cutefriend said:kiya baat hia janab kiiii
DejaVu077 said:Aik pal main aik sadi ka maza hum say poochiye
Do din ki zindagi ka maza hum say poochiyee
Bhoolay hain rafta rafta unhain muddattoo main hum
Kistoon main khudkashi ka maza hum say poochiye
Aghaz e aashqi ka maza aap ganiyee
Injam e aashqi ka maza hum say poochiye
Hansnay ka shoq hum ko bhi tha aap ki tarah
Hansiye magar hansi ka maza hum say poochiye
Woh jaan hi gaye k humain un say piyar hai
Aankhoon ki mukhbari ka maza hum say poochiye
Jaltay diyoon main jaltay gharoon jaisi zooo kahan
Sarkar rooshni ka maza hum say poochiye
Hum tooba kar k mar gaye qabal e ajal khumar
Toheen e may kashi ka maza hum say poochiye
paki_fan said:
so bata bhi dein janab..aur kia kia poochein![]()
Doctor Sam said:iska matlab hey k...
![]()
DejaVu077 said:
Doctor Sam said:iska matlab hey k...
![]()
Kin soochon main hain gee aap
aur itni late entry![]()
DejaVu077 said:Part3
Bas aik nigah say lutta hai qaafla dil ka
So rah rawan e tamanna bhi dar k deekhtay hain
Suna hai uss k shabistan say muttasil hai bahisht
Musih udhar k bhi jalway idher k deekhtay hain
Rukay tou gardisheen us ka tawaf karti hain
Chalay tou uss ko zamany tehar k deekhtay hain
Kahania hi sahi sab mubalghay hi sahi
Agar woh khawab hai tou tabeer kar k deekhtay hain
Ab iss k shehar main tehrain k kooch kar jain
Faraz aao sitary safar k deekhtay hain
Doctor Sam said:Sorry Sorry Sorry...
wese... Aap pehle page dekhain... entry wahan bhi di thi hum ne...
![]()