Age: 125
7621 days old here
Total Posts: 9535
Points: 0
Location:
United States, United States
Udaas jagti aankhon k khwab laya hoon. Me patharon me chupa k gulab laya hoon. Jo ho sake ise tanhaaaiyon me parh lena ... Tumhare wastey dil ki kitaab laya hoon . Wo ek sawal ,jo tum ne kabhi nahi poocha. Saja k palkon par us ka jawab laya hoon.
Age: 125
7595 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Mere kuch dost mujhe yoon hi sataane aaye, khud mujhe mere hi afsaane sunaane aaye, din ke dhalte hue lamhon ki kiran bole ke, mere taareek e mukaddar ko sajaane aaye, Uske hoton pe mera naam jab aaya hoga khud ko ruswaai se phir kaise bachaaya hoga sunke auron se fasaana meri barbaadi ka kya usay apna sitam yaad na aaya hoga
Age: 125
7595 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Ruka hua hai ajab Dhoop chhaa'on ka Mausum guzar raha hai koi dil sey Baadalon ki tarah -------------------------------------- Mein nay dushman ko bhi ehsaas-e-mohabbat bakhsha Merey apney Mujhay Nafrat ki saza daitay hain -------------------------------------- Shab-e-Wisaal mein roshan charaagh gul kar do Khushi ki buzm mein kya kaam jalney waalon ka --------------------------------------- Toofaan kar raha tha Merey Azm ka tawaaf Duniya samajh rahi thi ke, Kashti bhanwar mein hai ----------------------------------------
Age: 125
7595 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
kuyn mujhye apney na honey ka gumaaa tha pehley......!!! kuyn mujhye apney na honey ka gumaaa tha pehley Sochta hoon mein khuda janey kahan tha pehley
Naam kis ka tha khuda janey mujhye yaad nahein Wo jo aik naam wird-e-zubaan tha pehley Us ney bhi toot k chaha tha muhabbat ki qasam Jazba-e-shokh hamara bhi jawaa tha pehley
Janey ab kiya hogaya us ki muhabbat ko jissey Aik lamha bhi judaye ka giraan tha pehley Ajnabi sey nazar atey hein wahan loug mujhey Jis muhalley mein mera makaan tha pehley Aaena dekh k ye raaz khula hai mujh pey koi mera bhi harrf-e-dil-o-jaan tha pehley
Rang kaisey hein ye 'Heena' tere tehreeroon mein Na ye lahja,na ye andaz-e-bayaan tha pehley
Age: 125
7621 days old here
Total Posts: 9535
Points: 0
Location:
United States, United States
dil toot jai to duniya nah choriye, mohabbat ho jai to ashiq ko nah choriye, zindagi khoobsoorat hai is ko jee bhar ke jeena, maut samne aai to muskara ke pee lena.
Age: 125
7621 days old here
Total Posts: 9535
Points: 0
Location:
United States, United States
Naa Tujhay Chor Saktay Hain, Teray Ho Bhi Nahi Saktay hain, Yea kaise Be-Basii Hay Aaj Hum Roo Bhi Nahi Saktay hain Yea Kaisa Dard Hay, Pal Pal Humay Tarpayee Rakhta Hay Tumhare Yad Aate Hay To Phir Soo Bhi Nahi Saktay hain Chupa Saktay Hain Aur Naa Hum Dekha Saktay Hain Logoo Ko Kuch Aisay Daagh Hain Dil Per Jo Hum Dhoo Bhi Nahi Saktay hain
Age: 125
7595 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Hum Nahi Chatey*
"Shaame Furqat Dhaley Hum Nahi Chahtey, Ghum Sey Fursat Miley Hum Nahi Chahtey,
Phir Naya Waar Sahney Ko Tayar Hain, Tu Parishan Rahey Hum Nahi Chahtey ,
Aaj Ansoo Bahaney Sey Mat Rokey, Aaj Barish Thamey Hum Nahi Chahtey,
Hum Terey Baad Ujrey Howey Theek Hain , Ab Kaheen Dil Lagey Hum Nahi Chahtey ,
Terey Pekar Ko Hum Dakhtey Hi Rahein, Tu Nazar Sey Hatey Hum Nahi Chahtey , Kis Qadar Dil Nasheen Hai Yeh Mojon Ka Shoor , Ghum Ka Darya Rukey Hum Nahi Chahtey ,
Iss Qadar Pyaar Sey Tu Pukara Na Kar , Aag Dil Ko Lagey Hum Nahi Chahtey , THXXXXXXXXXXX PAKI