~CHANDNI~
Age: 124
7852 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Dharti naha rahi hai gulabon ke ras mein ajj
Taqdeer aasmaan ki hai zarron ke bas mein ajj
Bughz-o-hasad rawan hai dil-e-khar-o-khas mein ajj
Raanaiye qalam hai meri dastaras mein ajj
Yeh raat har tarah se qayamat ki raat hai
Yaani toloe-e-shams-o-qamar hai ajj!!!!!
Yeh rang yeh rutain yeh baharon ki taliyan
Kirnon se bhar gai hain sitaron ki jholiyan
Humjholiyon ke sath yeh shahkhon ki holiyan
Khushboo ki hamsafar hain malangon ki boliyan
Dekho zara zamin ki duaiyen uran hain
Dam dam ali ali ki sada hai jahan mein
Utri falak se jhoom ke arsh barin ki raat
Khuld-e-barin ki subah se behtar zamin ki raat
Dunya mein aks jalwa haq afrain ki raat
Yani worood-e-Mehdi din-e-mubin ki raat
Kuch mang le ke haq hai karam per tula huwa
Baab-e-kabooliyat hai sahar tak khula huwa
Bakht-e-bashar ki rut hai sanwarne ki raat hai
Kismat ke khad-o-khal nikharne ki raat hai
Zulf-e-karam jahan pe bikharne ki raat hai
Aae chaud-dwin ke chand,ubharne ki raat hai
Moj-e-amal,nijat ka zewar liye hoi
Zarre hain aftab ke tewar liye hoi
Yeh raat jo bikhare nagi hai gali gali
Mehki hoi hia jis se tassawur ki har kali
Yeh moorti murad,mehakti yeh manchali
Nazil huwa iss mein mera chaudwan(14)Ali
Yeh raat keemti hai muqaddas se chiz hai
Yeh raat kainat mein sab ko aziz hai
Tu muskura pare to khazan rang rang ho
Tu chup rahe to sara jahan misl-e-sang ho
Tu bol uthe to nitk-e-jahan saaz-o-dang ho
Har dil mein kiyon na teri”wila”ki umang ho
Mein kuin na tera shukar karoon baat baat mein
Har sans tere dar se mili hai zakat mein
Tere hasham se rang rang la-wajood hai
Mehtab tere husun ke par tu se zard hai
Moj-e-hawae khuld tere dam se sard hai
Mehshar ki dhoop kiya?tere kadmon ki gard hai
Tera karam bihisht ki suhag hai
Tera gazab hi asal mein dozakh ki aag hai
Tu markaz-e-jahan bhi sheh jibreel bhi
Dunya ka mehtasab bhi hamara wakeel bhi
Tu aqal bhi,junoon bhi,jamal-o-jamil bhi
Parde mein hia wajood-e-khuda ki daleel bhi
Dunya tere mizaj samaat ka naam hia
Mehshar tere zahoor ki saat ka naam hai
Abb barh chala hai zehan-o-dil-o-jaan mein iztirab
Paida hain shash jihat mein asaar-e-inqelab
Abb mand par rahi hain zamane ki aab-o-taab
Apne rukh hasin se uthe to bhi abb naqab
Har so yazidiat ki kadorat hai in dinon!
Mola teri shadid zaroorat hai in dinon!