Zeer-VaaraMain Shohar Number 420
Khirki se bahar dekhta hoon
rang birangi ladkiyon ko,
paas se guzarte dekhta hoon
unke shokh kapde, unki tight jeans,
mujhe jawani ki yaad dilati hain....
unka chalne ka andaz, unki patli kamar
mere seene ki aag bhadkati hain
wo kehte hain yeh teri umar nahi Ishq karne ki
phir kyun ladkiyan muhje paas bulati hain
wo kehte hain tera waqt guzar chuka
phir kyun wo meri neendein udati hain...
Main Shohar Number 420
Khdrki se bahar deikhta hoon
Mere saamne wali chat par,
ek ladki ko khada deikhta hoon
roz chat pe wo aati hai
apni zulfon ko lehrati hai
uski adaayen deikh kar,
kuch karne ko jee karta hai
uske gulabi honton par,
aaj marne ko jee karta hai
ankhon hi ankhon mein isharon se,
baat karne ko jee karta hai
wo kehte hain yeh kaam chor de
phir kyun khud yehi kaam karte hain
wo kehte hain Biwi ko cheat na kar
phir kyun khud cheating karte hain....
Main Shohar Number 420
Khirki se bahar deikhta hoon
ladkiyon se bhari college ki Bus,
jab unhain chor ke jaati hai
ek ladki jo pados mein rehti hai,
mere saamne aati hai
khud ko Chandni kehti hai
mujhe Uncle bulati hai
aisi pariyon ko deikh kar,
bahar jaane ko jee karta hai
khidki se neeche kood kar,
hath milane ko jee karta hai
Apni Biwi ko chor kar,
bhaag jaane ko jee karta hai
Wo kehte hain uska Bhai tandrust hai bohat
phir bhi maar khane ko jee karta hai
wo kehte hain ab kuch hath nahin aaye ga
phir bhi kuch paane ko jee karta hai
Main Shohar Number 420
Khidki se bahar deikhta hoon