it's a true story...............it;s the story of a family...........aik tooti hoyee family.......... kehtay hain ma kay kadmoo talay janat hoti hai......lazmi baap kay kadmoo talay be kuch na kuch ho ga jis ka mujay pata nahi.........maqsaad sirf itna hai kay ma ore baap bohot azeem hastiyaan hain......shaied duniya ki haar cheez sei zeyada.....................
aik family thi 3 brothers 2 sisters a father and a mother.........sub bohot khush thay................ropay pesay ki be kami na thi............ma ore baap dono apnay bachoo sei bohot pyar kartay thay............magar phr achanak sub kuch badal geya.................kehtay hain aik ma shaadi sei pehlay kisi ko chahtii thi ore baap kisi ore ko.............magar 2no ki shaadi kaar dei gey........ma ki us kay bhaioon nai..........ore baap ki uss kay ma baap nai...........5 bachay paeday karnay kay baad..............2no ko ehsass hoa kay they are not made for each other..............they are not happy with each other................roozana larayee jagra rehnay laga.........bachay jin ki zindai bohot khushguar guzar rahi thi.......kheeran ye geye ye sub kya ho raha hai............ehasta ehesta bachoo ka confidence hatam honay laga......na unheen kisi kheel mai dilchaspi rahi ...na study mai.........................sub sei zeyada asar baroo bachoo pay para...jo kay bachpan ore samajdari kay darmiyaan thay.......baara larka ore baari larki.....baki 3no bohot chotay thay....unheen ye ehsass he nahi tha ye kya ho raha hai..............
tu baat ho rahi thi mian ,biwi kay jugray ki.........un ka jigra itna baar geya kay nobaat talak tu pohonch geye....................baap nai dosri shaadi kaar ley.........ore ma nai be..........apni apni mohabat kay sath......jo adhoori reh geye...................bachoo ko ma sei mohabaat thi..........woe sub ma kay sath rehnay lagay................magar yaha aik ore he story shuru ho geye...........................jis kay sath ma nai shaadi ki uss ki family bacho ko hakarat ki nazar sei dekhti hai..........ore un kay baap ki family ess leye bachoo ko accha nahi samajti kay unhoon nai ma kay sath janay ko tarjeeh dei..................................bachoo ka step father aik great insaan hai............woe aik aesa insaan hai jis nai zindagi mai "Tahajud" tuk qaza nahi ki..............ghareboon ka hamdaard.........kisi ko be takleef mai na dekhnay wala...............kisi ko madad ki zaroorat ho tu sub sei aagay..........................but he is mentally sick............woe asooloon ka inahayee khud tu gulam hai........extreamist.................woe haar wakt bachoo ko tokta rehta hai.........ye na karoo.......tangeen sedhi rukh kay bethooo........gardan sedhi karoo................hansoo mut............khellooo mut.................itni zeyada sahti ki waja sei bachay theek honay ki jaga bigartay ja rahay............sub sei bara larkay ka ye haal ho geya hai ......woe un ki awaaz sunta hai tu usay depression shuru ho jata hai.....................chotay larkay abi neye neye jawan hoa hai........uss ki society acchi nahi............baap ayee din usay ghar sei nikal deeta hai...............step father nei chootay larkay ko pehlay dafa ghar sei bahir 12 saal ki umaar mai nikala ...woe 3 din ghar sei bahir raha.....................................baap kabi un sei pyar ei baat nahi karta........woe samajta hai kay pyar sei baat karnay sei.........uss ki rooab hatam ho jayee ga...............ya phir ho sakta hai step fathers aesay he hotay hooon.................
dosri taraf step mother ka tu allah he hafiz hai...........woe tu sedhay mun baat tuk nahi karta.......kabi bachay apnay asaal baap sei milnay chalay jayee tu woe.......aik hangama khara kaar deeti hai......................
Tamam wakiyaat ore gawaoon kay beyanaat kay baad.........app kya samajtay hain kay ess sub kay pechay Kis ka Kasoor hai ????????????
bachoon ko kis cheez ki saza mil rahi hai ?????????
Age: 125
7461 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
i forget to mention a thing........bachay agar abi tuk zinda hain tu woe sirf apni ma ki waja sei................woe aik nahyeet mohabaat karnay wali hasti hai............jis ki ghood mai sir rukhtay he sokoon mil jata hai mujay..................