Asian said:well works for me
act now scream later
new_beau said:To get the answer we should discuss the meaning of the words first...
AQAL is Sense of Understanding
AQAL is NOT wisdom (Which we usually think that this is the meaning)
NAQAL is copying
also
NAQAL means Moving (i.e. Naqal Makaani)
YOU SAID: "Naqal kay liyey bhi Aqal ki zaroorat hoti hay"
Copy kerna ho ya move kerna ho. plan kerna zaroori hay.
Pehlay waali naqal mainn Security aik issue hota hay.
doosri waali naqal mainn Location aik issue hota hay.
Aqal mand insaan yaad iss liyey nahin kerta keh woh socha hay aur analysis kerta hay her cheez ka ..Aur jub woh yeh kerta hay tou sawaal janam letay hainn...Aur jub sawaal janam letay hainn tou RATTA maarna mushkil hota hay..kiyun kay aqal ka taqaaza yeh hay keh Lakeer kay faqeer na bana jaye.
Jo Naqal kerta hay woh bhi sochta hay magar woh Lakeer ko Lakeer hi rehnay deta hay ...sirf yeh dekhta hay keh Doosri waali Naqal kernay say kahin woh Faqeer tou nahin ho jaye ga ??
Aur agar woh pehlay waali Naqal ker raha hay tou Lakeer ko lakeer ki tarah hi kahin lakeer kerna ho tou Aqal ki nahin Art ki zaroorat hoti hay..
Anything else you wanna clarify ??