MOhabbat kya hai??????????

13989 views 227 replies
Reply to Topic
Rapunzel

Age: 125
Total Posts: 51848
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
kya hamari mohabaat kisi ko badal sakti hai?????????

Agar mohabbat mein sachai na ho tu kay wo mohabbat hai????????????
Posted 14 Apr 2006

thanx virdan. but zarrori nahi jab insan apnay under koi change lai to hamesha apni khushi say ya marzi say lata hai har insan jaisa hai waisa he rehna chata hai haan woh apnay pyar k lia khushi kkhushi apnay ap ko badlnay k lia tyar hota hai likin har insan ko apna pyar nahi milta woh sirf compromise kerta hai aur buhut say aisay log hotay hai jo na chatay hoi bhi apnay ap ko badltay hai aur woh khush nahi hotay apnay ap say aur na he us me unka koi faida hota hai.duniya me buhut say aisay log hai jo dosro ki khushi k lia apnay ap ko badlatay hai na khe apni khushi k lia. n i have seen dese kind of ppls woh khud say khush nahi hotay sirf dosro ki khushi me apni khushi dhondhnay ki koshish kertay hai.is lia yeh kehna k insan apnay ap ko is lia badlta hai khe khein na khein us ka bhi faida hota hai yeh ghalat hai
Posted 10 May 2006

Rapunzel says
Virdan said:

Pyar to sada se he sacha hota tha aur hay yeh to hum log isay sacha jhoota kar daitay hain. Nice Comments Samreen Malik.

Laikan ik baat kaho yaad rakhiyay ga insan jo kuchh karta hay apnay liyay karta hay maira matlab yeh nahee hay keh kisi ki khushi k liyay kuchh nahee karta bal keh maira matlab hay keh woh kisi k liyay bhi jo karta hay infact us mein usi ka faida hota yani woh apnay liyay he karta aur aisay lamhay yeh nahee kehna chahyay keh mein ne yeh apnay pyar k liyay kiya hay ya kisi k liyay kiya hay bal keh samajhna aur jan.na chahyay keh yeh to khud us ne apnay liyay kiya hay apnay pyar4 k liyay kiya hay mean apni khushi k liyay he kiya hay na kiyon k us ki khushi us k pyar ki khushi hay to apni zaat ki pehchaan k liyay zaroori hay keh hum apni zaat k khol se bahir aa kar khud ki pemaish karein aur dosro ko is ka moqa dein.

Allah Tala hum sab ko khud ko jan.nay ki tofeeq dein ameen

hmm
baat tu aap ki sahih hai BAhi hum apni hi khushi chahte hain dosre ka itna khayal tu nahi kerte
baaz daffa mein ne note kya hai sirf mohabbat ko mazzaak bana lya jata hai
jo banda pyar kerta hai wo mehboob ki respect kerta hai na
lekin aisa nahi hota
Posted 11 May 2006

Rapunzel says
samreen malik said:

thanx virdan. but zarrori nahi jab insan apnay under koi change lai to hamesha apni khushi say ya marzi say lata hai har insan jaisa hai waisa he rehna chata hai haan woh apnay pyar k lia khushi kkhushi apnay ap ko badlnay k lia tyar hota hai likin har insan ko apna pyar nahi milta woh sirf compromise kerta hai aur buhut say aisay log hotay hai jo na chatay hoi bhi apnay ap ko badltay hai aur woh khush nahi hotay apnay ap say aur na he us me unka koi faida hota hai.duniya me buhut say aisay log hai jo dosro ki khushi k lia apnay ap ko badlatay hai na khe apni khushi k lia. n i have seen dese kind of ppls woh khud say khush nahi hotay sirf dosro ki khushi me apni khushi dhondhnay ki koshish kertay hai.is lia yeh kehna k insan apnay ap ko is lia badlta hai khe khein na khein us ka bhi faida hota hai yeh ghalat hai

hmm
sahih
Posted 11 May 2006

Gauri Khan says
yes it's quite right kay her dafa aap apni khushi kay liay nahi badaltay aap ko baz auqat doosroon ki aur baz auqat is duniya kay asoolon kay tahat chalnay kay liay apnay aap ko na chahatay hoay bhi badalna parta hai for example main her aik say bohot ghul mil janay wali kind ki girl thi laikin main nay apnay experiences say learn kia kay yeh hi baat aksar auqat meray liay ghalat sabit hue to main nay apnay ander change laya aur aaj main kuch reserve rehti hoon aur kisi ko khud say zayada free honay nai daiti aur main nay is kay bohot achay result daikhay hain aaj log kuch bhi meray aagay bol nai daitay. believe me main nay khud main yeh change lanay kay liay bohot mehnat ki hai aap samajh saktay hoon gay kay jo cheez aap ki personality main na ho wo lanay kay liay aap ko kitni mehnat karni parti hai. so meray paas aisi bohot si examples hain jo kay main nay apnay life experiences ki base pay mehsoos kar kay khud main changes lai hain.
Posted 12 May 2006

Virdan says

Samreen aap mairi baat shaid samajh nahee paai yahi to mein ne kaha hay keh apnay pyar k liyay bhi insan jo karta hay woh darhaqeeqat apnay liyay he karta hay kiyon keh us ki sab se zayda khushi apnay pyar ki khushi mein he hoti hay
Posted 12 May 2006

rapunzel said:

hmm
baat tu aap ki sahih hai BAhi hum apni hi khushi chahte hain dosre ka itna khayal tu nahi kerte
baaz daffa mein ne note kya hai sirf mohabbat ko mazzaak bana lya jata hai
jo banda pyar kerta hai wo mehboob ki respect kerta hai na
lekin aisa nahi hota

nahi rapu duniya me kafi log hai jo dosro ki khushi k lia apnay ap ko badaltay hai.haan aisay kuch log hai jo pyar ko mazak bana detay hai aur ik game bana detay hai.per hum sirf aisay logo ki waga say sab ko ik he nazar say nahi dekh saktay buhut say log hai jo aj bhi pyar k sahi matlab jantay hai n dey do respect dere partner also.
Posted 14 May 2006

Gauri Khan said:

yes it's quite right kay her dafa aap apni khushi kay liay nahi badaltay aap ko baz auqat doosroon ki aur baz auqat is duniya kay asoolon kay tahat chalnay kay liay apnay aap ko na chahatay hoay bhi badalna parta hai for example main her aik say bohot ghul mil janay wali kind ki girl thi laikin main nay apnay experiences say learn kia kay yeh hi baat aksar auqat meray liay ghalat sabit hue to main nay apnay ander change laya aur aaj main kuch reserve rehti hoon aur kisi ko khud say zayada free honay nai daiti aur main nay is kay bohot achay result daikhay hain aaj log kuch bhi meray aagay bol nai daitay. believe me main nay khud main yeh change lanay kay liay bohot mehnat ki hai aap samajh saktay hoon gay kay jo cheez aap ki personality main na ho wo lanay kay liay aap ko kitni mehnat karni parti hai. so meray paas aisi bohot si examples hain jo kay main nay apnay life experiences ki base pay mehsoos kar kay khud main changes lai hain.

ur absolutely rite.i have also changed many thing in myself due 2 others n now im not da same samreen who use to be many years ago aur mujhay bilkul bhi acha nahi lagta coz ap jo ho nahi ap ko waisay bana peray to its v hard but still kiya kia ja sakta hai
Posted 14 May 2006

Virdan said:

Samreen aap mairi baat shaid samajh nahee paai yahi to mein ne kaha hay keh apnay pyar k liyay bhi insan jo karta hay woh darhaqeeqat apnay liyay he karta hay kiyon keh us ki sab se zayda khushi apnay pyar ki khushi mein he hoti hay

yeah u r rite aur me apki baat samjh gi thi likin menay yeh baat add ki thi khe insan kabhi kabhi dosro ki khushi k lia bhi apnay ap ko badalta hai zarrori nahi hota khe hamesha woh apni khushi k lia apnay ap ko badlay
Posted 14 May 2006

Virdan says
be shak aisa he hay aksar apnay jazbo mein sachai rakhnay walay log aisa he kartay hwin woh khud apnay pyar k jazbaat k pabnand hotay hain aur kisi bhi sorat us buland mayaar se nahee girna chahtay jis manzil tak Pyar le jata hay Nice Comments Samreen
Posted 20 May 2006

thanx
ur comments r also v nice
Posted 20 May 2006

Virdan says
its ur greatness otherwise i know that i m nothing
Posted 21 May 2006

oh hoooooooooooo kia baat hai g ap ki
Posted 22 May 2006

Rapunzel says
bas bachoo ab ye pyar mohabbat chorro aur ache bache ban jao
Posted 22 May 2006

topic bana ker app nain aik acha kam kiya hum log us ko aur acha bana rahy hain
Posted 23 May 2006

Rapunzel says
mein ne tu topic banaya hai lekin kafi zabardast comments mille hain
Posted 23 May 2006

Virdan says
mairi behan hay he itni zabbardast k achhay reply to milnay he thay
Posted 24 May 2006

Rapunzel says
thanku BAhi
Posted 24 May 2006

chandbabu says
hummmmmmmmmmm

Muhubbat

nice topic Rapunzel
Posted 25 May 2006

Rapunzel says
thanxx i know
Posted 25 May 2006

chandbabu says
rapunzel said:

thanxx i know

I know that What U Know
Posted 26 May 2006

Rapunzel says
Mr donot laugh if u donot have any opinion then this topic is not 4 u
Donnot waste ur time here n donot change the theme of topic
Posted 26 May 2006

chandbabu says
rapunzel

gussa nhi karooo

Aap samjaooo gai tu main samjoon ga na
Posted 26 May 2006

Rapunzel says
Mr donot post such smileys

2nd readpage no 1 u will understand the whole topic
Posted 26 May 2006

chandbabu says
ok

let me check

wait
Posted 26 May 2006

Rapunzel says
Virdan bahi no answer from u
N Samreen
HH tum ab na bolna
Posted 26 May 2006

chandbabu says
hummmmm Muhabbat

Muhabbat eaik kahani hai

like

oun ankoon ka hasna b kiya
jin ankoon main pani na ho

who jawani jawani nahi hi
jis ki ko ee kahani na ho
Posted 26 May 2006

Rapunzel says
kahani aur mohabbat mein bohat farq hai
lafazi aur ishq mein bhi farq hai

baaz baatein na kahein tu bhi ehsaas dila ajti hain aur baaz jazbooon ki hurmat is mein hai k aap unhein unkaha hi rahne do
Posted 26 May 2006

chandbabu says
nahi rapunzel

Aap ko sahi samaj nahi lagi
mere post ki

Muhabbat aik esa jazba hai
jo ankoon k rastai chup k sai
dil main utar tha hai
Posted 26 May 2006

Rapunzel says
acha okz apni apni baat hoti hai apni apni feelings
Posted 26 May 2006

chandbabu says
bilkul sahi
Posted 26 May 2006

Reply to Topic