muslim said:nb yar gudi urane mein konsa ghair ikhlaqi kam hai
muslim said:SUBHANALLAHbakhair
i dont find aby thing wrong in it
Quran ya Hadees hamain ise rokne se mana nai karta
islam ek broad religion hai agar koi culture arab mein nai hai to is ka ye matlab nai k ham use adopt na kareen
muslim said:g han
QUEEN said:
1- Kya Quran main bayja ASRAF ki ijazat hai?
2- Kya Quran main mard o aurat ki MAKHLOOT MAHFILON KI ijazat hai?
3- Kya Quran main bay ja shor shraba jis say doosaron ko takleef ponhchay,is ki ijazat hai?
4- kya Quran main MUSIC, bajon, ki ijazat hai?
QUEEN VICTORIA said:
muslim said:SUBHANALLAHbakhair
i dont find aby thing wrong in it
Quran ya Hadees hamain ise rokne se mana nai karta
islam ek broad religion hai agar koi culture arab mein nai hai to is ka ye matlab nai k ham use adopt na kareen
plz muslim sahib tell me
1- Kya Quran main bayja ASRAF ki ijazat hai?
2- Kya Quran main mard o aurat ki MAKHLOOT MAHFILON KI ijazat hai?
3- Kya Quran main bay ja shor shraba jis say doosaron ko takleef ponhchay,is ki ijazat hai?
4- kya Quran main MUSIC, bajon, ki ijazat hai?
yeh sawal main nay is liye kiye k MUslim nay QURAN PAK ka hawala diya...other wise main nay basant ko MAZHEB k hawalay say discuss nahin kya tha.......
SALL said:
QUEEN said:
1- Kya Quran main bayja ASRAF ki ijazat hai?
2- Kya Quran main mard o aurat ki MAKHLOOT MAHFILON KI ijazat hai?
3- Kya Quran main bay ja shor shraba jis say doosaron ko takleef ponhchay,is ki ijazat hai?
4- kya Quran main MUSIC, bajon, ki ijazat hai?
AGREEEEEE..
par phir to humein sab kuch khatam kar dena chaiye
shadiyan
parties
mayyat k khatam,, chaleeswein,, etc (offcourse music nahi hota par baki sab)
khekehekheekheee...
kya na yrrr,,,
hum sab andhe hein,,, behre hein,,
issi haal mei khush hein,,
abhi zinda hu to jeee lene do
bhari basant mei p lene do
friend_16 said:maloom saab ko hai par janaay kyun anjaan banay hein .. koi bara step kyun nahi laita?? .. hum saab mill ker is kay khilaaf batein tu kertay hein par koi step bhe tu laina chahyee ..
--> y don't we write articles in newspapers n mags??
-->koi haaltaal he ker doo mill ker..
kuch tu karoo khalee batein kernay say kaam he loog suntay hein ..
aur aik baat hamain in rituals .. tehwaroon say roka gia hai jo kay aur religions say resemble kertay hon.. aur basant ki background ka kisi ko pata hai kay ye kyun manayee jatee hai???
aik muslaamaan shaheed hua tha aur us ka ye loog mazakk uratay thay kay is ki rooh asmaan main perwaaz ker rahee hai .. aur us say ye kites ka concept aya.. (jo mujhay pata chala hai .. my professor told me it was something like that) .. kitnay afsoos ki baat hai agar hum is ritual ko adopt karein tu..
SALL said:
fun ki limits hein,, i agree,, aap ne jo kaha mujhe iss se koi ikhtelaf nahi... par sanjeedgi, bewakoofi aur sarial pan ki bhi koi limit hai,, agree ???
SALL said:dear Z
me france mei bethi zaroor hu par apni aankhein aur dimag ko kaam mei lana nahi chora..
maaf kijiye ga par jab kissi maa ki gaud ujarti hai to wahan bethi hui aur lakhon maon pe koi asar kyun nahi hota ??
aap log wahan beth k aksar dekhte aur sunte hein na ??
to y do u keep celebrating it,, balke ab to gvt level pe
mera kasoor hai kya yeh sab ??
aur mujhe yeh samajh nahi aati,,, apni gaud ujarne k baad hi kissi maa ko kyun lagta hai k basant galt cheez hai,, kyun chittar maar k apne bachon ko ghar mei band kar k nahi rakhti,, kyun jaate hein bache patangein lootne,, aur chaton se girte hein
SALL said:kya naaa,, matha ghuma dete ho aap mera,,,,
abayy aap ko mere baki k comments bhi akal ki aankh khol k parhne chaiye,, agar kuch samajh na aae to ask me,, aur phir comments dein aap
mujhe patang urane pe koi etraz nahi hai,, par basant jiss tareeke se manai jati hai,, ITS WRONG
tareeka galt hone se aap yeh nahi keh sakte k patang urana ya thori si tafreeh karna hi gunah ho gaya
hamare han shadiyon wagera pe bohot fazool kharchi hoti hai na,, firing bhi hoti hai and i ve heard uss mei bhi log zakhmi hote hein shayad marte bhi hon,
to iss ka kya ilaj hai ??
log shadiyan na kiya karein ??
friend_16 said:.. un saab kamoon say humko rooka hai jo dosray religions say miltay hoon.. unkay tareeqoon kay mutabiq hoon..
pakistan sirf naam ka he islamic state hai .. president sahib khud gaiy thay shehr patang bazi kay liay .. aur naam is ko "jashnay bahaaraan" day daitay hein..
itni lightning to EID par nahi hoti jitnee Basant nite par the.. her dosri gari kay peechay kites lagee theen .....
.. baas aur kuch nahi kehna .. koi faida nahi .. jihoon nay suni hoti hai wo suun laitay hein .. jinhoon nay nahi maanni hoti wo behs kertay rehtay hein..