Doctor Sam
Age: 125
Total Posts: 19257
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
MohaBBat ki tabiyyat main ye kesa bachpana qudrat ne rakha hey
k ye jitni purani jitni bhi mazboot ho jaye
isay taaed-e-taaza ki zaroorat phir bhi rehti hey
yaqeen ki aakhri hudd tak dilon main lehlahati ho
nigaahoN se tapakti ho,Lahoo main jagmagati ho
hazaaron tarah k dilkush haseen halay banati ho
Isay izhaar k lafzon Ki hajat phir bhi rehti hey
Mohabbat mangti hey yun gawahi apnay honay ki
k jese tifl-e-sada shaam ko ik beej boye
aor shub main baarha uthay
zameen ko khod ker dekhay k poda ab kahan tak hey
Mohabbat ki tabiyyat main ajab takraar ki khu hey
k ye iqraar k lafzon ko sun-nay se nahi thakti
bichardnay ki ghardi ho ya koi milnay ki sa'at ho
isay bus aik e dhun hey
Kaho..... mujh se MoHabbaT hey
Kaho..... mujh se MoHabbaT hey
tumhain mujh se MoHaBBaT hey
samandur se kahien gehri, sitaaroN se siwa roshan
pahardon ki tarah qayam, hawaon ki tarah dayam
zameen se aasman tak jis qadar achay manazar hain
MohaBBaT k kanaye hain, wafa k ista'aray hain
Hamaray hain
hamaray wastay ye chandni ratain sanwarti hain
sunehra din nikalta hey
Mohabbat jis taraf jaaye,
Zamana sath chalta hey
Amjad Islam Amjad