us ne mere seene pe sar rakh ke poocha
jaana! apne jeevan ka woh lamha tou batao
jis ke badle mil sakte hain sabhi taare
daryaon ke saare moti
saawan ki pehli baarish ke saare qatre
ujle chand ki saari kirnain
dharti ke seene se lipte sabhi khazane
saare moasam sabhi duain
phoolon ki rangeen qabayen
patti patti parne wali bheeni khushboo
ism-e-azam
us ne mere seene pe sar rakh ker mujhse poocha
jaana! apne jeevan ka woh lamha tou batao mujhko
jis ke badle sab kuch apna,sab kuch,sab kuch...
apna sab kuch de sakte ho....
main ne us ka matha chooma aur kaha CHUP!!!
aaj pehle baar tum ne apna sar mere seene per rakha hai....