Aik Sawal???????

5794 views 146 replies
Reply to Topic
QUEEN VICTORIA

Age: 124
Total Posts: 26285
Points: 0

Location:
Lahore, Pakistan
main nay aaj hi aik movie daikhi hai VEER ZAARA
acchi lagi,,,rona bhi aaya
issi tarha ki aik Pakistani movie bhi daikhi thi kuch arsa pehlay shaid oos ka naam "KHOAY HO TUM KAHAN" ya kuch aur tha shan aur zara sheikh ki...
aisi hi kuch aur movies hain jin main sab ka aik hi moral hota hai"INDO PAK frienship".
in sab main youth ko yeh bataya jata hai k hum aik hain mazhab, sarhad, hakoomat ya politics sab hum ko alag karnay ki koshish kertay hain , hum log kal bhi aik thay aaj bhi aik hain.
aaj kal hum naach ga ker aik doosaray k shows(artists) attend ker k yeh sabit karnay main lagay hain k hum ko alag karna ghalat tha.iss cheez ko hum aman qayam karnay ki koshish kahtay hain.

iss tarha ki movies daikh ker hamesha meray zahan main kuch sawal uthtay hain..............!
1- kya "DO QOUMI NAZRIYA" Sir sayad ahmed khan ki ghalati thi.
2- kya jin logon nay 1940 main Pakistan resolution k pass honay say lay kar 1947 tak struggle ki woh waqt zaya kya?
3- kya 1965 main Pakistan ko bachanay k liye honay wali shadatain bekaar thin?
4- Kya Quid e Azam nay iss din k liye hamain Pakistan diya?



kya koi mujhay yeh bata sakta hai k aaj jo pegham hamian diya ja raha hai hamari manzil woh honi chahiye...kya waqaye hum aik hain ya hamin hona chahiye
Posted 23 Nov 2004

shaista says
haan, lekin baat yehi hai na.. kashmir hum chahte hain lekin india bhi kashmir chahta hai... india to puura pakistan harp karna chahta hai...

Posted 24 Nov 2004

friend_16 says
ye cheating hai .. india hum say kitna bara hai area wise .. aur waisay bhee kashmir main majority muslims ki hai ..
humain kashmir millna chayee..
india ka chhata hai becharay muslims ko rooz shaheed kertay hein ..
Posted 24 Nov 2004

shaista says
good!!!
Posted 24 Nov 2004

friend_16 says
hum tu kehtay he rahain par hamaree sunta kaun hai..
Posted 24 Nov 2004

shaista says
yehi to problem hai na.....
Posted 24 Nov 2004

friend_16 says
aik problem thori hai yahaan tu problems he problems hein..
Posted 24 Nov 2004

shaista says
hmmm
Posted 24 Nov 2004

friend_16 says
app nay bhee raja wala kaam start ker dia hai..
Posted 24 Nov 2004

shaista says

bach ke rehna, achoot hai yeh
Posted 24 Nov 2004

friend_16 says
.. mujhay nahi lagta main bohaat duur hoo app say..
Posted 24 Nov 2004

shaista says
acha.. woh kaise....

Posted 24 Nov 2004

friend_16 says
app netherlands main ... main pakistan main.. hoo gaiyee na app say duur..
Posted 24 Nov 2004

shaista says
aggar dil se nazdeek hoon to phir duuri kaisi...
Posted 24 Nov 2004

friend_16 says
wah ji kia baat ki hai ... yani app ka full plan hai mujhay ye achoot laganay ka?
Posted 24 Nov 2004

oooooooooo planing chal rahi hay
Posted 24 Nov 2004

shaista says
jee friend, full plan hai...

tayaar ho jao....
Posted 24 Nov 2004

friend_16 says
itnay piyaar say app day he raheen hein tu hum kyun inkaar karein sweet sis..
Posted 24 Nov 2004

shaista says
good!!

warna main apni sis ko kuch de rahi hoon aur woh lene par na raazi ho....



Posted 24 Nov 2004

friend_16 says
exactly .. ab koi itnay pyaar say day aur hum inkaar ker dein ... .. thnkuuuuu sooo much ..
Posted 24 Nov 2004

shaista says
no thanks na...

ur mostly welcome....

ab hmmm challe ga, theek   
Posted 24 Nov 2004

friend_16 says
ok .. hmmmm ..

waisay hum topic say bohaaaaaat duur nikl gaiy.. par ye bhee hai is ka koi fiada nahi .. hum jitna mazree bolein hamare sunta kaun hai ... hum tu yahee ker saktay hein Allah say dua karein apnay kashimri behn bhiayoon kay liay...
Posted 24 Nov 2004

shaista says
haan, abhi koi mod aayega to block kar dega humain...

dua ke siwa kar bhi kia sakte hain.... aggar main eik din ke liye power main hoti to masla hal kar deti...

Posted 24 Nov 2004

friend_16 says
kyun block keray ga .. hum nay kaun se ghalat baat kahi hai?
Posted 24 Nov 2004

shaista says
Posted 24 Nov 2004

friend_16 says
hey sis .. it was really nice talking wid u .. gtg .. tc n Allah Hafiz..
Posted 24 Nov 2004

hudz9 says
chalo bros n sis...bahut achee...total india ke khilaaf.....waise kya main jaan sakti ho ki indians ko aap log kitna jaante haii? sab aapni stereo type ki mentality leke baithe haii.....aap log ki yeh soch hi hum indians or pakis ko durr kar rahi haii... aman toh aap log chahti hi nahii...itni narat jo karti hai indians se! hukumat kuch logo ke haaath mein haii...but atleast humare indian youth mein itni toh samjh hai ki koi bhi hindu aur muslim pe kuch farak nahi samjhta.....azaadi se phele kya hum ek nahi theh? well woh britishers aake hume alag kare...ok chalo hum ek nahi hosakte i agreee...but aaise na umeeed bhi kya hona? me indian n m proud 2 b one...coz atleast hum kisi mein kuch farak toh nahi samjhte....humne humare cllg se india ke all over peace project kiya haii...n uss survey mein majority youths ne participate kiyaa...isliye coz sab yeh maante hai ki humanity is 1st dan religion....dil mein agar dosti karna hai toh usse koi rok nahi sakta...but aap log toh bas nafrat jaanti hai
Posted 24 Nov 2004

mei amsterdam mei rehta hoon yaha tu indian aur pakiz mil ke rehte hein...
Posted 25 Nov 2004

thanx 2 u all dear frnds for ur replies
mera maqsad yahan kashmir ya indo pak relation dis cuss nahin karna tha
warna mera yeh topic khlass ho jata

main sirf aap sab say yeh janana chahti thi k aap log kya sochtay
in movies waghaira main Paki hon ya indian ,dosti k liye jo tareeqay samjhaye jatay hain woh aap logonon ki nazaer main kahan tak theek hain
HUDS yahan aik common baat chala rahi hai aap iss ko dil pay na lo
kissi bhi discussion main hamesha hum ager apni zaat ko involve na karain tab hi woh discussion rehti hai warna jhagra shuroo ho jata hai
mujhay to in baton per aitaraz hain jahan aik muslim aur non muslim ko married dikha diya jata hai kya yeh ghalat nahin kya iss say generation ko aik ghalat sabaq nahin diya ja raha?
awam ho ya hakoomat
koi bhi yeh nahin sabit ker sakta k hum logon main koi difference nahin from A 2 Z we r totally different
aap log bachay nahin warna main yahan oos differences ki examples bhipost karti yeh sab to hamain first standard say aakhiri umer tak parhaya samjhaya jata hai k hum logon ki to base hi say farq nazar aata hai...........2 b conitnued.........
Posted 25 Nov 2004

Ashii says
Queen Victoria said:

main nay aaj hi aik movie daikhi hai VEER ZAARA
acchi lagi,,,rona bhi aaya
issi tarha ki aik Pakistani movie bhi daikhi thi kuch arsa pehlay shaid oos ka naam "KHOAY HO TUM KAHAN" ya kuch aur tha shan aur zara sheikh ki...
aisi hi kuch aur movies hain jin main sab ka aik hi moral hota hai"INDO PAK frienship".
in sab main youth ko yeh bataya jata hai k hum aik hain mazhab, sarhad, hakoomat ya politics sab hum ko alag karnay ki koshish kertay hain , hum log kal bhi aik thay aaj bhi aik hain.
aaj kal hum naach ga ker aik doosaray k shows(artists) attend ker k yeh sabit karnay main lagay hain k hum ko alag karna ghalat tha.iss cheez ko hum aman qayam karnay ki koshish kahtay hain.

iss tarha ki movies daikh ker hamesha meray zahan main kuch sawal uthtay hain..............!
1- kya "DO QOUMI NAZRIYA" Sir sayad ahmed khan ki ghalati thi.
2- kya jin logon nay 1940 main Pakistan resolution k pass honay say lay kar 1947 tak struggle ki woh waqt zaya kya?
3- kya 1965 main Pakistan ko bachanay k liye honay wali shadatain bekaar thin?
4- Kya Quid e Azam nay iss din k liye hamain Pakistan diya?



kya koi mujhay yeh bata sakta hai k aaj jo pegham hamian diya ja raha hai hamari manzil woh honi chahiye...kya waqaye hum aik hain ya hamin hona chahiye



here i amm,,
sorry me ne baki logon k comments nahi parhe abhi

well,,, dosti ka paigham galt nahi hai,, coz itne saalon ki dushmani se sirf nafrat barhi hai,, aur nafrat kissi pb ka ilaaj nahi hai,, jab saath rehna hai to mil k kyun na rahein,,,
but rite,, yeh kehna k mulk ka alag hona galt tha,, dont agreee,,    i didnt watch veer zara,, par agar aisa kaha gaya movie mei to bilkul galt hai,,
basically im against partitions concept,, coz Islam nafrat nahi mohabbat aur bhai chaare ka mazhab hai,, but i know k tab halaat aise paida kar diye gae the k partition was the best solution,,

jahan tak kurbani ka taluk hai to,, i believe kurbani dono taraf se di gai,, zyadti dono logon k saath hui,, par hamare han sirf yehi kaha jata hai k sirf muslims k saath khoon kharaba hua,, hakeekat yeh hai k ache bure log har jaga hote hein,,, funniest thing is sab se zyada zyadti sikhon ki taraf se hui par pakis zyada nafrat hindus se karte hein,,


khair ab jo hua to hua,, we better learn from our past mistakes,,, nafrat sirf mushkil ko barhati hai,
im for nationalisme,, but against racisme,,
most of ppl cant see the difference btw these 2 terms

khair ab tame kharab nahi karo,,, hum ne tayyar bhi hona hai
Posted 25 Nov 2004

dear baat nafrat ya mohabbat ki nahin main yeh samajhna chahti hoon k yeh jo hamarai MASHARAT,way of living waghaira k hawalay say aik ka nara lagay ja raha hai iss k kya asraat hain
Posted 25 Nov 2004

Reply to Topic