** Pakeezgi **

4199 views 113 replies
Reply to Topic
Ashii

Age: 124
Total Posts: 31001
Points: 0

Location:
France, France
hmmm,,

okk tell me....
u all must have heard that jism ka aik chota sa hissa bhi na paak ho to namaz nahi hoti

par agar na-paaki hamare dil mei ho,,
tab namaz ho jati hai kya ????
Posted 24 Oct 2004

Freddy says
ho-ha-ha-ha

abb ayaa na unth pahaar kay nechay........



haan sall ho jati hai namaz
























































kuch ore pochana hai kya ?
kekekekekekekeke



Posted 24 Oct 2004

Ashii says
vv funny... apan oont bahir park kar k a'ain plz

yani k jism ki pakeezgi rooh ki pakeezgi se zyada zaroori hai
Posted 24 Oct 2004

Freddy says
haan zeyada zaroori hai














































































ore kuch pochna hai app ko
kekekekekeekeke
Posted 24 Oct 2004

Fairl_Girl says
HAN KI ITNA KAUN HAS RAHAY HO
Posted 24 Oct 2004

Ashii says
iss ka dimag kharab hai iss liye itna hans raha hai
heyyyy yeh kya bewakooofon wali post kar rahe ho
khe khe aur ittttnaaa space kahe ko hota hai harr time


bahir jaooooooo,, ya sahi se answer karo
Posted 25 Oct 2004

Guest_005 says
DIloon k Haal to Allah Janta hai ....

Laikin Hamari kaisi bhi Niat hoo.... Achi ya buri ....

Hamain NAmaz ya Naik kaam kar laina chahiy ......

Kiun K Kabool Karnay wala to Allah hai ........

Kia pata wo kisi Gunah Gar ki Dua Kabool kar lay .....


Posted 25 Oct 2004

shaista says


well said!!!
Posted 25 Oct 2004

Ashii says
bilkul sahi,,
i agree


par yeh question humein khud se puchna hai
kissi ki niyyat kaisi hai hum nahi jaan sakte
par meri niyyat kya hai yeh me to jaan sakti hu na
Posted 25 Oct 2004

shaista says
haan, humain yeh naheen karna chahye ke hum dunya ko dikhaane ke liye namaaz wagaira parh rahe hain balke humain dil se ibadat karni chahye. baaki qabool karne wala allah hai lekin saaf niyat se to karni chahye na
Posted 25 Oct 2004

sal_fan says
SALL said:

hmmm,,

okk tell me....
u all must have heard that jism ka aik chota sa hissa bhi na paak ho to namaz nahi hoti

par agar na-paaki hamare dil mei ho,,
tab namaz ho jati hai kya ????



isnt dil part of yr body? it is na! so u have answered yr own question in yr post ...ok i know u meant like na-paki of mind as in the thoughts n all..well definately niyat is the key word here and if u dont have a good niyat i dun think there is any use of yr sayin namaz...
Posted 25 Oct 2004

Freddy says
ajj tuk kisi nein dil sei namaz paari hai tum sub sei question hai........kya kabi ayesaa hoa hai kay namaaz kay doraan sirf namaaz ka he khayal dil mein ho ...koi ore khayal na ayaa haoo ????
















































kabool karnay wala tu upaar betha hai .......aik bacha jesay abi namaz ka matlab he nahi pata jub woe namaz parta hai namaz mein woe uth kay edhar udar be dekhnay lugta hai...kabi khud he hansnay lugta hai ...kabi kuch karnay lugta hai ...kya khayal hai uss ki namaaz kabool hoti hai kya nai ?

Posted 25 Oct 2004

shaista says
mere khayaal main us ki namaaz qabool hoti hai. woh masoom hai aur uski woh harkat masoomiyat main hui

haan, to be honest. kabhi kabhi hota hai ke namaaz ke dauraan aur koi khayaal naheen aata.

lekin ziadatar waise koi baat yaad rahe na rahe, namaaz main hi har baat kyon yaad aati hai
Posted 25 Oct 2004

Freddy says
kya baat hai app ki mujay be woe tareeka sekha dein jis sei kabi kabi he sahi namaz mein koi ore khayaal na ayeee.............meri sarii zindagi mein aesa nahi hoa kay jub mein namaz paar raha hoon ore koi khyaal na ayaa hoo.



hum bachay masoom hai ess leye un ki namaaz kabool ......jo bechara majboor ho uss ki namaaz kue nahi kabool ?? koi bechara lakh dil ko saaf rukhnay ki koshish karay namaaz kay duraan paar na ho sakay tu kya uss ki namaaz be kabool na hoyee ??
Posted 25 Oct 2004

shaista says
khuda qabool karne wala hai. aggar niyat saaf ho aur dil se koshish kare to mere khayaal main qabool hoti hai.

Posted 25 Oct 2004

Ashii says
sal fan,, areyy yar i was talking abt niyyat ofcourse
but niyat dil mei hoti hai so i used word "dil"





arey nahi freddy,, me yeh nahi keh rahi k POOORI TAWAJO se namaz,, saaaf dil se mera matlab hai k
logon ki taraf se dil saaf,, ya phir dil mei kissi gunah ka khyal na ho
for example agar mera kaam hi milawat karna aur rishwat lena hai, ya phir geebat karna jhoot bolna meri aadat hai
ya me bohot maghroor hu,, harr kissi ki takleef se behis hu,,
aur saath mei agar me saari namaz parhti hu
to kya aisi namaz kubool hoti hai

jahan tak poori tawajja ka taluk hai to it s something different,, jab hum pareshan hon ya koi jaldi ho to kabhi dil nahi lagta namaz mei,,, that s different,,
mera khyal mei aisi namaz kubool hoti hai par uss ka sawab kam hota hai
agay Allah miyan behtar janein..
Posted 25 Oct 2004

Ashii says
waise namaz mei galt khyal aana normal hai
i ve read once,, bura khyal bijli k taar ki tarha hota hai
usse khud se door karne liye bhi chuo ge tab bhi lipat jae ga


insaan ka dil aur dimag saaf aur roshan hona chaiye
k bura khyaal aae aur aa k nikal jae
it s not that simple but try it,, it works
Posted 25 Oct 2004

Freddy says
ess ka jawab muj sei baad mein leena abi roza lug raha hai
Posted 25 Oct 2004

shaista says
issi liye fakeer jangaloon main jaate the taan ke dunya ka khayaal un ke dil aur dimaagh main na aaye aur woh ibadat main hi khooye rahein lekin aaj kal hum yeh soochte hain ke namaaz ka time hai lekin mera falaan favourite tv programm lagne wala hai kia karoong ab?


jaise dunya main is se barri aur koi problem naheen hai....
Posted 25 Oct 2004

Ashii says
yep,, par iss ka taluk niyyat se hai
agar hum apne TV prog liye jaldi kar rahe hein to matlab hua k hamare liye namaz tv prog se kam important hai
and this is wrong
(han kabhi aisa ho sakta hai k koi wakai aisa zaroori kaam ho k namaz jaldi se parhi jae ja kazaa ki jae)
hmmm,, im saying that coz me normaly 3 namaz kazaa parhti hu coz of my job,, but i sometimes wonder k meri job wakai namaz se zyada zaroori hai,,,,
hmmmm,, Allah miyan knows better



par yar,, dunya ko chor dena bhi to sahi nahi hai
Islam teaches us how to live in a society,, par jab dunya hi chor do ge to saare ehkaam kaise poore karo ge ??
Posted 25 Oct 2004

shaista says
haan yeh to hai....

lekin woh loog hum se behtar the...

ab humaare bas ki baat kahan hai ke hum dunya choor dein....

haan, job to namaaz se zaroori naheen hai lekin kia karein....
Posted 25 Oct 2004

shaista says
sada na bagheeN bulbul bolay, sada na bagh baharaN


mai'kada abaad rahay ga, chalakta jaam reh jaye ga
hum guzar jayeN gay, bus hamara naam reh jaye ga

hasratoN ka ambaar pinhaN, rakh kay iss dhair meiN
kaheeN ankhoN say ansoo aaj ki shaam beh jaye ga

na bhool paieN asoodgi meiN bhi ghurbat ki talkhiaN
phir bhi qabil-e-rushk zindagi ka anjaam keh jaye ga

satanay ki, na ji ko jalanay ki yadeiN haiN ab naseeb
yeh gum-naam ab khushi say her ilzaam seh jaye ga

zindagani ki bisat saji hoi thi ittefaqi janam kay tufail
peechay jahan yuNhi gardish-e-dawaam reh jaye ga
Posted 25 Oct 2004

Guest_005 says
JAB BHI KOI NAMAZ PARHTA HAI ....
ZAHIR HAI WO ACHI NIAT SAY HI PARHTA HAI ....
AB IS BAHAS MAIN NA HI PARAIN TO BEHTER hAI ....
KABOOL KARNAY WALI TO ALLAH KI ZAT HAI ....
AUR JAB WO RAHAM KARNAY PAR AATA HAI .TO SAB GUNA CHAHTAY WO CHOTA HAI YA BARA ..MUAF KAR DAITA HAI >.....
Posted 25 Oct 2004

shaista says
hmmm, i agree!

Posted 25 Oct 2004

SALL said:

bilkul sahi,,
i agree


par yeh question humein khud se puchna hai
kissi ki niyyat kaisi hai hum nahi jaan sakte
par meri niyyat kya hai yeh me to jaan sakti hu na



Offcourse...
Posted 25 Oct 2004

pehle namaz..baki sab kaam baad main..leken agar job ho tu namaz kaza bhi parhi ja sakti hai...leken namaz nahi chor sakte na...strange some ppl says we have no time for namaz...
Posted 25 Oct 2004

SALL said:

yep,, par iss ka taluk niyyat se hai
agar hum apne TV prog liye jaldi kar rahe hein to matlab hua k hamare liye namaz tv prog se kam important hai
and this is wrong
(han kabhi aisa ho sakta hai k koi wakai aisa zaroori kaam ho k namaz jaldi se parhi jae ja kazaa ki jae)
hmmm,, im saying that coz me normaly 3 namaz kazaa parhti hu coz of my job,, but i sometimes wonder k meri job wakai namaz se zyada zaroori hai,,,,
hmmmm,, Allah miyan knows better



par yar,, dunya ko chor dena bhi to sahi nahi hai
Islam teaches us how to live in a society,, par jab dunya hi chor do ge to saare ehkaam kaise poore karo ge ??



Nahi yaar...that doesn't mean aap ki job zaida zaruri hai...agar aap namaz na parti tu phir keh saktey hain ke your job is important then namaz...aap ki namaz chut jati hai leken phir bhi aap kaza parti ho aisa nahi sochna aainda
Posted 25 Oct 2004

Freddy says
yaar shahrukh uncle meri posts kue delete kaar rahay hoo











































roz lug raha hai kya
kekekekekekekek
Posted 25 Oct 2004

be serious...otherwise har post del hogie...this is serious topic..if you do like this members wont come here coz of you
Posted 25 Oct 2004

shaista says
haan, srk... is ki saari posts delete kardo. balke isko bhi delete kardo....

kyon iftaari ho gayi?
Posted 25 Oct 2004

shaista said:

haan, srk... is ki saari posts delete kardo. balke isko bhi delete kardo....

kyon iftaari ho gayi?




if he behave like this...he has to go from here...abi nahi 18:30 today
Posted 25 Oct 2004

Reply to Topic