mera hamsafer jo ajeeb hai
toe ajeeb ter hoon mein ap bhi
usey manzilon ki khabar nahein \
mujhe raastoon ka pata nahein
daro baam sab ney saja liye
sabhi roshni mein naha liye
meri unglia bhi jhulas gaien
magar ik charagh abhi jala nahein
voh jo dil-o-nazer ka suroor tha
merey pas reh ker bhi door tha
vohi ek gulab umeed ka
meri shakh-e-jaan per khila nahein
ghame zindagi teri raah mein
shab-e-arzoo teri chah mein
jo ujed gaya vo basa nahein
jo bichhad gaya voh mila nahein
(what abt it)