Fairl_Girl
Age: 124
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Masoom Mohabbat ka bas itna Fasana hay,
Kaghaz ki Hawaili hay aur Baarish ka Zamana hay...
Kya shart-e-mohabbat hay, kya shart-e-zamana hay,
Awaz bhi Zakhmi hay aur Geet bhi gaana hay...
Us paar utarnay ki Umeed bohat kam hay,
Kashti bhi Puraani hay aur Toofan ko bhi aana hay...
Samjhay ya na samjhay wo Andaaz Mohabbat kay,
Aik shakhs ko Aankhon say Shair sunana hay...
Bholi si Adaa koi phir 'Ishq' ki, zidd par hay,
Phir 'Aag ka Darya' hay aur 'Doob' kay jana hay...!!!
Fairl_Girl
Age: 124
7538 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Teray Pyar Ki Arzoo Thi Jo Mujhay Mil Na Saka
Dil Main Wo Phool Sajaya Jo Kabhi Khil Na Saka
Basi hai Ik Hi Moorat Meray Dil Main
Khoya Jo Usey Phir Wesa Koi Kabhi Mil Na Saka
Chupaya Hai Tujhay Pelkoon Main Khuab Ki Terhaan
Meri Ankhoon Ke Samander Ko Kinara Mil Na Saka
Dil Ke Raaste Main Koi Is Terhan Se Na Bhetke
Ke Doobta Hi Chala Gaya Koi Sahara Mil Na Saka
Teri Chahat Main Janey Kitni Door Nikal Gai Hoon Main
Per Meri Kismat, Ik Pal Ko Bhi To Meray Sath Chal Na Saka
Hai Ye Meri Dua Ke Sada Aabad Raho Tum
Milay Her Wo Sukh Tumhain Jo Mujhay Kabhi Mil Na Saka