Age: 125
7108 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
na yara har indian or har paki aik jesa nahin hai hum main bhe achay loog hain or un main bhe doste na sahe par kuch logoon ke wajah say sab say nafrat nahin karne chaye
Age: 125
7066 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
yaa you are right.indians aur pakistanis ek doosray se nafrat to nahi keh saktay yani pasand nahi kartay aur is ki waja politicians hain warna wo aapkay achay friends ban saktay hain.mmja jee ne sahi kaha kay fark hota hain achay hum main bhi hain aur un main bhi.
Age: 125
6740 days old here
Total Posts: 382
Points: 0
Location:
China, China
BadShaH1 said:
hate us very much. n we them. we cant b friends ever.?
i personally dnt think i can b friends wid them.
Badshah, meri jaan, suniye, Ye aap par depand karta hei ki aap kin logon ke saath aur kaisa relation chahte hein. I am an Indian and have a big list of pakistani friends. Ache aur bure log to har jagah milte hein. Aur Indians dosti karna aur use nibhana bahut achhi tarah jante hein. Kabhi azmaiega zarror.
Age: 125
7108 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
thk s s and denie ap sahe keh rahay ho mera manna hai kay dunyia main muslims or hindo best do komay hain kyionkay yeh dilkay boht achay or jazbate hotay hain or yehe uinke sab say badre khobe or boraye hai kyionkay poli inkay jazbate pan ka boht fayida othatay hain woh srif apnay fayeday kay liay in dono ko use kartay hain jiske wajah say pak or hindo nazdek nahin a patay
Age: 124
7753 days old here
Total Posts: 10168
Points: 0
Location:
United Arab Emirates, United Arab Emirates
yaar hamara problem yeh hay keh,...Hamaari History aur separation ki wajah say hamaray zehan aik doosray ko accept nahin kertay...Jo Kuchh hua woh sub realty thi..Uss say Inkaar nahin..Magar Poori duniya mainn kayee nationalities jo Pakistani ko achha nahin samajhti..Ya Indian ko Achha nahin samajhtay..Magar hamaraa aaps ka hi panga khatam nahn hota ..Aur aapas mainn Hum inn baatonn mainn peray huwe hainn...
I have many friends from India from all religions....I am absouletly not agree with the opinion of topic starter
Age: 125
7108 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
apkay kehnay kay mutabiq hum loog apne history ke wajah say indian ko acha nahin samghtay to phir to indian bhe apne history ke wajah say hamayn acha nahin samghtay hongay kyionkay hakomat anay pay musilmano nay bhe kuch kum nahin keyia kafron kay sath lakin yeh batay porane hain hamayn aik ache soch ko laykay yeh sab bhulana hoga to he kuch hoga otherwise hamare new jeneration phir apis main ladr rahe hoge
Age: 125
7580 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
well bashi jitni maine chatting ki hai indians se woh suntay hai main paki ho chalay jatay hai but mere frdshiip bi hui hai kafiyo se ziyada nahi per hello hi wali per unhone izat ki hai but most of them hates us but paki nahi kartay hate unko warna unka itna welcome nahihota pak mai itna agreemen ke bad hota ayahai lhr mai hi dekh lo singho ko woh atay hai unko maza ata hai unko koi shikayat nahi hoti yahan kush hote hia
Age: 125
7108 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
well bashi jitni maine chatting ki hai indians se woh suntay hai main paki ho chalay jatay hai but mere frdshiip bi hui hai kafiyo se ziyada nahi per hello hi wali per unhone izat ki hai but most of them hates us but paki nahi kartay hate unko warna unka itna welcome nahihota pak mai itna agreemen ke bad hota ayahai lhr mai hi dekh lo singho ko woh atay hai unko maza ata hai unko koi shikayat nahi hoti yahan kush hote hia medum jab pak kay loog wahan jatay hain to unhay bhe boht welcome mlita hai yeh hai kay woh hum say thodra zeyiada nafrat kartay hain lakin saray nahin or jahan tak visa ke bat hai to woh logoon ka nahin hakomat ka kasore hai again seyiasat
Age: 125
7800 days old here
Total Posts: 31001
Points: 0
Location:
France, France
u know wot,,, yeh baat bilkul sahi hai hum mei se bohot se log indians ko aur indians mei se bohot se log hum ko dil se acept nahi kar sakte
jo log india pak se nikal aae hein unn ki soch alag ho gai hain,, yahan pe hum log khud ko itna alag mehsoos karte hein k jo apne jaisa lagta hai ussi se dosti laga lete hein pak aur india mei halaat aise nahi hein
iss nafrat ki waja sirf hamari history hai and we cant change it,, but we can try for a better futur
i dont think if the main reason is religion its puuuure nationalism,, nothing else
Age: 125
7108 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
yeh bat to hai lakin ab hamayn history ko bhool jana chaye aik to hamara sab say badra masla yeh hai kay hum llog zeyiada padray likhaynhainhain jo hain un main say bhe zeyiada padray likhay jahil hain jiske wajah say woh asal bat ke bajaye chote chote bat ko lay kay pata nahin kyia kartay rehaty hain jab tak hamaray loog move or indian loog sadhyion ke or yeh dono loog seyiasat dano ke bat ke bajaye apna zehan nahin istamal karaynge kuch nahin honay ka kyionkay both countries kay loog boht jazbate hain or zeyiada tar loog bakw areas main rehtay hain jis wajah say yeh hota hai
Age: 125
6740 days old here
Total Posts: 382
Points: 0
Location:
China, China
Humare paas abhi ek doosre ko janne ka jariya kya hei? Jyadatar logon ke liye Media.... Yes or No ?
Indians pakistan ko utna hi janta hei jitna vo media ne use bataya hei. Same thing is your side also.
Media kiske haath mei hei ? siyasatdano ke...(Jyadatar)
Siyasatdat apna faide ke liye is issue ko use karte hei. Unhone jaanboojhkar is issue ko itna hot banaa rakha hei. Isse unko do barre faide hote hei.
1. Is issue ko hot karke us par politics karna. 2. Jab bhi mulk mei koi serius mudda ho jaye, Is issue ko hawa dekar awam ka dyaan asli mudde se hatana.
Mei sochta hoon sirf in faidon ki vajah se siyasatdaan nahin chahte ki ye issue suljhe. Varna mei aese kai Indian aur Paki sayasatdano ko janta hoon jinke personal terms bahut acche hein.
Media agar chahe to hamare rishte behtar ho sakte hei.
Age: 125
7800 days old here
Total Posts: 31001
Points: 0
Location:
France, France
well in a way danie is right but mera khyal 2 main channels k ilawa media sayasatdano k nahi bizmen k hathon mei hai
jo image india ki mere zehn mei bani hai (thnks to their media) woh yeh k sab log harr wakt nachte gaate rehte hein,, kabih mandir mei, kabhi ghar pe, kabhi sarkon pe, even college/office mei bhi how can such ppl hate us
sahi reason mujhe bhi nahi pata par my own family in indai,,,,,,,,, woh log khud ko hum se alag samajhte hein aur hum bhi jahan mulk ki baat aae unn ko khud se alag kar dete hein "waddde indians" keh k
Age: 125
6819 days old here
Total Posts: 1440
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
i dont hate indianz... jabkay i am kashmiri...
baat itni si hay k... ham log sidhay country par chalay jatay hain... like SAREY INDIANS BURAY ..SAREY PAKISTANI ACHAY... sirf kuch baton ko lay kar...
bilkul us tarha jis tarha SAREY MUSLIMS TERRORIST bana diyay hain gher-muslims nay.
is lehaz say UN ki and HAMARI "soch" kitni milti hay ...haina?
jahan tak bat hay HISTORY ko bholanay ki to... jab KHALID BIN WALEED nay islam qabol kia tha to... unhon nay maafi mangi thi k unhon nay Muslmano'n k khilaf jang larhi...to unko JAWAB mila tha k... ISLAM purani sab ghaltiyon ko bhola daita hay.
to agar HAM logon main DOSTI karnay ki ziada khwahish nazar ati hay to yah aik "ACHI" bat hay... Buri nahin :)
end main yahi bolon gi kay... ISLAM hamain nafrat nahin sikhata... khud ko PAKISTANI etc say ziada aik MUSLIM soch kar sochna start kar dain na to nafratain khud kam ho jaengien... kisi ko chorhain... khud ko to change kar saktay hain na ham.. if cant...to kisi behs ka koi faeda nahin.
Age: 125
7108 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
kuch bhe hai mughay nahin lagta pak or india ki dosti ho sakay uski boht sir reasons hain lakjin ameed ki ja sakti hai kay shayed kabhi ho jaye wesay hamayn chaye kay hum musilms pehlay apis main to dosti kar layn sheyia soni say soni wzabi say weghaira weghiara apis main ladrtay rehtay hain bachon wali baton pay pehlay apis kay in mamlat ko soljhayia jaye phir india say dosti ki bari ayege ager iskay beghair hum dosti kay liay jaynengay to kuch fayiada nahin kyionkay jab hum apis main hi dost nahin to phir dosron kay kesay ho saktay hain isi tarahn indians ko bhi apnay ghalt kisim kay samagi farik ko matana hoga or apis main aik dpsray say nafrat khatum karni hogi nahin to hum kuch bhi kar layn koi fayiada nahin hai
Age: 40
8143 days old here
Total Posts: 4177
Points: 0
Location:
Germany, Germany
yeh sahi kaha appne mmj yeh firkoon ki wajah se kitni tabahi phelate hain yeh nahin dhekhte ke islam to itna pyara mazhat hai aman seekhata hai per yahan to sab ne appna appna islam bana liya hai.
Aur jahan tak indians ki baat hai history waqai boohat buri aur bhayanak hai per abb to humain appne dil saaf kerne chahiye ke woh jo kuch hua donon taraf se hua abb hum present ko to acha banaeen kam az kam humare baad ane wali generation to pyaar mohabat se rahai.
Akhir hum yahan bhi to mil jul ker rehte hain her religion ke logon ke saath milte julte hain phir india pakistan main kjun nahin reh sakte.
lets hope for best for us for pakistan and india
Aur mere khayal main to nafrat ki wajah jo ajj kal hai woh filme hain jo pakistan ke khilaaf india main banti hain yah pakistan main bhi banti hongi i have never seen, but i have seen many indian films against pakistan.
Age: 125
7108 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
kafi had tak apki bat say agree karonga humnay apnay mind main yeh bat batha li hai kay hum apis main kabhi dost nahin ho saktay dosra india ka to mguhay nahin pata pak main loog boht unpar hain dosra paray likhay jahil bhi boht hain jo kay apis main hi lartay rehtay hain or zara zara si bat ka issue bana laytay hain jab tak yeh sab kuch theek nahin hoga tab tak kuch nahin ho sakta jahan tak bat hai movies ki to mera nahin khyial is say itna farik parta hai kyionkay ager us say farik parta towoh movies pak main na chalti jo pak kay khalaf hain jabkay esa nahin hai iski sab say bari masal veer zara hai or jahan tak pak jo movies banata hai woh koi sharif insaan nahin daykhta isliay unka itna pata nahin hai mughay
Age: 40
8143 days old here
Total Posts: 4177
Points: 0
Location:
Germany, Germany
phir bhi inko aise movies nahin banani chahiye jo aise asar kerti hain jab logoon koo movies main nafrat dhikhaye jae gi to loogon mind bhi aise hi banain gai ke humne nafrat hi kerni hai aur veerzaara itne khilaf nahin thi appne gadar dhekhi hai loc kargil aur bhi boohat si hain
Age: 125
7108 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
yehi to sara masla hai ager hamarai awam both side ki educated hogi to esi movies ki kheer hai kyionkay mainto esi movies daykh kay hansta hon kay bananay wala kitna bewfqof hai or jahan tak bat hai ghadar or loc ki to yeh itne khatarnak nahin hain jitnee veer zara kyionkay sab jantay hain kay yhe dono movies musilmano kay khalaf hain isliay koi inka asar nahin layta jabkay veer zara ko woh esa nahin laytay jiska asar unko hota hai mean mithe churi like jesay hamarai no jawan nasal goron ko copy nahin karti kyionkay woh unho bora samghti hai jabkay khuwateen star + kay dramay or nojawan bollywood ki movies say boht asar laytay hain ba nisbat hollywood ki movies kay
Age: 50
7070 days old here
Total Posts: 3660
Points: 0
Location:
rawalpindi, Pakistan
jis tarah dost zaroori hote hain usi tarah aik nation-state k liay dushman bhi zaroori he.so most governments deliberately spread this anti-this or that feeling among their masses. as far as indo-pak relations are concerned since pakistan is mostly ruled by army,so the ruling junta has made serious attempts to provoke anti-indian feelings among ppl.they have always portrayed india as the biggest threat for us as that justifies such a heavy defence budget.similarly india is comprised of many states that have their own culture and languages and history and in order to unite them under one flag indian government makes pakistan look like a monster that is hell bent upon eating out india. its really an irony that the ruling military junta in pakistan and most hawkish B.J.P in india had to start up a peace process between the two countries,but i dont see any major break-through coming out of this. HATE KEEPS YOU ALIVE