Age: 124
7267 days old here
Total Posts: 714
Points: 0
Location:
,
Pyar karte hain sanam hum had se bhi jyada tumse. Maang le agar to jaan nisaar kar den tujh pe. Tumse milne ke baad kehten hain hum ab sabse. Tumhara khuda hai aasmaan main par mera jameen pe
Age: 124
7267 days old here
Total Posts: 714
Points: 0
Location:
,
Toofan main diya jalta nahin par main jala doonga. agar tumhara pyar mil jaye to duniya ko bhula doonga. Tumhare kadmon pe jindagi ki har khushi luta doonga. Ek baar kah do apna tumhen dil main chupa loonga.
Age: 124
7267 days old here
Total Posts: 714
Points: 0
Location:
,
Jinki yaad mein hum deewanay ho gayeh, Wo hum hi say bayganay ho gayeh
Shayad unhain talash hay ab nayah pyaar ki Kyunkay unki nazar mein hum puranay ho gayeh
Baaki kuch na raha zamaanay mein Jawani guzar rahi mehkhaanay mein Ab to karlay mayray pyaar pay yakeen Warna zindagi beet jaayegi aazmanay mein
Tumhari har adaa ka kya jawab duon Apnay pyaar ko kya badhawa duon Koi acha sa phool hota to maali say mangwata Jo khud gulaab hai usko kya gulaab duon
Waqt humain bhulla chuka hai Mukaddar bhi na bhulla day Hum pyaar isliyeh nahi kartay Kay kahin humain phir say koi na rula day
Aankhon mein aansoo aa jaatay hain Phir bhi laboon pay hansi rakhni padti hai Yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaron Jissay kartay hain usee say chupani padti hai
Age: 124
7267 days old here
Total Posts: 714
Points: 0
Location:
,
Agar mohabbat ki hai mujhse to mujhe apne sare ghum de do. Apne dard apne aansoo sare mujhe mere sanam de do. Khuda se dua hai ab to yehi meri umra bhi tujhe lag jaye. Tumhare hisse ki maut bhi mujhe hi ab mil jaye.
Age: 124
7267 days old here
Total Posts: 714
Points: 0
Location:
,
Chandni chand se hoti hai sitaron se nahi Pyar bhi ek se hota hai hazaron se nahi Kaise tumhe yakeen dilaun ki tumhi mere rahat ho kaise tumko samjhaun ki tumhi mere chahat ho Jahan chahat aur rahat na ho wo pyar nahin Wo sanam sanam hi kya jis par aetbar nahin
Age: 124
7844 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
ADHOORAY KHUWAAB Aik wahma tha dil main Shayad kabhi milo tum kuch dair ruk ker poocho beetay dinoon ka moosam aawaz main ho larzish aankhoon main ho tajassus Mazay ka koi lamha shayad atak gaya ho sab bhool ker bhi shayad kuch yaad agaya ho phir main tumhain bataoon apni khushi ki baatain har dukh ko chupa ker dil main aasoodgi ki baatain wo chand chudhween ka taroon bhari wo aankhain dilkash haseen shamain maasoom wardatain wo piyaar ka tasawwor wo bandagi ki batain Wo rooz rooz marna Aur zindagi ki baatain Tum dukh say muskurao Dheeray say muskurao Dheeray say paas aao Sar ko jhuka kay apnay Chup chaap loot jao Phir main bhi muskuraon Maan kay diyay jalaon Duhraon apnay dil main Taa'luq say haqeeqat Aik khuwab zindagi ka Haan umer bhar jo daikha Kabhi ho saka na pora Younhi rah gaya adhoora Aik khuwab-e-zindagi tha