Bahut kashish hai . . .. Aankh mila kar phir, unhe muskura ke jhukane mein, Bahut kashish hai yuun, nazakat se sharmane mein. Hazaaron naghme fiza mein bikhar gaye jaise, Bahut kashish hai unko labon par sajaane mein.
Naram kalaaiyon mein pehni hai rangeen churiyaan, Bahut kashish hai un haathon ki mehndi rachane mein. Gulaab se chehre ko, Zulfon ki chhav mein hai chupaya, Bahut kashish hai aise mei chehre ke muskurane mei Faasley hain itne, K milne ki surat na dikhai de, Bahut kashish hai lekin in faaslon ke fasaane mein Sharaab bahut buri cheez sabhi jaante hai, lekin Bahut kashish hai peene ke liye maykhane jaane mein [^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^]
Age: 46
7852 days old here
Total Posts: 37
Points: 0
Location:
lahore, Pakistan
This is fintastic! u have a great taste of poetry! <><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><> <><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><>
Chehre pe mere zulf ko phelao kisi din! Kya roz garjte ho baras jao kisi din! Razon ki tarah utro mere dil mein kisi shub! Dastak pe mere haath ki khul jao kisi din! Pairon ki tarah husan ki barish mein naha lon! Badal ki tarah jhoom k ghar aao kisi din! Khushboo ki trah guzro mere dil ki gali se! Phoolon ki tarah mujh pe bikhar jao kisi din! Guzrein jo mere ghar se tu ruk jaein sitare! Is tarah meri raat ko chamkao kisi din! Mein apni har aik saans isi raat ko de don! Sar rakh k mere seeney pe so jao kisi din!
Age: 124
7825 days old here
Total Posts: 610
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
awwwwwwwwwwwwwwww this is really sucha gr8 poetry Fasi jee? :):):) hai Allah muj se ucheee choice tao app kee hey poetries mey. mai tao buss try maarti hon. hehehehehe well thanks alot k appriciating my poetries. and pls u also keep posting ur lovely poetries here theek hai, will look forward to read more of ur poems! tk crs of ur self
Age: 41
7870 days old here
Total Posts: 3523
Points: 0
Location:
hurst, United States
hehehehe humari bhi sun leigiey
Zara muskura ke naqab utha tujey shouk nigahoun ka salam hai Jo nazar nazar ko pila gai muejey us ki nigahoun se kaam hai Terey chune ke baad kiya kahoun kiya ho gaya hai chaman ki har kali khil ke gulab ho gai hai Terey hountoun se takra ker shabnum bhi sharab hogai hai Teri aankhoun se peenay ke baad meikahne mein janat ki raat ho gai hai