just believe....

3493 views 83 replies
Reply to Topic
PURPLINA

Age: 125
Total Posts: 222
Points: 0

Location:
Singapore, Singapore
dun u think tat if u pray and wish hard 4 smth,it really happens or cums true within d same day or even within hours??? well,i think so...coz it happens to me. it can also happens to everyone....
Posted 14 Mar 2005

Bazigaar says
i don;t believe in dat
Posted 14 Mar 2005

Ashii says
i donno how long does it take
but yepp,, i believe in it
it happaned to me once... ainda bhi hoga Insha Allah :)

bazu bezar,,,,,,
hopes, beleif n faith must the reason,, not the consequence of wot happend to us
Posted 14 Mar 2005

if you believe in ALLAH then it comes true
Posted 14 Mar 2005

Bazigaar said:

i don;t believe in dat

ever pray??
Posted 14 Mar 2005

shaista says

i believe in it. lekin zaroori naheen ke ussi waqt qabool ho jaye.

it would be great if it happened every time u wishes for something

Posted 14 Mar 2005

Bazigaar says
shahrukh khan said:

Bazigaar said:

i don;t believe in dat

ever pray??

i believe in Allah, but i know he doesn;t listens to me so no i don;t pray for anything, but i do than God for everything he gave me
Posted 14 Mar 2005

man Bazigar, if Allah(SWT) doesn't answer your prayers, don't stop praying. There is defintly a reason why Alalh doesn't answer your dua's, also it can be that in your afterlife he will answer your duas and give you a much bigger and better award.Remember this, If you love Allah deep inside your heart, He will love you.
Posted 15 Mar 2005

Badal says
Zaroori nahi kay dua jaisay mangi jaey waisay hi kubool ho jaey aur yeh kam hi hota hai. dua ki kubooliat ki kai soortain hain, yani kubool tu zaroor hoti hai magar kisi aur soorat main bhi ho sakti hai.
Posted 15 Mar 2005

Ashii says
dua kissi aur surat mei kubool ho ??
wot does it mean ??

Posted 15 Mar 2005

Badal says
SALL said:

dua kissi aur surat mei kubool ho ??
wot does it mean ??

our Prophet said, dua ki kubooliat ki 3 soortain hain:

1- jaisi mangi jaey waisay hi kubool ho jati hai,
2- us dua ki waja say dunya main us par say koi museebat hata di jati hai, ya
3- dua aakhirat kay liye store kar li jati hai.

aur agar in main say kuch bi nahi tu zahir hai wo dua bekar gae yani kubool hi nahi hui.

Posted 15 Mar 2005

Ashii says
i wd prefer 1st or 3rd condition..
hmmm,, first one
Posted 15 Mar 2005

Badal says
SALL said:

i wd prefer 1st or 3rd condition..
hmmm,, first one

aap ko dunya ki ziada talab hai

khair, in fact kuch duain aisi hoti hain jo chahay kitnay suchay dil say mangi jain as it is kubool nahi ho sakti hain, ho sakta hai wo aap kay behtar na ho ya us say kisi aur kay sath na insaafi ho jaey.
Posted 15 Mar 2005

Ashii says
dunya ki talab
that s the funniest thing anyone ever said to me

isss pooori dunya mei humein sirf aik cheez ki talab hai
woh bhi na mile to yahan aane ka koi maksad nahi reh jata

kis cheez ki talab hai jisay aap nay yahan anay ka maksad bana rakha hai
Posted 15 Mar 2005

Ashii says
fara'iz poore karne k baad
thora sa khudgarz hona gunah to nahi

Posted 15 Mar 2005

Badal says
SALL said:

fara'iz poore karne k baad
thora sa khudgarz hona gunah to nahi

haan zaroor hoon khudgharz thora ya ziada magar faraiz poora karnay ka yeh matlab tu nahi na ab aap ki gharz poori karna Uska farz ho gya hai?
Posted 15 Mar 2005

Bazigaar says
Bush_Blasta said:

man Bazigar, if Allah(SWT) doesn't answer your prayers, don't stop praying. There is defintly a reason why Alalh doesn't answer your dua's, also it can be that in your afterlife he will answer your duas and give you a much bigger and better award.Remember this, If you love Allah deep inside your heart, He will love you.

haan na, there's a reason, i am so gunahgar banda k God says bachu jitni bhi ker le, i ain;t listening to u

yaar, i am living at the moment, say i ask for stability in my life, good job, etc etc...ab en cheezoon ko what am i gonna do after life? i mean after i die, god says k lo je, u can have this nice car and u can be accountant in this area of hell and this is a nice bunglow for u i mean after life mae en cheezoon ko mae ne kiya kerna hae..jab afterlife aye ge to dekha jae ga, abhi to abhi hae - present
Posted 15 Mar 2005

Bazigaar said:

shahrukh khan said:

Bazigaar said:

i don;t believe in dat

ever pray??

i believe in Allah, but i know he doesn;t listens to me so no i don;t pray for anything, but i do than God for everything he gave me

ALLAH se hamesha mangna chahiyey..
Posted 15 Mar 2005

gunehgaar ho tu kis baat ka intezaar hai...pray to ALLAH for forgiveness
Posted 15 Mar 2005

Ashii says
ZEESHANAHMED said:

haan zaroor hoon khudgharz thora ya ziada magar faraiz poora karnay ka yeh matlab tu nahi na ab aap ki gharz poori karna Uska farz ho gya hai?

nahi,,, yeh nahi kaha me ne
par phir humein iss baat ka yakeen kyun dilaya jata hai k niyyat saaf rakho,, amaal theek rakho,, har khahish poori hogi ??

read bazu's mail
he might b wrong,,, par hum jab tak kissi aisi situation se khud nahi guzarte doosron ko tasalli dena bohot asaan hota hai..
mera khyal mei dunya ki khahish rakhna galt nahi hai,, par isse hamari priority nahi hona chaiye.... dunyavi khahish hamesha materialist nahi hoti, some ppl need a spiritual satisfaction in this world,,, we sometimes need answer to few questions

agar khahish karna galt hai to phir dua ki kya hesiyat hai ??

yeh tu kisi ne nahi kaha kay nyyat theek ho tu har khahish poori ho gi... aap ko kis ne kaha hai?

aur aisi situation say buhat log guzartay hain sirf bazi hi nahi (include me too here)

haan khahish karna bilkul ghalat nahi hai, yeh kehna kay khahish zaroor poori honi chahiye ye ghalat hai. agar poori hi jaye tu shukar karna chahiye aur agar nahi tu Allah ke liye zaroori nahi kay hamari har khahish poori karay, hum tu Uski baghair mangay di hui naimatoon ka shukar ada nahi kar saktay, aur agar mang kar kuch milta hai tu tab bhi kia kar letey hain?

Posted 15 Mar 2005

Badal says
Often Allah wants to examine kon uska shukar ada karta hai aur kon nahi, aur baaz aukat jo manga jaey wo insaan ke apnay liye behtar nahi hota, aur baz aukaat us say kisi doosray kay sath na insaafi hoti hai, isi liye dua as it is kubool nahi hoti.
Posted 15 Mar 2005

Ashii says
harrr aik naimat ka shukar adaa karte hein na yarrrr
aise nahi kahoooo k
dua poori nahi hogi,, yeh to na-umeedi ki baat hai
aur na-umeedi na-shukri se zyada bara gunah hai

basss chup kar jao
Posted 15 Mar 2005

Badal says
na umeed honay ko kis ne kaha hai main ne sirf ye kaha hai ke dua poori honay ki shart mat lagao. aur kon shukar ada karta hai kon nahi sab ko maloom hai. kia shukar ada karna isay kehtay hain kay hath utha kar keh do "Allah tera shukar hai"?
Posted 15 Mar 2005

Ashii says
to daaaaant kyun rahe hoooooo
me ne kya kaha hai

har aik naimat ka hak adaa karna hota hai,,,, sirf mu se keh dena kafi nahi hota

yep i know quran pak mei me ne kahin parha tha k dua aajzi se mangte hein,, yeh nahi k sir hi char jao

ab daaaanta na toooooooooo
batau gi me tumheinnn
Posted 15 Mar 2005

Bazigaar said:

Bush_Blasta said:

man Bazigar, if Allah(SWT) doesn't answer your prayers, don't stop praying. There is defintly a reason why Alalh doesn't answer your dua's, also it can be that in your afterlife he will answer your duas and give you a much bigger and better award.Remember this, If you love Allah deep inside your heart, He will love you.

haan na, there's a reason, i am so gunahgar banda k God says bachu jitni bhi ker le, i ain;t listening to u

yaar, i am living at the moment, say i ask for stability in my life, good job, etc etc...ab en cheezoon ko what am i gonna do after life? i mean after i die, god says k lo je, u can have this nice car and u can be accountant in this area of hell and this is a nice bunglow for u i mean after life mae en cheezoon ko mae ne kiya kerna hae..jab afterlife aye ge to dekha jae ga, abhi to abhi hae - present

well, regular everyday sins to Allah maaf hi karlety hain, but,,if u have done something strictly HARAM(like, u know wht i mean), then you better devote the rest of ur life just consatraiting on ALLAH and ISLAM...
Posted 16 Mar 2005

SALL said:

ZEESHANAHMED said:

haan zaroor hoon khudgharz thora ya ziada magar faraiz poora karnay ka yeh matlab tu nahi na ab aap ki gharz poori karna Uska farz ho gya hai?

nahi,,, yeh nahi kaha me ne
par phir humein iss baat ka yakeen kyun dilaya jata hai k niyyat saaf rakho,, amaal theek rakho,, har khahish poori hogi ??

read bazu's mail
he might b wrong,,, par hum jab tak kissi aisi situation se khud nahi guzarte doosron ko tasalli dena bohot asaan hota hai..
mera khyal mei dunya ki khahish rakhna galt nahi hai,, par isse hamari priority nahi hona chaiye.... dunyavi khahish hamesha materialist nahi hoti, some ppl need a spiritual satisfaction in this world,,, we sometimes need answer to few questions

agar khahish karna galt hai to phir dua ki kya hesiyat hai ??

Dear Sall

apki her baat ka jawab sirf in 2 4 baton main hai...

yeh Dunya kaynat Allah ne banayi ... wajah uski Hazrat Muhammad (SAW) thay, hain aur rahaingay. Allah ne apnay baad jis Zaat Ko banaya woh b Hazrat Muhammad (SAW) hain...
App (SAW) itnay Mehboob Allah ke ... ke Mairaj Ke lye bulaya basically ager being a LOVER daikho to Allah ne apnay Mehboob se milna chaha... mila to mila but phir SORAH-E-WA.NAJM bhi nazil farmayi jis ke pehla roku pura sirf Mairaj per base kerta hai...
Jab b Kisi nabi ya peghamber per koi b mushkil ayi to unhon ne dua main App (SAW) ka waseela istimal kiya to muawafi mili...

baat ko short kerta hon...

Jis Hafti ke lye yeh kayenat ... yeh dunya aasman.. adam hawa... ap hum sab wajood main aye... jab Allah ne un ko b azmaya to hum kis khait ki muli hain? i mean to say Pather khaye App(SAW) ne ... Allah chahta to pather ka wajood hi khatum ho jata dunya se ho sakta tha na? nahi hua is lye ke Allah azmaata hai ... i hope kuch to clear hua hoga...

2nd thing is ... Dunya ki khawaish... Hazrat Muhammad (SAW) ne farmaya ke "Dunya Kafir Ke Lye Jannat Aur Mouman Ke Lye Qaidkhana Hai"... to Qaidkhanay Main kaisi khawaish siwaye rehai ke?

main khud b khwahishain rekhta hon.. duwain kerta hon... kabhi aik waqt tha ke kisi ke lye girgiraya ... roya sab kiya... per woh nahi mila mujhe ... phir roya hehehe coz im a human ... phir aik cheez seekh li life main ... Allah Tera Her HAAL main Lakh Lakh Shuker hai... ithink thats the best way to live ur life ... go on... dont try to intrpt the flow... no questions no queries... jab yeh Jaan hi Allah ki amanat Hai to hamara apna kya hai aisa ke jis ke lye hum hazaron sawal kharay ker dain?...
sorry if u dont like anything...
Posted 16 Mar 2005

SALL said:

to daaaaant kyun rahe hoooooo
me ne kya kaha hai

har aik naimat ka hak adaa karna hota hai,,,, sirf mu se keh dena kafi nahi hota

yep i know quran pak mei me ne kahin parha tha k dua aajzi se mangte hein,, yeh nahi k sir hi char jao

ab daaaanta na toooooooooo
batau gi me tumheinnn

Posted 16 Mar 2005

Bazigaar says
ab mujhay kiya pata konsa sin i did is srtictly haram and konsa not
Posted 16 Mar 2005

Ashii says

okk....

but i wont stop praying,,,
neverrr nevvvvvveeeeeeerrrrr nevvveeeeeerrrrrrr,,
and wil never lose hope
chahe koi kuch bhi kahe

i dont even care for my life
Posted 16 Mar 2005

Reply to Topic