Ainda Bars K Khuwab

1991 views 37 replies
Reply to Topic
T}{e J|GzZ

Age: 125
Total Posts: 25
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Ik zara si kia unki anaiyat hogayee
zamanay bhar ko hum say shikayat ho gayee

Pal bhar main barson ki chahat bhula de
waqt say pehlay aaj qayamat ho gayee

Unki hansi mai na'janay kesa jaadoo tha
Dil tor kar hans'na is shahar ki rawaiyat ho gayee

meray apnay thay jin'hon nay loota mujhay
apnay khoon say bhi mujhay ab weh'shat hogayee

dewaana waar main talab'gaar tha khaloos ka
isi liye teri nafrat say mujhay mohabat ho gayee

dil rota hay khoon k aansoo , charay pay saji hay hansi
Asif ki zindgi mai shamil yeh munafiqt ho gayee

(By Mustafa Asif)
Posted 17 Dec 2004

paki_fan says
T}{e J|GzZ welcomeee

wow.. very nicee
Posted 17 Dec 2004

T}{e J|GzZ says
paki_fan said:

T}{e J|GzZ welcomeee

wow.. very nicee



Thanskoo BHaiya
Posted 17 Dec 2004

Fairl_Girl says
Posted 18 Dec 2004

dost19 says
very very niceee
Posted 18 Dec 2004

T}{e J|GzZ says
Shukriya Dosto
Posted 18 Dec 2004

dost19 says
no problem
Posted 18 Dec 2004

paki_fan says
T}{e J|GzZ said:

paki_fan said:

T}{e J|GzZ welcomeee

wow.. very nicee



Thanskoo BHaiya


no problem yaar
Posted 18 Dec 2004

             T}{e J|GzZ
      din main ziyada khuwab maat dekha karoo.
wese poetry achiiiiiiiiiii haiiiiiii gudddddddddddd.
                           
Posted 19 Dec 2004

T}{e J|GzZ says
Queen of jb said:

                T}{e J|GzZ
      din main ziyada khuwab maat dekha karoo.
wese poetry achiiiiiiiiiii haiiiiiii gudddddddddddd.
                      &nbs p;      



Bohat sukriya Malika Aalia ... wesay din kay khuwab hi achay hotay hain.. raat kay khuwab tou aankh khulnay pay bikhar jatay hain
Posted 21 Dec 2004

T}{e J|GzZ says
Ghum-e-tanhai say paa kar fursat ,kia karna
A shakista dil! rasmon say bagawat, kia karna

uthaa jaam nafrat ka aur pee kar tou dekh
bin chakhay, talkhi ki shikayat, kia karna

jab chor hi gay mujhay dekhnay walay
ab badal kar apni aadat, kia karna

jeenay ki jab koi tammana hi na rahi
paa kar ab teri mohabbat, kia karna

toot kar bikharna hi jab muqadar thehra
rakh kar dil main koi hasrat , kia karna

cheen le jo chain o sakooon dil ka
hasil kar kay aesi dolat kia karna

ASif ko tou ab gumnaaami mai jeena hay
paa kar ab koi shohrat kia karna

(Mustafa Asif)
Posted 21 Dec 2004

shaista says


bahut khuub!!!!!
Posted 21 Dec 2004

T}{e J|GzZ says
shaista said:

   

bahut khuub!!!!!



bohat shukriya janab :)
Posted 21 Dec 2004

shaista says
ur welcome
Posted 21 Dec 2004

T}{e J|GzZ says
shaista said:

ur welcome


aik baar fir shukriya
Posted 21 Dec 2004

shaista says
phir to puura din guzar jayega, ur welcom, thanks kehte kehte.... is liye ab kuch naheen kahongi...

aap khud likhte hain?
Posted 21 Dec 2004

shaista says
i mean the poetry?
Posted 21 Dec 2004

T}{e J|GzZ says
shaista said:

phir to puura din guzar jayega, ur welcom, thanks kehte kehte.... is liye ab kuch naheen kahongi...

aap khud likhte hain?



din hi tou ghuzarnay hain :)

likhna kia hay ji bas jo dil main chal raha hota hay usay lafzon ka roop de deta hoon
Posted 21 Dec 2004

shaista says
hmmm, bas sub hi to dil ki baat kaaghaz par naheen bayaan kar sakte na...
Posted 21 Dec 2004

T}{e J|GzZ says
shaista said:

hmmm, bas sub hi to dil ki baat kaaghaz par naheen bayaan kar sakte na...



sahi kaha ..   laiken aap nay wo misaal tou suni hogi , k jab ser pay partee hay tou kaam ho jata hay , isi tarah jab dil pay lagtee hai na tou fir dil ka haal safa-e-qirtaas pay ubharnay
Posted 21 Dec 2004

shaista says
yes, that's true....

Posted 21 Dec 2004

T}{e J|GzZ says
ye saal bhee ik zakham naya de gaya
mujhay phir say jeenay ki saza de gaya

jin ankhon mai main sajjay thay khuwab kabhi
inhin ankhon ko wo aanson k dariya de gaya

barh gay mayoosi kay andheray mazeed \
akhri chiraagh bhi aaj dagha de gaya

shayad usay maloom nhi thay aasool-e-mohabat
wo mujhay waffa k badlay jaffa de gaya

is say barh kay koi bud'dua kia ho gi ASIF
wo jatay howe mujhay zindgi ki dua de gaya

(Mustafa Asif)
Posted 21 Dec 2004

shaista says
wow!!

very nice..

Posted 21 Dec 2004

T}{e J|GzZ says
shaista said:

wow!!

very nice..



nawazish
Posted 21 Dec 2004

T}{e J|GzZ said:

Queen of jb said:

                  T}{e J|GzZ
      din main ziyada khuwab maat dekha karoo.
wese poetry achiiiiiiiiiii haiiiiiii gudddddddddddd.
                        &n bs p;      



Bohat sukriya Malika Aalia ... wesay din kay khuwab hi achay hotay hain.. raat kay khuwab tou aankh khulnay pay bikhar jatay hain



ur welcome ................din main khuwab dekho gay tu
kaam kon kare ga.....
Posted 21 Dec 2004

T}{e J|GzZ says
Queen of jb said:

T}{e J|GzZ said:

Queen of jb said:

                     T}{e J|GzZ
      din main ziyada khuwab maat dekha karoo.
wese poetry achiiiiiiiiiii haiiiiiii gudddddddddddd.
                           &n bs p;      



Bohat sukriya Malika Aalia ... wesay din kay khuwab hi achay hotay hain.. raat kay khuwab tou aankh khulnay pay bikhar jatay hain



ur welcome ................din main khuwab dekho gay tu
kaam kon kare ga.....


khuwab dekhna bhi tou ik kaam hi hay na
Posted 21 Dec 2004

Fairl_Girl says
Laut kar ana bhi bhool jao, itne duur mat jana
Chah kar bhi na palat pao, itne duur mat jana


Ye fasley har rabta bhi phir torr dain

Mere bad tum mujhe bolao, itne duur mat jana


Tumhari har baat pe hai dil ko aitebar

Zaroorat pare ke yaqeen dilao,itne duur mat jana


Waqt ke saath har umeed hi mar jaye

Ye bhi ke tum wapis aao,itne duur mat jana


Kuch na baqi rahe phir humare darmiyan

Har yaad ko tum bhulao,itne duur mat jana
Posted 22 Dec 2004

Fairl_Girl says
Us Phool Se Chehre.......... Ke Naam
Jis Ney Zindagi Ko Udhaas Kar Diya

Wo Bewafa Hain To Kya, Mat Kaho Bura Us Ko
Ke Jo Huwa So Huwa Khush Rakhe Khuda Us Ko

Mat Dekh Koi Shakhs Gunehgaar Hain Kitna
Yeh Dekh Tere Saath Wafadar Hain Kitna

Shikwa Karte Hain Zubaan Se Na Gila Karte Hain
Tum Salamat Raho Bas Yehi Dua Karte Hain

Zara Si Roshni Milti Chiragh-e-Dil Jala Lete
Nazar Ki Pyaas Bujh Jaati Ghari Bhar Muskura Lete

Judai Ka Pata Hota Tere Pyaar Se Pehle
Marne Ki Dua Karte Tere Deedar Se Pehle

Mohabbat Main Dil-e-Nadaan Sukoon Paya Nahin Karte
Jazbe Jin Ke Sadiq Houn Wo Ghabraya Nahin Karte

Kabhi Kisi Ko Mukammal Jahaan Nahin Milta
Kahi Zameen To Kahi AasmaaN Nahin Milta

Wo Kehte The Rone Se Nahin Badalte Naseeb
Un Ki Is Baat Ne Umar Bhar Rone Na Diya

TamaaM Raat Mere Ghar Ka Ek Dar Khulla Raha
Ham Rah Dekhte Rahe Wo Raasta Badal Gaya

Peeta Tha Magar Churadi Tu Nein Apni Qasam De Kar
Mehfil Main Gaya To Yaaron Ne Piladi Teri Qasam Dekar

Mera To Jo Bi Qadam Hain Wo Teri Rah Main Hain
Ke Tu Kahi Par Bhi Rahe Tu To Meri Nigah Main Hain

Kaanto Par Bhi Neend Aae , Saath Agar Dilbar Ho
Bin Dilbar Neend Na Aae , Chahe Phoolon Ka Bistar Ho


Mehnat Kaar Ko Kameen?Be Imaan Ko Zaheen Kehte Hain
Yeh Dunya Ke Samjahdaar Loag,Behaya Ko Haseen Kehte Hain

Thora Sa Juram Kar Ke Chaha Tha Muskurana Hum Ne
Marne Nahin Deti Mohababt , Jeene Nahin Deta Zamana

Posted 22 Dec 2004

T}{e J|GzZ says
bohat umdah inteekhaab
Posted 22 Dec 2004

T}{e J|GzZ says
mausam badlay tou shaakh say patay ghir jatay hain
bichar kar log apnoun say aksar mar jatay hain

dil k ainay mai na dekha karo logon ko
totay jo dil kabhi tou aks bighar jatay hain

kisi ajnabi kai sath door talak na jaana
rastay hon dhushwaar tou hamsafar thehar jatay hain

khuwabon ki duniyan mai rehna chor do
ager aankh khulai tou khuawab bikhar jatay hain

faslay kam hon tou nazar atee hay haqeeqat
door say tou sab manzar haseen nazar aatay hain

qurb-e-nishat mai bhi dhoka hi milla
kiya khabar thee k log wada kar k mukar jatay hain

ASif un say milo tou marham paas rakhna
zakham wohi detay hain jo ba-zahir apnay nazar atay hain

(Mustafa ASif)
Posted 22 Dec 2004

Fairl_Girl says
Posted 22 Dec 2004

Reply to Topic