nice_roni
Age: 124
Total Posts: 114
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Khuab toth jatay hain
Beerh main zamanay ki hath choth jatay hain
Dostdar lehjo main silwatain see parhtee hain
Eik zara see ranjish say
Shak ki zard tehni pay phool badgumani kay
Is tarhan say khiltay hain
Zindagee say piyaray bhi
Ajnabee say lagtay hain
Ghair ban kay miltay hain
Umer bhar ki chahat ko asra nahin milta
Khamoshiyon kay waqfon main bat toth jatee hay aur sira nahin milta
Moazirat kay lafzon ki roshni
nahin miltee
Lazzat pazeeraee ki phir kabhi nahin miltee
Phool rang wadon ki manzilain sukartin hain
Rah morhnay lagtee hay
Berukhi kay gheray say bedili ki mittee say
Faslon ki eenton say
Eenth jurhnay lagee hay
Wehmo kay saye say
Umer bhar ki mehnat ko paal main loth jatay hain
Eik zara see ranjish say sath chuth jatay hain
Bheerh main zamanay ki hath jhuth jatay hain