Gusa............

1785 views 52 replies
Reply to Topic
Prince Of Jb

Age: 124
Total Posts: 1246
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Gusa karnay say roza TOOT jata hay ya k salamat rehta hay????????
Posted 27 Oct 2004

Hmmm depends hum kuch galat na keh dein gusay main...warna mere khyaal main nahi toota
Posted 27 Oct 2004

shaista says
to ghussa karna ki kia zaroorat hai?!
Posted 27 Oct 2004

agar ko gusa dila de tu?
Posted 27 Oct 2004

shaista says
hmm, is par soochna parrega...phir to uski ghalti na. ab shauk se thora ghussa ho rahe ho
Posted 27 Oct 2004

agar koi na mane key doosra sach bol raha hai phir?? aur us ko pareshan kar dey??
Posted 27 Oct 2004

shaista says
kyon mujhe ghussa dilaani ki dhaan li hai kia
Posted 27 Oct 2004

jo maine poocha hai batao na....plzzzz
Posted 27 Oct 2004

shaista says
to phir ghussa theek hai, mere khayaal main...

aggar main kahoon ke tum jhuut bool rahe ho aur main na maanoon ke tum such bool rahe ho tab tum ghussa karo to theek hai (aggar tum such bool rahe ho to...)

main apni advice buro khool rahi hoon, hmmm good idea i think...
Posted 27 Oct 2004

Well yarr Gusa apni jagha , lakin kia jo gusa hum iftarii k saman par karty hain wo jaiz hay????? what u say?
Posted 27 Oct 2004

friend_16 says
Ghussay say Rooza makooh ho jata hai.. ghussa main agar appp comments do agay say aur baat larayee taak poochcha jaiy tu ...
otherwise app ko ghussa aiy aur app ka self control itna acha hai kay app agay say koi comment nahi daitay tu its alright!
Posted 27 Oct 2004

aur jo nahi mane...yahan tak main kahun key "maine roza rakha hai main kyun jhoot bolun"other person says mujhe kya pata..phirrrrrrr
Posted 27 Oct 2004

friend_16 said:

Ghussay say Rooza makooh ho jata hai.. ghussa main agar appp comments do agay say aur baat larayee taak poochcha jaiy tu ...
otherwise app ko ghussa aiy aur app ka self control itna acha hai kay app agay say koi comment nahi daitay tu its alright!



oke jee
Posted 27 Oct 2004

friend_16 says
Prince Of Jb said:

Well yarr Gusa apni jagha , lakin kia jo gusa hum iftarii k saman par karty hain wo jaiz hay????? what u say?



aftrai kay samaan par matlab? kay ye dish kyun nahi ya ye kyun nahi??
Posted 27 Oct 2004

shaista says
phir tum uska naam batado main us se nipat leti hoon

kyon woh larka hai ya larki?!
Posted 27 Oct 2004

shaista said:

phir tum uska naam batado main us se nipat leti hoon

kyon woh larka hai ya larki?!



lalki
Posted 27 Oct 2004

friend_16 says
roozay main aisee batein kerna jin say doosroon ko ghussa aiy takleef hoo ye bhee Makrooh hai .. Roza hamain Self control sikhata hai .. aik dosray ki izzat kerni chahyee aur in buree cheezoon say bachna chahyee..
Posted 27 Oct 2004

prince aftari ke waqt i m sure koi ese nahi kehta hoga....bhook jo sakht lagi hoti hai
Posted 27 Oct 2004

shaista says
MY GUESS WAS RIGHT NA....HIHIHI

to special larki hai....hmmmm.. bas us ko call kardo aur batado ke tum jhuut naheen boolte
Posted 27 Oct 2004

friend_16 said:

roozay main aisee batein kerna jin say doosroon ko ghussa aiy takleef hoo ye bhee Makrooh hai .. Roza hamain Self control sikhata hai .. aik dosray ki izzat kerni chahyee aur in buree cheezoon say bachna chahyee..



par kisi ko kya parwa
Posted 27 Oct 2004

shaista says
mere khayaal main us ne humaare bhai ko bahut ghussa dilaya hai.... issi liye gaal laal laal ho rahe the aur itne chirchirre hojaate hain...
Posted 27 Oct 2004

shaista said:

mere khayaal main us ne humaare bhai ko bahut ghussa dilaya hai.... issi liye gaal laal laal ho rahe the aur itne chirchirre hojaate hain...



main kisi ka gussa kabhi bhi kisi aur par nahi utarta...gussa khatam bhi ho gaya
Posted 27 Oct 2004

~Fragi~ says
gusa tu karna waise bhi haram hai ... roozey mein us ka kiya kaam
Posted 27 Oct 2004

shaista says
good...

aggar eik ko ghussa aa jaye to doosra chup ho jaata hai aur doosre ko aa jaye to pehla chup ho jaata hai... compromise dear! agli baar (ramzaan ke baad) khuub ghussa karna us par   
Posted 27 Oct 2004

~Fragi~ said:

gusa tu karna waise bhi haram hai ... roozey mein us ka kiya kaam



haan jee...jo gusay par controle kare wohi se mazbuut insaan hota hai according to hadees
Posted 27 Oct 2004

shaista says
wise words!


lekin aggar phir bhi aa jaye to?

Posted 27 Oct 2004

controle yaar
Posted 27 Oct 2004

shaista says
ok, ab hum challe ghar. office time khatam....

iftaari ka intezaar kar rahe hain, bahut bhuuk laggi hai

take care & Khudahafiz
Posted 27 Oct 2004

friend_16 says
~Fragi~ said:

gusa tu karna waise bhi haram hai ... roozey mein us ka kiya kaam



jaiz kaam par ghussa kerna theek hai ..

jaisay jang main dushmanoon par ghussa hoo ga tu marain gay na ... ab hamdardi say tu mara ja nahi sakta ..
Posted 27 Oct 2004

take care..Allah Hafiz...
Posted 27 Oct 2004

~Fragi~ says
on the whole gusa acha nahi na na
Posted 27 Oct 2004

Reply to Topic