pak ko koi bhe nahin mila jabkay m.yousif boht catg main tha or uske perfromence bhe apkay samnay hai or pehlay kaha kay beshak m.asif pay ban lag gaye usay award mil sakta hai bad main mukar gay yeh icc nay saf ronde mar hai pak kay sath
Age: 124
7013 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
meri friend kehti hain kay dunya main sirf aik rishta hain jo zindagi kay har raastay main tumhara sath deta hain woh hain Maa ka rishta iskay baad Father ka rishta aata hain aur baaki rishtay kisi kaam kay nahi woh sirf wakti hain.do you agree?
Age: 124
7055 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
kafi had tak lakin pora nahin mainay esi mayen bhi daykhi hain jo apnay fayeday kay liay bachon kay sath bora karti hain or baz dafa hamayn koye esa mil jata hai jo hamara apna to nahin hota lakin time pay apno say bharkay sath dayta hai insaneyiat or pyiar abhi dunyia main khatum nahin huwa yeh kahin bhi kisi bhi rishtay main mil jata hai
Age: 124
7013 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
ab mera opinion yeh hain kay dunya main koi bhi rishta mukar sakta hain laikin apni Maa ka nahi.unkay bachay jaisay bhi ho wo hamesha unkay liye haazir hoti hain. aur baki rishtay jaisay achay friends etc yeh kismat se miltay hain.
Age: 124
7055 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
agree lakin sometime esay yar loog mil jatay hain qismat say jo qismat say hi mil saktay hain or jahan tak bat hai maa ki to woh hum main say aksar kay pas hoti hai isliay hum unki woh kadar nahin kartay jo kay karni chaye
Age: 124
7013 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
yaa apni sari friends say. hum 16 best friends hain school aur college kay zamanay say.hum sabhi apni personal baatein aik doosray se share kartay hain.
Age: 124
7013 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
waisay kuch school kay zamanay say best friends hain jabkay kuch college kay zamanay say.aksar ki engagement ho chuki hain jab kay meri ek friend ki kuch months pehlay shaadi bhi ho gaye.hum sab baatein share kartay hain. ab aap bataye kay aap apni baatein kin say share kartay hain?
Age: 124
7055 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
main kisi say apni batayn nahin share karta mera aik dost hai 9 saal porana su say bhi aik limit say zeyiada share nahin karta main apni batayn apnay tak hi rakhna pasend karta hon
Age: 124
7055 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
kafi had tak yeh bat sahi hai lakin har insaan ki apni personality hoti hai kuch loog chatay hain kay woh apni batayn dosron kay sath share karayn jabkay kuch loog meri tarahn kay apni batayn srif apnay tak hi rakhna pasend kartay hain