WaFa...............!!!!!!!!!!!!!

11293 views 126 replies
Reply to Topic
DiL Ki RaNi

Age: 124
Total Posts: 64
Points: 0

Location:
United Arab Emirates, United Arab Emirates
Shart-E-Wafa

Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gain
Dil Lagain Gain Tu Na Shart-E-Wafa Rakhain Gain



Na Dekhain Gain Kabhi Dil Pay Lagay Zakhm Unhain
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gain



Jaan Day Daingain Agar Aik Ishaara Kar Day
Hum Usay Apnay Liey Bhi Na Bacha K Rakhain Gain



Sab Hata Daingain Teri Raah Ki Rukawat Humdam
Ghar K Darwazay Ko Har Waqt Khula Rakhain Gain



Unki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain Gain Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Say Laga Rakhain Gain



Toot Bhi Jay Gi Umeed Jo Terey Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gain



======================================================


Posted 26 Oct 2004

paki_fan says
very niceeee poems
Posted 14 Dec 2004

WAFA TU UNNNNN SAY HOTI HAI MOHABAT JIN SAY HOTI HAI
KHATA BHI UNNNN SAY HOTTI HAI MOHABAT JIN KO HOTI HAI


                              ~~~BY JB'S QUEEN~~~

Posted 14 Dec 2004

WAFA says
v nice queen
Posted 14 Dec 2004

joker says
Kool Queen
Posted 19 Dec 2004

Fairl_Girl says
Posted 20 Dec 2004

Fairl_Girl says
Posted 20 Dec 2004

Fairl_Girl says
Posted 20 Dec 2004

joker says
nice janubaba
Posted 22 Dec 2004

Fairl_Girl says
thanks
Posted 22 Dec 2004

Posted 22 Dec 2004

Posted 22 Dec 2004

joker says
yw
Posted 01 Jan 2005

joker says
yw
good rani
Posted 01 Jan 2005

thnx
Posted 01 Jan 2005

joker says
yw
Posted 02 Jan 2005

joker says
Kisi ne sach kaha hai yeh
Mohabbat aur kahani main koi rishta nahin hota
Magar meri mohabbat to
Kahani hi kahani hai
Mohabbat ki kahani main
Koi raja na rani hai
Na shehzada na shehzadi
Mohabbat ki kahani to
Musafat hi musafat hai
Mohabbat ki musafat aur
Zaroorat ki musafat main
Musafir waapsi ke saarey imkaan paas rakhta hai
Mohabbat ki musafat main
Musaafir ke palatney ka koi rasta nahin hota
Woh saari kashtian apni
Jala detey hain saahil par
Ke na-umeed honay par
Palatna bhi agar chaahein
To wapas jaa nahin paain
Waheen gharqaab ho jain
---------- -----------------
Mohabbat ki kahani main musafat ki basharat thi
Musafat tay hui to phir
Jala daali theen maine bhi
Waheen sab kashtian apni
Jahan pehla parao tha
Shikasta jism tha mera
Merey seenay main ghao tha
Bharakta ek alao tha
Kisi ki chaah main sab kuch luta kar aa gaya tha main
Kahan par aa gaya tha main?
Jahan pehchaan ka apni
Hawala hi nahin milta
Hawadis ke thapairon se
Sambhala hi nahin milta
Shab-e-tairah se nikla tha
Ujaalon ki tamanna main
Magar mujh ko kisi jaanib
Ujala hi nahin milta
Magar himmat nahin haari
Magar himmat nahin haari
Yahan tak aa gaya hon main
Jahan har so ujala hai
Meri pehchaan hai apni, watan mera hawala hai
Mujhay is ne sambhala hai
Issay maine sambhala hai
Yahi mera hawala hai
Yahi tera hawala hai!
Posted 02 Jan 2005

Fairl_Girl says
Posted 04 Jan 2005

joker says
thx
Posted 04 Jan 2005

Fairl_Girl says
Posted 04 Jan 2005

joker says
Posted 05 Jan 2005

Fairl_Girl says
Posted 05 Jan 2005

Fairl_Girl says
Posted 05 Jan 2005

joker says
Posted 06 Jan 2005

joker says
Posted 06 Jan 2005

Fairl_Girl says
THX
Posted 06 Jan 2005

joker says
yw

Paoun Ki Zanjeer Kai Peechay
Lafz hay Ik Lakeer k Peechay

Khawab bhi abb to paas nehin hein
bhagein kia taabeer kai Peechay

Haath mein le ker Saber ki Laathi
Chaltay hein Taqdeer Kay Peechay



Posted 07 Jan 2005

Fairl_Girl says
wah wah
Posted 07 Jan 2005

Fairl_Girl says
Posted 07 Jan 2005







Posted 07 Jan 2005

Fairl_Girl says
Posted 08 Jan 2005

Reply to Topic