Dil Tootanay tay....

37033 views 1310 replies
Reply to Topic
wafakadard

Age: 124
Total Posts: 6204
Points: 0

Location:
United States, United States
Hi friends, I am Sunny Malik your new and OLD friend
Here you will find Poetry of Pain......
if anyone like to read about pain so you are on right place here.......... if you like to so plz send some too.... but everyday you will get something new here Umed hai time acha guzaray gha ap ke saath


mujhey phool na dena mujhey unse nafrat hai
dena hai to kaantey dedena mujhey unki aadat hai
woh chubtey hain zhakham detey hain imandari se
phool to bewafa hotey hai , doka detey hain wafadari se!!! (Sunny)
Posted 31 Jan 2005

HiRa.... says
YUP NICE..
Posted 16 Jul 2005

ONLYARBAB says
nice ji nice
Posted 17 Jul 2005

ONLYARBAB says
suna hay k har cheez milti hay dua say
ek rooz tumhey maang k dekhain gay khuda say
Posted 17 Jul 2005

ONLYARBAB says
jata jata k mohabat dikha dikha k khuloos
bare faraib say loota hay dosto nay mujhey
Posted 17 Jul 2005

wafakadard says
ye jo ham hijr mein deewaar-o-dar ko dekhte hain
kabhee saba ko kabhee naamaabar ko dekhte hain
Posted 17 Jul 2005

wafakadard says
nice guys
Posted 17 Jul 2005

~CHANDNI~ says
Posted 17 Jul 2005

~CHANDNI~ says
jo meri aankhon se khwaab dekho...




jo meri aankhon se khwaab dekho

to aik shab bhi na so sako gay



k laakh chaho na huns sako gay

hazaar chaho na ro sako gay



k khwaab kia hain azaab hain ye

mere dukhoon ki kitaab hain ye



rafaaqatain in main choot-ti hain

muhabbatain in main rooth-ti hain



panapti hain in main wehshatain si

aziatain in main phoot-ti hain
Posted 18 Jul 2005

HiRa.... says
Posted 18 Jul 2005

~CHANDNI~ says
thannnx   hira
Posted 18 Jul 2005

Fairl_Girl says
Main saahil pey likhee hoee ibaarat nahee
Jo lehron se mit jaati hay


Main baarish ki barasti boond nahee
Jo baras ker tham jaati hay


Main khwab nahee
Jisey dekha aur bhula dya


Main shama nahee
Jisey phoonka aur bujha dya




Main hawa ka jhonka nahee
Jo aaya aur guzar gaya




Main chand bhi nahee
Jo raat k baad dhal jaye




Main to woh ahsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay




Main to woh rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay




Main woh geet hoon
Jo teray labon se juda na hoga




Main to woh parwaana hoon
Jo jalta rahayga magar fana na hoga




Khwab,ibaarat,hawa ki tarah
Chand,boond,shama ki tarah




Meray mitnay ka sawaal nahee
Kyunkay MÄÏN TÖ MÖHÄßßÄT HÖÖN

Aur Mohabbat Koi Sawaal Nahee....!!!!
Posted 20 Jul 2005

cutefriend says
gud work fg
Posted 20 Jul 2005

wafakadard says
Dard Ko Kabhi Mittay Nahin Dekha hai Maine
Pyar Ko Ghtay Kabhi Nahin Dekha Hai Maine
Posted 20 Jul 2005

wafakadard says
Ae Dil Tu Kyun Itna Udaas Ho Gaya
Ek Pal Mein Kaise Koi Itna Khaas Ho Gaya
Jab Yaad Aaye Woh Beete Lamhein To
Gham Mein Bhi Khushi Ka Ehsaas Ho Gaya
Posted 20 Jul 2005

mahya says
nice
Posted 23 Jul 2005

Fairl_Girl says

Ateet apne aap ko kyun dohrata hai
milkar koi phir kyun kho jata hai
zindagi bhar saath rehne ka vada kyun kiya
jab tumhe sirf bichhadna hi aata hai..
Posted 24 Jul 2005

wafakadard says
Ankhon ki zuban woh samajh nahin patay
Hoont magar kuch keh nahin patay
Apni bebassi kiiss tarhan kahain hum
Koi hai jis ka bina hum reh nahin patay
Posted 26 Jul 2005

Guest_005 says
wafakadard said:

Ae Dil Tu Kyun Itna Udaas Ho Gaya
Ek Pal Mein Kaise Koi Itna Khaas Ho Gaya
Jab Yaad Aaye Woh Beete Lamhein To
Gham Mein Bhi Khushi Ka Ehsaas Ho Gaya



AHAAN NICE
Posted 26 Jul 2005

Guest_005 says
Fairl_Girl said:


Ateet apne aap ko kyun dohrata hai
milkar koi phir kyun kho jata hai
zindagi bhar saath rehne ka vada kyun kiya
jab tumhe sirf bichhadna hi aata hai..



AHAAN NICE JI
Posted 26 Jul 2005

Guest_005 says
wafakadard said:

Ankhon ki zuban woh samajh nahin patay
Hoont magar kuch keh nahin patay
Apni bebassi kiiss tarhan kahain hum
Koi hai jis ka bina hum reh nahin patay




WOWW VERY NICE
Posted 26 Jul 2005

Guest_005 says
   
Posted 26 Jul 2005

wafakadard says
Thnaks Maha Raja
Posted 27 Jul 2005

Fairl_Girl says
Posted 28 Jul 2005

wafakadard says
WOW FG bahot achay
Posted 01 Aug 2005

wafakadard says
ilzaam-e- mohobbat zamaane se mili
gham-e- do-jahaan bewafa yaar se mili

bin mange har dard bethahaasha mili
mangi jo maut aye khuda kyun na mili
Posted 01 Aug 2005

cutefriend says
Posted 01 Aug 2005

Fairl_Girl says
Posted 02 Aug 2005

cutefriend says
Posted 02 Aug 2005

wafakadard says
nice
Posted 03 Aug 2005

wafakadard says
Matlabi hai yeh duniya yahan kaun kisi ka hota hai
Dhoka bhi wohi deta hai jis pe bharosa hota hai..
Posted 03 Aug 2005

Reply to Topic