nice_roni
Age: 125
Total Posts: 114
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Khuda ne ajab khail khela meri zindagi ke saath
Khushian bhi din tau dukh ke lifaafey ke saath
Kam umri mein pidar ke saaya utahney ke baad
Bachpan ka piyaar bhi leliya aajzi ke saath
Kam sini ko badal diya meri zimmedari ke bojh ne
Akela chore diya mujhe zamaney ki bebasi ke saath
Maa ki shafqat ne parwaan tau charha diya
Ab jeeta hon sirf mein maa ki dua ke saath
Sirf aik gunaah sar zad huwa mayoosi ke aalam mein
Phir tau muqaddar mera likh gaya tanhayon ke saath
Aiesey mein khuloos sey dil par dastak si huwee
Yak damm usey chah liya rooh ki gehrayee ke saath
Dosti ki thi khuloos se aur nibahyee bhi hai
Dosti piyaar mein badal gayee aahistagi ke saath
Aik maqaam per aakar dhoondha kartey they dono
Piyaar ki kashish layee thi dono ko aik saath
Chuppa tha piyaar dono ka tau buhat behter tha
Ayaan huwa piyaar tau wo bhi dono ka aik saath
Haath us ne barhaya bharpoor piyaar ke saath
Sashdarr mein rehgaya apni badkismati ke saath
Na miley hotey tau acha tha ye hai unka sawaal
Hont see liyee mein ne apna aap maarney ke saath
Ab tau dosti ki taab bhi nahin hum mein
Piyaar ne guma diya dost ko piyaar ke saath
Kahin mazhab, zubaan ya nasal ka farq hota hai
Yahan tau apnon ne hi khodiya apnon ka saath
Kis karb se usey roka apney paas aaney se
Dair tak rota raha namm aankhon ke saath
Mein zarra hon aur ki khuwahish mahtaab ki
Wo bhi kainaat ke tamam taron ke saath
Be wafayee ki hai us se dil bhi tora hai mein ne
Har chota azaab miley har barey azaab ke sath
Bina dekhey bina jaaney aiesa piyaar kiya hai
Amar banadonga piyaar ko teri yaadon ke saath
Shikwa nahin taqdeer se apney kiyee ka phall hai
Miley mujhe har baar moti phattey daaman ke saath
Maaf kardena apni jaan ko apney dil se tum
Aarzoo hai mera naam ho teri har dua ke saath
Ab tau ye dua maangta hon har namaz ke baad
Urooj tujh ko miley har raanayee ke saath
Tum bhula kar mujhe aik tareeqh raqam karna
Hamsafar tera behter ho har naye din ke saath
Mein tau chah kar bhi do kadam na chal saka terey
Naya hum safar miley tujhe buhat piyaar ke saath
Banaoonga khud ko wesa jaiesa tu ne chaha hai
Ye dekhney ke liyee nahin hoga tera mera saath
Kisi ko chah na sakonga ab tujhe chahney ke baad
Aah ka haqq bhi gaya tujhe kho deney ke saath
Shayad hi dekh paoo mujhe tum khabhi
Likh na sakonga ab us piyaar ke saath
Rohail aukaat apni bhool gaya piyaar ke baad
Sehrey ka phool mangta hai janazey ke saath
Rohail