Forums
Poetry Cafe (URDU)
Ainda Bars K Khuwab
Reply to Topic
T}{e J|GzZ
Age: 124
Total Posts: 25
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Ik zara si kia unki anaiyat hogayee zamanay bhar ko hum say shikayat ho gayee Pal bhar main barson ki chahat bhula de waqt say pehlay aaj qayamat ho gayee Unki hansi mai na'janay kesa jaadoo tha Dil tor kar hans'na is shahar ki rawaiyat ho gayee meray apnay thay jin'hon nay loota mujhay apnay khoon say bhi mujhay ab weh'shat hogayee dewaana waar main talab'gaar tha khaloos ka isi liye teri nafrat say mujhay mohabat ho gayee dil rota hay khoon k aansoo , charay pay saji hay hansi Asif ki zindgi mai shamil yeh munafiqt ho gayee (By Mustafa Asif)
paki_fan
Age: 124
7553 days old here
Total Posts: 9535
Points: 0
Location:
United States, United States
T}{e J|GzZ welcomeee
wow.. very nicee
T}{e J|GzZ
Age: 124
7278 days old here
Total Posts: 25
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
paki_fan said: T}{e J|GzZ welcomeee wow.. very nicee
Thanskoo BHaiya
Fairl_Girl
Age: 124
7528 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
dost19
Age: 124
7419 days old here
Total Posts: 1545
Points: 0
Location:
United States, United States
very very niceee
T}{e J|GzZ
Age: 124
7278 days old here
Total Posts: 25
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Shukriya Dosto
dost19
Age: 124
7419 days old here
Total Posts: 1545
Points: 0
Location:
United States, United States
no problem
paki_fan
Age: 124
7553 days old here
Total Posts: 9535
Points: 0
Location:
United States, United States
T}{e J|GzZ said:
paki_fan said: T}{e J|GzZ welcomeee wow.. very nicee
Thanskoo BHaiya no problem yaar
Queen of jb
Age: 124
7284 days old here
Total Posts: 5695
Points: 0
Location:
Virgin Islands, Virgin Islands
T}{e J|GzZ din main ziyada khuwab maat dekha karoo.
wese poetry achiiiiiiiiiii haiiiiiii gudddddddddddd.
T}{e J|GzZ
Age: 124
7278 days old here
Total Posts: 25
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Queen of jb said: T}{e J|GzZ din main ziyada khuwab maat dekha karoo. wese poetry achiiiiiiiiiii haiiiiiii gudddddddddddd. &nbs p;
Bohat sukriya Malika Aalia ... wesay din kay khuwab hi achay hotay hain.. raat kay khuwab tou aankh khulnay pay bikhar jatay hain
T}{e J|GzZ
Age: 124
7278 days old here
Total Posts: 25
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Ghum-e-tanhai say paa kar fursat ,kia karna A shakista dil! rasmon say bagawat, kia karna uthaa jaam nafrat ka aur pee kar tou dekh bin chakhay, talkhi ki shikayat, kia karna jab chor hi gay mujhay dekhnay walay ab badal kar apni aadat, kia karna jeenay ki jab koi tammana hi na rahi paa kar ab teri mohabbat, kia karna toot kar bikharna hi jab muqadar thehra rakh kar dil main koi hasrat , kia karna cheen le jo chain o sakooon dil ka hasil kar kay aesi dolat kia karna ASif ko tou ab gumnaaami mai jeena hay paa kar ab koi shohrat kia karna (Mustafa Asif)
shaista
Age: 124
7364 days old here
Total Posts: 4265
Points: 0
Location:
Antarctica, Antarctica
T}{e J|GzZ
Age: 124
7278 days old here
Total Posts: 25
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
shaista
Age: 124
7364 days old here
Total Posts: 4265
Points: 0
Location:
Antarctica, Antarctica
ur welcome
T}{e J|GzZ
Age: 124
7278 days old here
Total Posts: 25
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
shaista said: ur welcome
aik baar fir shukriya
shaista
Age: 124
7364 days old here
Total Posts: 4265
Points: 0
Location:
Antarctica, Antarctica
phir to puura din guzar jayega, ur welcom, thanks kehte kehte.... is liye ab kuch naheen kahongi... aap khud likhte hain?
shaista
Age: 124
7364 days old here
Total Posts: 4265
Points: 0
Location:
Antarctica, Antarctica
i mean the poetry?
T}{e J|GzZ
Age: 124
7278 days old here
Total Posts: 25
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
shaista said: phir to puura din guzar jayega, ur welcom, thanks kehte kehte.... is liye ab kuch naheen kahongi... aap khud likhte hain?
din hi tou ghuzarnay hain :)
likhna kia hay ji bas jo dil main chal raha hota hay usay lafzon ka roop de deta hoon
shaista
Age: 124
7364 days old here
Total Posts: 4265
Points: 0
Location:
Antarctica, Antarctica
hmmm, bas sub hi to dil ki baat kaaghaz par naheen bayaan kar sakte na...
T}{e J|GzZ
Age: 124
7278 days old here
Total Posts: 25
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
shaista said: hmmm, bas sub hi to dil ki baat kaaghaz par naheen bayaan kar sakte na...
sahi kaha .. laiken aap nay wo misaal tou suni hogi , k jab ser pay partee hay tou kaam ho jata hay , isi tarah jab dil pay lagtee hai na tou fir dil ka haal safa-e-qirtaas pay ubharnay
shaista
Age: 124
7364 days old here
Total Posts: 4265
Points: 0
Location:
Antarctica, Antarctica
yes, that's true....
T}{e J|GzZ
Age: 124
7278 days old here
Total Posts: 25
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
ye saal bhee ik zakham naya de gaya mujhay phir say jeenay ki saza de gaya jin ankhon mai main sajjay thay khuwab kabhi inhin ankhon ko wo aanson k dariya de gaya barh gay mayoosi kay andheray mazeed \ akhri chiraagh bhi aaj dagha de gaya shayad usay maloom nhi thay aasool-e-mohabat wo mujhay waffa k badlay jaffa de gaya is say barh kay koi bud'dua kia ho gi ASIF wo jatay howe mujhay zindgi ki dua de gaya (Mustafa Asif)
shaista
Age: 124
7364 days old here
Total Posts: 4265
Points: 0
Location:
Antarctica, Antarctica
wow!! very nice..
T}{e J|GzZ
Age: 124
7278 days old here
Total Posts: 25
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
shaista said: wow!! very nice..
nawazish
Queen of jb
Age: 124
7284 days old here
Total Posts: 5695
Points: 0
Location:
Virgin Islands, Virgin Islands
T}{e J|GzZ said:
Queen of jb said: T}{e J|GzZ din main ziyada khuwab maat dekha karoo. wese poetry achiiiiiiiiiii haiiiiiii gudddddddddddd. &n bs p;
Bohat sukriya Malika Aalia ... wesay din kay khuwab hi achay hotay hain.. raat kay khuwab tou aankh khulnay pay bikhar jatay hain ur welcome ................din main khuwab dekho gay tu
kaam kon kare ga.....
T}{e J|GzZ
Age: 124
7278 days old here
Total Posts: 25
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Queen of jb said:
T}{e J|GzZ said:
Queen of jb said: T}{e J|GzZ din main ziyada khuwab maat dekha karoo. wese poetry achiiiiiiiiiii haiiiiiii gudddddddddddd. &n bs p;
Bohat sukriya Malika Aalia ... wesay din kay khuwab hi achay hotay hain.. raat kay khuwab tou aankh khulnay pay bikhar jatay hain ur welcome ................din main khuwab dekho gay tu kaam kon kare ga..... khuwab dekhna bhi tou ik kaam hi hay na
Fairl_Girl
Age: 124
7528 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Laut kar ana bhi bhool jao, itne duur mat jana Chah kar bhi na palat pao, itne duur mat jana Ye fasley har rabta bhi phir torr dain Mere bad tum mujhe bolao, itne duur mat jana Tumhari har baat pe hai dil ko aitebar Zaroorat pare ke yaqeen dilao,itne duur mat jana Waqt ke saath har umeed hi mar jaye Ye bhi ke tum wapis aao,itne duur mat jana Kuch na baqi rahe phir humare darmiyan Har yaad ko tum bhulao,itne duur mat jana
Fairl_Girl
Age: 124
7528 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Us Phool Se Chehre.......... Ke Naam Jis Ney Zindagi Ko Udhaas Kar Diya Wo Bewafa Hain To Kya, Mat Kaho Bura Us Ko Ke Jo Huwa So Huwa Khush Rakhe Khuda Us Ko Mat Dekh Koi Shakhs Gunehgaar Hain Kitna Yeh Dekh Tere Saath Wafadar Hain Kitna Shikwa Karte Hain Zubaan Se Na Gila Karte Hain Tum Salamat Raho Bas Yehi Dua Karte Hain Zara Si Roshni Milti Chiragh-e-Dil Jala Lete Nazar Ki Pyaas Bujh Jaati Ghari Bhar Muskura Lete Judai Ka Pata Hota Tere Pyaar Se Pehle Marne Ki Dua Karte Tere Deedar Se Pehle Mohabbat Main Dil-e-Nadaan Sukoon Paya Nahin Karte Jazbe Jin Ke Sadiq Houn Wo Ghabraya Nahin Karte Kabhi Kisi Ko Mukammal Jahaan Nahin Milta Kahi Zameen To Kahi AasmaaN Nahin Milta Wo Kehte The Rone Se Nahin Badalte Naseeb Un Ki Is Baat Ne Umar Bhar Rone Na Diya TamaaM Raat Mere Ghar Ka Ek Dar Khulla Raha Ham Rah Dekhte Rahe Wo Raasta Badal Gaya Peeta Tha Magar Churadi Tu Nein Apni Qasam De Kar Mehfil Main Gaya To Yaaron Ne Piladi Teri Qasam Dekar Mera To Jo Bi Qadam Hain Wo Teri Rah Main Hain Ke Tu Kahi Par Bhi Rahe Tu To Meri Nigah Main Hain Kaanto Par Bhi Neend Aae , Saath Agar Dilbar Ho Bin Dilbar Neend Na Aae , Chahe Phoolon Ka Bistar Ho Mehnat Kaar Ko Kameen?Be Imaan Ko Zaheen Kehte Hain Yeh Dunya Ke Samjahdaar Loag,Behaya Ko Haseen Kehte Hain Thora Sa Juram Kar Ke Chaha Tha Muskurana Hum Ne Marne Nahin Deti Mohababt , Jeene Nahin Deta Zamana
T}{e J|GzZ
Age: 124
7278 days old here
Total Posts: 25
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
bohat umdah inteekhaab
T}{e J|GzZ
Age: 124
7278 days old here
Total Posts: 25
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
mausam badlay tou shaakh say patay ghir jatay hain bichar kar log apnoun say aksar mar jatay hain dil k ainay mai na dekha karo logon ko totay jo dil kabhi tou aks bighar jatay hain kisi ajnabi kai sath door talak na jaana rastay hon dhushwaar tou hamsafar thehar jatay hain khuwabon ki duniyan mai rehna chor do ager aankh khulai tou khuawab bikhar jatay hain faslay kam hon tou nazar atee hay haqeeqat door say tou sab manzar haseen nazar aatay hain qurb-e-nishat mai bhi dhoka hi milla kiya khabar thee k log wada kar k mukar jatay hain ASif un say milo tou marham paas rakhna zakham wohi detay hain jo ba-zahir apnay nazar atay hain (Mustafa ASif)
Fairl_Girl
Age: 124
7528 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Reply to Topic