lakh zabt-e-khawahish k be-shumaar irady houn usko bhool jany k be-panah iraady houn aur us muhabat ko tark ker k jeeny ka
faisla sunany ko kitny lafz sochain houn dil ko us ahat per bermala dherakny se kon rouk sakta hai phir wafa k sehra main us k nerm lehjy aur sugwaar aankhoon ki khushboun ko choony ki justjoo main rehny se rooh tak pighalny se nangy paoun chalny se
kon rouk sakta hai ansoun ki barish main chahy dil k hathon main hijer k musafir k paoun tak bhi choo aao jis ko lout jana ho usko duur jany se rasta badalny se duur ja nikalny se kon rouk sakta hai