...evolution...

3953 views 43 replies
Reply to Topic
Ashii

Age: 124
Total Posts: 31001
Points: 0

Location:
France, France
Hazrat Mohammad (saw)ka farman :

"mann astawi yauma fahu maghboon"
(sorry for any typing mistake)
jiss k 2 din aik jaise guzre woh ghaate mei raha. (behtri munasib hai)







you may leave it here,, or move it to religion,,, par yeh normal life ka masla hai to yahin theek hai
theek ??
Posted 09 Jun 2005

guest. says
explain plz!..iss baat ka matlab kia hua sahi say!
Posted 09 Jun 2005

Ashii says
that s the question kaju

think over it,, iss ka kya matlab hai
Posted 09 Jun 2005

guest. says
jahan tak hamari khali khoprdi kaam karti hai.os hasab say tou matlab yeh hua

k banday ko koi creative kaam karna chahiye!
i mean osay time zaya nahin karna chahiye apna!..

i cant actually put in words k hum kia soch rahay hein!
bt atleast tht is wht i cud come up wid
Posted 09 Jun 2005

Ashii says
Allah miyan ne sab ko kaam karne wali aur bhari hui khopri di hai kaju
hum khud khali kar dein usse ya kaam na lein to hamari marzi




back to topic,,,
yep in a way,,,, but depends wot do u call being creative
its not necessarily a physical activity
hum sabhi log kuch na kuch to karte hi rehte hein,,, studies,, job,, ghar ka kaam, aik damm farig to koi nahi hota par phir bhi hum aik si zindagi guzar dete hein

????
Posted 09 Jun 2005

Its meaning are explained in another tradition of the prophet that (as recalled - not exact): Believers today is bette than his yesterday. That is in in his knowledge, practice of deen, closeness to Allan and His messenger, worhipping Allah, morals and behavior...)
Posted 09 Jun 2005

guest. says
hehe..hamay pata hai sall!..hum tou aisay he

i guess!..islam k liye hum kia kartay hein yeh dekhna chahiye na!
Posted 09 Jun 2005

Ashii says
SD
kya naaa,,, sab kuch pehle se hi bata dete ho aaappp
sab kuch khol k bata dete ho,, now no one has nothing to say







kaju
islam k liye ya phir Allah miyan k liye,,

par yeh baat itni simple nahi hai yarr,, see wot SD said,, yeh baat aam logon liye nahi sab k liye hai,,, even bohoott naik aur parheizgar logon liye
Posted 09 Jun 2005

That's where we dropped the ball!

Islam encopasses all aspects of life, wheter it is household work, business or government. One who excels in of its field with the intention that Allah loves those who do good work with honesty, they will get reward for any work they do. House wives get equal ajar for household work they to make the house a comfortable place for the family where they will enjoy the peace of home as to a man who works day long to fulfill his family needs with halal means.

Islam is not limited to prayers and fastings only. Those are pillars of it and without which no other good deeds count.
Posted 09 Jun 2005

guest. says
yup!..agree SD!

per masla ajj kal yeh hai k loag islam ka sirf woh hisa mantay hein jo un k faiday k liye hai!
baki sab hadayat ignore kar detay hein!
n thy find excuses
Posted 09 Jun 2005

Ashii says
exactly SD
kuch arse pehle i learnt something amazing,,, sirf namaz parhna, roze rakhna ibadat karna hi sab kuch nahi hai,, hum apni zindagi jaise guzar rahe hein wohi kaam karte rahein,,, par sirf dil mei iss sachi niyyat se k yeh sab hum Allah miyan ki khushi liye kar rahe hein,,, chahe woh ghar ka kaam ho chahe office ka
apne bachon ki parwarish karo par yeh zehn mei rakh k, k inhein acha aur naik banana hai kyunke Allah miyan ki raza issi mei hai
yeh nahi k unhein money making machine bana do k apna futur bana sakein woh

niyyat ho aur dil mei sachai ho to insaan burai ki taraf jata hi nahi,, aur ibadat aur Khuda ki zaat pe yakeen yeh to saath hai hi
Posted 10 Jun 2005

Ashii says
i just realized iss topic ka title thek nahi hai
Posted 10 Jun 2005

guest. says
sahi kaha !
dil mein sachai/emaan ho tou insaan kabhi bhi burai nahin kar sakta!!!

Posted 10 Jun 2005

kash_beauty said:

yup!..agree SD!

per masla ajj kal yeh hai k loag islam ka sirf woh hisa mantay hein jo un k faiday k liye hai!
baki sab hadayat ignore kar detay hein!
n thy find excuses



True, that's the tragedy - very serious and with severe consequences.

Allah swt says in the Quran: "Then do you believe in a part of the Scripture and reject the rest. Then what is the recompense of those who do so among you, except disgrace in the life of this world and on the Day of Resurrection they shall be consigned to the most grievous torment."

We see the disgrace of ourselves and yet do not recognize it and we are ablivious of what would become of us in the end.
Posted 10 Jun 2005

guest. says
ALLAH..hum sab ko hadayat day
ameen!

Posted 10 Jun 2005

He guides those who seek it. His guidance is a treasure he gives out to those who seek it with sincerity.

Most people make that dua and then complain that Allah did not guide us. It is because they don't want to leave their ways and life styles they don't get it.
Posted 10 Jun 2005

Ashii says
hum bhi yehi kehne lage the SD,,
Allah miyan usse hi hidayat dein ge jisse hidayat chaiye hogi aur jo koshish kare ga

lot of ppl say k jab Allah miyan ki marzi hogi woh seedha rasta dikha dein ge,,,, kamal hai na,,, yani k kal ko Allah miyan puchein ge k ulte kaam kyun kiye to woh ulta Khuda ko bhi kahein ge k jii aap ne hi hidayat nahi di hum kya karein




momin ki zindagi mojahida (koshish) k bagair bekaar hai
han aisa bhi hota hai k kabhi pehl Allah miyan ki taraf se hoti hai,, wakai mei Allah miyan kissi ko khud se seedha rasta dikha dete hein,,, parr uss ka reason kya hota hai koi bhi nahi janta

jo koshish karta hai pa leta hai,,, aur jo pa leta hai woh behtar ki koshish mei lag jata hai
apni taraf se mehnat kabhi bhi khatam nahi hoti,,
Posted 10 Jun 2005

@sall

hadis ka hawala to deN na saath zara.

waisay baat koi shuroo hui thi, kahin aur chali gayi, khair.

now to the discussion, jiss ka jo dil karta hai apna islam bana kar baith jata hai, right? yahan se to saaf saaf nazar aaraha hai ke KISSI ko ab aajana chahiye, jo khuda se hidayet paa kar faisla kar sake ke islam kya hai aur ghalat baaten konsi haiN. right?

Yeh to Allah ki hamesha se sunnat rahi hai ke hidayat logoN ko nabi ke zariye hi deta hai, so woh rasta to "kuch musalman" apne liye khud hi band kar ke baithe, ab hidayat kahaN se aaye? aik sawal hai bass.



Note about my this opinion
Posted 10 Jun 2005

Ashii says
hadees ka hawala
matlab ??



DL,,, aap bhi na ghoooom phir k wahin wapis
hum yeh keh rahe hein k khud se kuch koshish karo,, aur aap keh rahe ho k KOI KAHIN SE AA K...........
yaaarrr,, abt 124 000 paighambar k baad bhi hum kuch nahi samjhe,, kab tak ungli pakar k chalein ge
aur phir nabuwat khatam ho chuki hai doesnt mean k ache log hi khatam ho gae hein,,,, aik cheez wilayat bhi to hoti hai uss ka rasta to khula hai hamesha liye

lekin phir bhi baat to wahin aa gai,, jiss ne koshish nahi karni chahi, kuch nahi samajhna chaha usse Hazrat Mohammad saw bhi seedhe raste pe nahi la sake
hidayat usse milti hai jo hidayat chahta hai



hmmm,,, yeh topic wakai kahin ka kahin ja raha hai
Posted 11 Jun 2005

Freddy says
i think that is for me..........

Posted 11 Jun 2005

hadees ka hawala means, reference. konsi hadees ki kitaab me parrha? ya khwateen digest me parrha?

aap ki ooper ki baaton par buhat se cross questions hain.

pehli baat ke 124 000 paighamber kion bheje gaye? aik hi aana chahiye tha phir to. uss ke baad saare khud hi faisla kar lete kidher jana hai. magar 124 000 aate gaye aur kissi ko aqal nahi aayi aur aakhir thakk haar ke nauzubillah kya ab bhejne hi band kar diye kya?

mere khayal me to Allah ki sunnat hai nabi bhejna, aur kiss tarahn insanoN ko hidayet dee hai. mostly yehi tareeqa hai Allah ka, jisse AAP ne band kar diya, halanke Allah ko khud band karna chahiye.

phir yeh ke aaNhazrat Mohammad (saws) ke aane se pehle bhi to ache log maujood the. even quran me yahood ke kuch logoN ko bhi Allah ne acha qaraar diya. to phir AaNhazrat MOhammad (saws) ko kioN bheja gya?

phir yeh kay, kya Hazur Mohammad (saws) ke aane se pehle wilayat khatam thi kya? agar nahi, to phir nabuwwat kion aayi, wilayat par hi guzara kar lena tha, aur agar pehle band thi wilayat to phir saabit kijiye ke hazrat Mohamamd (saws) se pehle ke log ya tosiraf nabi hote the ya normal se insan aur koi wali tha hi nahi unn me. jabb ke sab musalman hazrat Ibraheem (as) ko wali-ullah ka khitaab dete haiN.

aur yeh baat generaly hi aap samjha deejiye ke quran me kahaN likha hai ke wilayat hi siraf qaayem rahe gi? matlab yeh ke aik sunnat hai Allah ki, jo shuroo se rahi hai, uss ko AAP kiss bina par aik damm se band kar rahi haiN, jabb ke phir bhi aap hazrat Mohammad (saws) ke bad bhi aik nabi ka to intizaar kar hi rahe haiN. ya nahi?
siraf sawal hi sawal hain, bass koi jawab nahi deta, koi hawala nahi deta, siraf dogmatic answers haiN, na koi logic, na koi filosofic and na hi koi religious.

goya zidd to aap par KHATAM hai. (this doesnt mean ke aap ke bad koi ziddi nahi aayega, this means ke aap sabb se barri ziddi ho, hehehe joke kiya hai aqal wala)


Please read this note about my opinion
Posted 11 Jun 2005

Ashii says
khwateen digest
hae mere Allah jiii,, yeh din bhi dekhna tha humein


shataaappp,, hum baad mei dekhein ge kya jawab dein,,
btw yeh hadees 'kashaf ul mehjoob' mei likhi hai
uss book pe aap ko yakeen hai ya nahi that s not my pb

abhi im soooo tired
Posted 11 Jun 2005

SALL said:

btw yeh hadees 'kashaf ul mehjoob' mei likhi hai
uss book pe aap ko yakeen hai ya nahi that s not my pb



hmmm hadees ka original hawala kya hai janab?
kashaf ul mehjoob? doesnt tell me something. it seems to be a collection of some ahadees but according to my knowledge not reference.

is this hadis from bukhari, Muslim, abu daud? otherwise i have to reasearch about kahsaf ul mehjoob.

wassalam
Posted 12 Jun 2005

Ashii says
pff,,
DL u never heard abt that book,, mujhe herat hai

aise to phir me Bukhari or Muslim ka ref bhi de du to kuch log yeh bhi keh sakte hein k woh books Nabi paak saw ne khud thori likhi hein






phir aap kehte ho sab aap k peeche haath dho k pare hein
haath dho k to aap peeche par gae ho,, harr jaga pe AIK USSI difference ko le aate ho harr aik baat mei
i always try to ignore it par aap naa,,,,,,,,,,,,
Posted 12 Jun 2005

heheh baat to ab aap ne ghuma dee. i was just anxious about that book. nothing more. and besides all of this madame, maiN ne yeh kabb kaha ke hadees ko nahi maanta maiN? siraf hawala maang raha tha for my own reference.

ahadees ka aik khaas ilm hai. har hadees nahi maani jaasakti.

bukhari ki aik hadees hai, jo baar baar hai bukhari me: Anhazrat (saws) ne farmaya ke
nahoossat teen cheezoN me hoti hai, ghar, ghorra aur aurat me.

ab yeh hadees bilkul sahee hain, magar choonke quran se clash kar rahi hai iss liye nahi tasleem ki jaasakti. to janab baat yeh hai ke mere assal sawaloN ko na ghumaayeN, kashaf ul mehjoob itni bhi mashhoor kitaab nahi hai jitna aap samajh rahi haiN. ab to khair mujhe pata chal gya hai kiss ke baare me hai. and i like the author, too much. aik hadees e qudsi hai ke Allah bhi har roz apni shaan badalta hai. so for my wn interest, yeh soch kar ke, aap ki kahi hui baat par aitbaar kiya jasakta hai, i asked u the name of book. thanks. now i can refer it further. aitbaar ka banda ho to aadmi baat aage phaila sakta hai na. i was not offending or cross questioning u in this case. so sorry, if it seemed to be like this.

aur iss dafa to aap ne difference ka sawal uthaya hai. difference to hai, iss me kya shak hai bhala. ab doosri postings ke bhi jawab de dijiye. kya khayal hai?
Posted 12 Jun 2005

Ashii says
listen DL

mera kehna ka matlab sirf yeh hai k aap chahe koi bhi topic ho us mei aik yehi masla baar baar le ate hein
zahir hai aap yeh prove karne chahte ho k ap sahi ho,,,
prove wohi karna chahta hai jisse koi shak ho,, par khair aap sahi hoge yar
Allah miyan hum sab ko sahi hone ki hidayat dein



now aap ki pehli post
jahan tak me janti hu,, pehle jitne bhi paighambar aae woh aik kaum k liye aae,, Nabi Paak (saw) poori dunya k logon k liye paigham laae,, Quran pak se pehle bhi kitabein thi par Quran pak hi sab se afzal kyun hai,, pehle bhi Allah miyan k bheje hue Nabi the, magar Khatam e Nabuwwat (hum to yehi mante hein) ka hukum sirf Nabi paak k baare mei aaya
ab aap mujh se pucho ge kahan likha hai,, to sachi baat hai mujhe nahi pta, but i ll try my best to find out

me itna hi janti hu k Islam tamam mazhib ka khulasa hai,, woh sab jo pehle alag alag kaha gaya tha sab aik jaga jama kar diya gaya, with few changes
Quran pak aur Nabi Paak k kahe mei koi tabdeeli nahi ho sakti.... hidayat aik alag cheez hai
kaun kehta hai k humein hidayat ki zaroorat nahi,,, par uss k liye Paighambar ka aana hi zaroori hai kya ??

Quran pak mei bhi aik aur Paighambar k aane ka zikr kahin nahi hai
Allah k bandon k saath hamesha log galt sulook hi karte hein par akhir jeet to unhi ki hoti hai na,,, to aap logon k case mei yeh sab kyun hai

aap ne Khatam un Nabeen ki jo def aik topic mei di thi, woh theek ho shayad,,, par agar aap ki wali def ko bhi sahi maan liya jae to masla to phir wahin hai,
if we have THE BEST to phir kissi aur ki gunjaish kahan aur kyun ho


aik aur baat,,,
""aap ne yeh kar diya, aap ne woh kar diya""
janab me kaun hoti hu kuch karne waali,, hum uss pe amal kar rahe hein jo Quran aur Sunnat ki roshni mei humein sahi lagta hai

one more thing,,, meri opinion ko sab ki opinion na samjha jae plz,,, me ne pehle bhi kai baar kaha hai k kaha suna nahi bolti me, apne zehn mei jo hota hai woh bhi kehti hu,,, aur uss mei galti bhi ho sakti hai kyunke mujhe alham nahi hote



and now plz,, if u want to discuss abt THE DIFFERENCE,,, we can start a new topic
a last thing,, yeh topics mei kissi ko galt sabit karne liye start nahi karti,,, matlab sirf itna hota hai k,,
me ne yeh parha, suna ya socha hai
wot do u think abt it
maqsad sirf baat cheet se samajhna, samjhana aur seekhna hai

agar larai hi karni hai to bata do,, taake hum apne pasandeeda aakhan pe amal kar sakein "everything is right in love and WAR"


cheerrrzzzzzzzzzzzzzz DL
tappooo na hua karo,,, arrogance aap ki achaiyon ko khatam kar deti hai
Posted 12 Jun 2005

Ashii says
nahoosat wali bhi baat khoob hai
me ne to parha hai k Islam mei manhoos ka tasawwur hi nahi hai

khair,,,, yeh baat yahin khatam
imma woman, gusse mei kuch galt hi na keh du
Posted 12 Jun 2005

haha nice said, chalo sulah kar lete hain. cross questions abhi bhi buhat hai, magar topic aap ka hai, kharab nahi karna chahta.

kuch proove nahi karna chahta, siraf batana chahta hun, coz i love pakistani ppl. mere apne haiN. iss liye dard rakhta hun unn ke liye. nothing more. iss liye arguments ki baat karta hun.

nahoosat wali baar buhat baar parrhi to main daNwa dol ho gya ke bukhari jaisi kitaab me yeh sabb kuch. after research i found ke hadees poori nahi thi.poori hadees aap ko doosri kitabon me milegi, matlab hadees ka yeh tha ke, Anhazrat (saws) ne farmaya tha ke zamana jaheliyyat me teen cheezon ki nahoossat maani jaati thi. ab dekh lijiye, kuch words ne hadees hi badal de.

ok. imagine. there are some teachers. they have students. every teacher has the same task, to teach. ab aik sabb se best hai, woh iss liye ke uss ke uss ke students uss se taleem paakar khud bhi teachers bann sakte haiN, this is the proof, that he is the best. and new teachers are not gonna teach something else, wuhi sikhayeNge jo uss best teacher se seekha hai. apne wajood me siraf best hona aur koi proove na dena best hone ka, yeh kya baat hui bhala? i will open later one topic about "khatam" and i will give there references and opinions about the word "Khatam" of all the buzurgs of islam, who were before Ahamadiyya Muslim Jamaat.
Posted 12 Jun 2005

Ashii says
pff,,
thnx for explanation of hadees
warna mera dimag sach mei bohot ghoom gaya tha

upper se Bukhari ka ref diya aap ne
i personaly believe k Islam mei koi na-insafi nahi hai,, agar kahin nazar aati hai to matlab sirf itna k humein samajhne ka parhne mei galti hui hai




DL
back to the topic
SALL said:

Hazrat Mohammad (saw)ka farman :

"mann astawi yauma fahu maghboon"
(sorry for any typing mistake)
jiss k 2 din aik jaise guzre woh ghaate mei raha. (behtri munasib hai)


Posted 13 Jun 2005

@sall

according to a hadees qudsi, i dont have the real hawala here now, Allah is every day in a new shan.

and if we think ke u are reading a book about sufism, we could say, that the hadees which u refer, is right.

a lover will be bored if the beloved person is not changing himself. on the other hand, with the changing of beloved person, a lover must change himself, too. it is an evolution of mind, taqwa(love), ilm and experience and a lot of other things, too.

issi context ki ayet hai ke "naiki me aik doosre se barrho" and a lot of others, too.
Posted 14 Jun 2005

DL, would you mind posting refernce for hadith Qudsi :)
Posted 15 Jun 2005

Reply to Topic
Copyright ©2024 Janubaba.com - All Rights Reserved.- .015