Main kya likhun Mohabbat kaienaati wus'aton se bhi kahien aagay ki laa-Mehdood wus'at hey kisi chehray ko aankhon aor khwabon ki dua par naqsh karna usi k baray sochna aor apni har khwahish ko buss us zaat tak mehdood kar lena Mohabbat hey Thatharti aabshaaron main bujhi thandi hawa sehna shabon k gunbadon main goonjti bay-chaniyon k dermyaan rehna Har ik mosam ko apnay androoni mosamon ki zud main lay aana kabhi mil k kisi se bay-khabar aadhay samandur tak safar karna kabhi tanha kisi sahel pe aa k dair tak lehron ko ginna aor khala main dekhtay rehna Mohabbat hey kisi khoye huye ko ghair-iradi tor per har ajnabi chehray main aksar dhoondtay rehna hamesha bay-Khayali main kitaabon, chand taaron, Badalon per us k baray jhilmilati baat likh dena ya phir likh kar mita dena kabhi rangon ki lehron per usay bay-sot honton se sada dena sada ko baazgasht aor goonj main dhul kar khalaaon se tahi daman palat-tay dekhna aor phir sada Dena Mohabbat hey Main kya likhoon kabhi aisa bhi hota hey bohat hi rooth kar naraz ho kar na pasandeeda khayalon, Nafraton ki ot se ya mukhtalif heelon bahanon se kisi ko jhanktay rehna kisi ko sochtay rehna Mohabbat hey
Age: 124
7795 days old here
Total Posts: 26285
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
kabhi aisa bhi hota hey bohat hi rooth kar naraz ho kar na pasandeeda khayalon, Nafraton ki ot se ya mukhtalif heelon bahanon se kisi ko jhanktay rehna kisi ko sochtay rehna Mohabbat hey