mehngai

2812 views 41 replies
Reply to Topic
Shahrukh Khan

Age: 124
Total Posts: 43596
Points: 0

Location:
Netherlands, Netherlands
dukaandaar sahee paisay kama rahe hain pakistan main
Posted 07 Oct 2006

Ashii says
kya karein
unhon ne bhi zinda rehna hai
Posted 07 Oct 2006

BadShaH1 says
kullil pakistanneeen khabeesoon.
Posted 07 Oct 2006

even ramadan main aur mehngai ho gayee hai...itna zulm kar rahey ho..ALLAH tum sabko dekh raha hai...ab sey yeh sab dukaanon ka jaiza lein...yeh nahi key ramadan ke baad bhool jayien
Posted 07 Oct 2006

sun_shine says
mehengai shopkeepers ki wajah se nahi hay iski zimaydaar
government hain.
Posted 07 Oct 2006

mmja says
pak ka away ka awa hi bigdra howa hai khali kisi aik ko kasorwar kehna theek nahin hai
Posted 07 Oct 2006

jo bhi hain
Posted 07 Oct 2006

mmja says
yar uper walay jab apni jebayn bharnay main lagay huway hain to dukaandar sochtay hain thodra hum bhi hath saf kar layn
Posted 07 Oct 2006

jo anti government hai na woh yehe kahe ge :p
Posted 07 Oct 2006

mmja says
ghalt to nahin kehtay na
Posted 08 Oct 2006

kya baqi mulkon main mahngai kabhi nahin hoti
Posted 08 Oct 2006

mmja says
lakin ramadan main zara special offer hoti hai cout kay liay
Posted 09 Oct 2006

kiran says
main bhi heran hon ke pakistan main mehngai itne bhar kaise gai...woh bhi ramadhan main
Posted 11 Oct 2006

mmja says
pak main to yeh ab har saal ki bat hai isliay awam ko bhi tension nahin hoti becharay adi ho gaye hain na or pata hai kay kehnay say kuch farik nahin padrna to fayiada
Posted 11 Oct 2006

nikama says
problem yeh bhi he k we have no consumer's groups or networks to negotiate with the gov. or traders.
plus zubani rona dhona aur baat no body really cares k kitni mehengai hui,dukaanon per her saal pehle se ziada rush hota he...
rote bhi jate hain aur shopping bhi kerte jate hain
Posted 12 Oct 2006

mmja says
yar ager chezayn na layn to zinda kesay rahayn?
dosra yahan koi group banaye aglay din polciay uski woh chetar preet kartay hain kay na pocho
Posted 12 Oct 2006

nida khan says
aslamualkum to all
kasoor becharay shopkeepers ka bhi nahin
unhon bhi to razi roti kamani hoti hai
Goverment bhi is ki responsible hai
Goverment ko chayay kay wo awam ko ziyada say ziyada oppotunities day
magar ulta mengahi bara rahainhian
its not fair
Posted 12 Oct 2006

mmja says
hummmmm meray khyial main apni apni jagha sab ka kasor hai recently karachi main 5oo say zeyiada banday pakdray hain govt nay uskay bawajod kuch nahin huwa woh police ko pesay day kar choot jatay hain bad main jab bhe police chapa marti hai unko pehlay he pata hota hai woh dukanay band kar dayta hain darsal pak ka poray ka pora nazam he kharab ho chuka hai isliay awam ade ho gaye hai
Posted 12 Oct 2006

nikama says
BadShaH1 said:

kullil pakistanneeen khabeesoon.

matlab phir bad1 is right
Posted 13 Oct 2006

Ashii says
yarr waise aik baat
agar itni mehngai hai to phir itni aftar parties ki kya zaroorat hai,, aur eid k 2/3 suits ???
sounds stupid

plus
normaly dekha jae to ramadan mei kharche kam hone chiaye,, coz khana peena kam ho jata hai (ya ho jana chaiye)
par agar logon ko roza rakh k bhi apna zaban ka chaska poora karne ka shok hai to kya karein,, dokandar iss baat ka faeda uthate hein

one more thing
price tab zyada hoti hein jab market mei cheezein kam ho ja'ain,, 14/15 karor ki pop wala mulk abhi tak apni basic zaroorat ki cheezon (gosht, sabzi, aata daal) ko poora nahi kar paya ?????

sirf rone dhone se kuch nahi hota,, kuch karna bhi chaiye
and this time its gvt's responsibility
Posted 14 Oct 2006

mmja says
zarorat ka sab saman hota hai lakin market main nahin layia jata abhe jo chene ka mamla huwa tha is main hamray do char adad badray logoon ka hath tha unke sugar mils the or unho nay chene market main bhejna band karde takay price main izafa kar sakayn
Posted 14 Oct 2006

Ashii says
aik suger mill uncle ko to hum bhi jante hein
Posted 14 Oct 2006

mmja says
un zatay sharif ka name kyia hai
Posted 14 Oct 2006

Ashii says
kyun batau
tum ja k unn ki suger mill go downs pe chaapa marwa do ge
Posted 15 Oct 2006

mmja says
aray itna bhe bharosa nahin hai
mguhay thodre cheni chaye the chaye banaye the na ghar main nahin the socha bhai say udhar manlon jab walid layengay wapis kardonga chene
Posted 15 Oct 2006

Ashii says
mangte
Posted 16 Oct 2006

lynx says
ye th bhanya hain...
Posted 16 Oct 2006

itni serious guftago?
Posted 16 Oct 2006

mmja says
itni serious guftago?
bus yehi to batayn hain hamare
Posted 16 Oct 2006

mmja says
mangte
wesay badray ofsos ke bat hai uper wala apko aik acha kam karnay ka moka day raha hai woh nahin karna gharib insaan ka mazak udrayio bus
Posted 16 Oct 2006

yaar tum logo ne khud mulk ko kya diya hai???
Posted 17 Oct 2006

Reply to Topic