listen DL
mera kehna ka matlab sirf yeh hai k aap chahe koi bhi topic ho us mei aik yehi masla baar baar le ate hein
zahir hai aap yeh prove karne chahte ho k ap sahi ho,,,
prove wohi karna chahta hai jisse koi shak ho,, par khair aap sahi hoge yar
Allah miyan hum sab ko sahi hone ki hidayat dein
now aap ki pehli post
jahan tak me janti hu,, pehle jitne bhi paighambar aae woh aik kaum k liye aae,, Nabi Paak (saw) poori dunya k logon k liye paigham laae,, Quran pak se pehle bhi kitabein thi par Quran pak hi sab se afzal kyun hai,, pehle bhi Allah miyan k bheje hue Nabi the, magar Khatam e Nabuwwat (hum to yehi mante hein) ka hukum sirf Nabi paak k baare mei aaya
ab aap mujh se pucho ge kahan likha hai,, to sachi baat hai mujhe nahi pta, but i ll try my best to find out
me itna hi janti hu k Islam tamam mazhib ka khulasa hai,, woh sab jo pehle alag alag kaha gaya tha sab aik jaga jama kar diya gaya, with few changes
Quran pak aur Nabi Paak k kahe mei koi tabdeeli nahi ho sakti.... hidayat aik alag cheez hai
kaun kehta hai k humein hidayat ki zaroorat nahi,,, par uss k liye Paighambar ka aana hi zaroori hai kya ??
Quran pak mei bhi aik aur Paighambar k aane ka zikr kahin nahi hai
Allah k bandon k saath hamesha log galt sulook hi karte hein par akhir jeet to unhi ki hoti hai na,,, to aap logon k case mei yeh sab kyun hai
aap ne Khatam un Nabeen ki jo def aik topic mei di thi, woh theek ho shayad,,, par agar aap ki wali def ko bhi sahi maan liya jae to masla to phir wahin hai,
if we have THE BEST to phir kissi aur ki gunjaish kahan aur kyun ho
aik aur baat,,,
""aap ne yeh kar diya, aap ne woh kar diya""
janab me kaun hoti hu kuch karne waali,, hum uss pe amal kar rahe hein jo Quran aur Sunnat ki roshni mei humein sahi lagta hai
one more thing,,, meri opinion ko sab ki opinion na samjha jae plz,,, me ne pehle bhi kai baar kaha hai k kaha suna nahi bolti me, apne zehn mei jo hota hai woh bhi kehti hu,,, aur uss mei galti bhi ho sakti hai kyunke mujhe alham nahi hote
and now plz,, if u want to discuss abt THE DIFFERENCE,,, we can start a new topic
a last thing,, yeh topics mei kissi ko galt sabit karne liye start nahi karti,,, matlab sirf itna hota hai k,,
me ne yeh parha, suna ya socha hai
wot do u think abt it
maqsad sirf baat cheet se samajhna, samjhana aur seekhna hai
agar larai hi karni hai to bata do,, taake hum apne pasandeeda aakhan pe amal kar sakein "everything is right in love and WAR"
cheerrrzzzzzzzzzzzzzz DL
tappooo na hua karo,,, arrogance aap ki achaiyon ko khatam kar deti hai