar,, ehehheeee
let me laff dil khol k first

arey nahi im not making fun of wot u said,, i agreee aik damm
hakeekat hai hi itni funny k hansi aa jati hai


i never said that quaid was a bad man,, who am i to say that par jo humein bataya jata hai woh aise bhi nahi the,, par khair iss se koi fark nahi parta
pak banne ki baat,,,   it s simple
im not against pakistan,, bilkul nahi yarr,,
but we shld keep in mind that since 1857 british did everything to accentuate the difference btw muslims and hindus,,, me yeh nahi kehti k muslims india mei bohooottt khush the,, par bohot se log to pak mei bhi khush nahi hein,, to ab kahan ja'ain ???
pehle muslims hindu alag hue,, phir paki benali,, ab mqm mohtaram chal pare,, it ll never stop agar aise hi chalte rahe to,,
par khair,,, pakis aur indies kafi had tak bewakoof log hein,,, they let others influence their lives,, aur kya kahein :)



khair,,, baki baad mei,, i spent too much time on JB today,, aur kaam bhi hein..
ab mujh se koi panga na kare im vvvv tired

Posted 18 Oct 2004

shaista says
WOW Faradiya, roze ne aap par acha assar kia....
well said!

bas us ke baad kehne ko kuch reh hi naheen jaata.....

i love Quaid-E-Azam too, no matter if he was a good muslim or not. woh unki apni problem hai aur khuda aur un ke beech main hai aur woh hal kar deinge....

hum bahut hi nashukre hain, aggar india ke saath hote to woh humain qurbani naheen dene dete, cow is holy. eik kunwe se paani naheen bharne dete b'coz we are achooth.... ab hum apne dees main rehte hue bhi nakhush hain....

lekin yeh baat Adam (AS) se hi start hui, Khuda ne un ko jannat dee lekin woh is dunya main rehna ziada pasand karte the. kia hota aggar woh jannat main rehte to? humain bhi wahan par hona tha tab.... woh baagh, nehrein....hmmmmm

Posted 19 Oct 2004

Freddy says
ye sub tumhari waja sei hoa Aurtoooooo na adam tumharay kehnay mein aatay ore na hum itni musebaat mein partay
Posted 19 Oct 2004

shaista says
arey!
adam khud sooch sakte the na!
na maante kehna!

apni ghalti ki zimmidaari khud uthao!

achi hai yeh museebat, warna wahan kha kha kar itne mote ho jaate!!
Posted 19 Oct 2004

Freddy says
adam becharay tu masoom thay ..un ko kya pata tha aurtoon ki chalakioon ka ...tauba tauba kesi kesi chalak hoti hain aurteen..allah mafi allah mafi
Posted 19 Oct 2004

shaista says

woh masoom the lekin aap un par bilkul naheen gaye.....
aur phir kehlwate hain ke adam ki aulaad hain...
Posted 19 Oct 2004

Freddy says
hehehe tu tumhara kehna kay matlab hai kay hum be un ki tarha tumharay hatoon bewakoof baneen

noooooooooooowayyyyyyyyyyyy Hum MoMin hain ore MoMin aik he gulti dosri baar nahi karta nashta jee
Posted 19 Oct 2004

shaista says

u maumin????? hihihihi

let me laugh firs ok?
Posted 19 Oct 2004

Freddy says
haan haan hameen bewakoof bana kay tum khush he hoti ho
Posted 19 Oct 2004

shaista says

aur phir nashta kaha?!
kal to dum le kar bhaag gaye the bandar kaheen ke!
Posted 19 Oct 2004

Freddy says
banadar yani aab ashraful mehlokaat ko bandar be kaha jayee ga
Posted 19 Oct 2004

shaista says
bas jo cheez hai usko uske naam se pukara jaye to acha hai, ab hum pen ko pencil to naheen banate na
Posted 19 Oct 2004

Freddy says
ayee nakas-ul-aakaal auraat ,gusstah tum ko pata nahi tum maharaaj fradiya ul doola sei kalaam farma rahi hoo...Julaaaaaaaad ess bewakoof kukri oops kuri ko pakar kay zandaan mein daal dea jayee ore tub tuk rukha jayee jub tuk essay pen ore pencil ka farak na pata chal jayee













































kekekekekeekek
Posted 19 Oct 2004

Ashii says
yeh kya ho raha hai...
Posted 19 Oct 2004

shaista says
yeh hai pakistan ki history...

amooman yehi hota hai ke hum eik baat start karte hain to kahan se kahan pahonch jaate hain....

aur faradiya...ramzaan main aggar maut likhi ho to kia baat hai!
Posted 19 Oct 2004

Ashii says
abayyyyyyy
koi batae ga yeh ho kya raha hai yahaaannn,,,,



qu'est ce qui se passe sashaaaa
Posted 19 Oct 2004

Freddy says
yaha degheen paak rahin hai sall kay leye nazar nahi aata itni serious discussion chal rahi hai.

ramzan mein maut aanay mein kya baat hai ?
Posted 19 Oct 2004

shaista says
mere khayaal main saare gunah muaaf ho jaate hain? azaab e kabbar wagaira bhi naheen hota...

woh to khuda hi behtar jaane ke kia hota hai kia naheen....
lekin loog to kehte hain na deikh kitne acha maheene main maut hui uski...
Posted 19 Oct 2004

Freddy says
aik insaan sari zindagi logoon ko dhook pohanchata raha hoo kabi neki na ki ho magar woe ramzan mein fooat ho jayee tu uss kay saray gunnah maaf ?
Posted 19 Oct 2004

shaista says
yeh to bas khuda hi jaanta hai.
na insaafi to naheen kare ga na?

lekin mere khayaal main us shakhs ko saza zaroor millegi...

Posted 19 Oct 2004

Freddy says
tu phir ramzan mein marnay ore aam dinoon mein marnay mein kya farak reh geya
Posted 19 Oct 2004

shaista says
aap koi politician to naheen ho na?

baat ki khaal utaar dete ho, bas main ne jaise sunna hai wohi keh rahi hoon

Posted 19 Oct 2004

Freddy says
baal ki khaal utaroo gey tu baat ki samaj ayee gey ..hamahaa mein jo duniyaa nein keh dea uss ko manana apna asool nahi...sacchi woe hai jo tum khud dhondoo
Posted 19 Oct 2004

Reply to Topic