YaADOon se Rishta kal bhi thaa... yaadoon se Rishta aaj bhi hai Dil kal bhi apna Dukhta thaa aur AfsUrDaa &nbs p; sa aaj bhi hai .. Woh ishq jo hum tum karte thay woh ishq tu zinda ab bhi hai .. Kal tak jo hijar Sataata thaa us HijaR ka pehra aaj bhi hai . Tum door huye majboori mein hum toot gaye is doori mein Kabhi waqt mile tu aa jaana dil ka darwaaza khula aaj bhi hai Woh saahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde saahil per .. Woh naam DaRakhtOon per likhNa woh khuwaab suhaana aaj bhi hai . Tum khush rehna dil ki duniya apni tu chalo barbaad hoi Dil Gham ka maara kal bhi thaa aur Gham ka maara aaj bhi hai Yeh ashk nahin hain Aankhoon mein yeh taaray jhilmil karte hain In aankhoon mein jo kal tak thaa woh Chaand sa Chehra aaj bhi hai... Ab ShikWa kisi se kya karna taQdeer mein jo likha thaa mila Gham kal bhi mera sarmaaya thaa Gham mera warsa aaj bhi hai ..
mughl-e-azam
Age: 45
7340 days old here
Total Posts: 331
Points: 0
Location:
Chakwal, Pakistan
har khushi mein koi kami see hai hansti ankhon mein nami see hai din bhi chup chap sar jhokayeh tha raat ki nabz thami see hai kis ko samjhayein kisi ki baat nahi zehan aur dil mein phir thani see hai khowab tha ya gubar tha koi gard in palkon pe jami see hai kahein gey hum kis say dil ki baat saehar mein ik sunsani see hai husrataein rakh ho gayein lakin agg abb bhi kahein dabi see hai
mughl-e-azam
Age: 45
7340 days old here
Total Posts: 331
Points: 0
Location:
Chakwal, Pakistan
atti hai chahton ki kahani pe abb hansi tum say bechar ke soch ke rukh bhi baddal gaye abb tum ko dekh kar bhi dharkta nahi hai dil tum woh nahi rahay ke merray dukh baddal gaye