Doctor Sam said:
To agar aap kisi ko koi achi baat batao jisko mannay main koi nuqsan nahi hai , ya kisi buri baat se roko jis ko chord dene se bhi koi khaas masla nahi ho raha, Tab bhi log bajaye baat mannay k sawalaat shuru kar dete hain, ye kese hai, ye kya hai ... etc etc.. most of them are useless questions.
Agar kisi ko koi baat nahi manni to na maanay but we should not start ARGUING.
friend_16 said:Allah Tallah k bohat say specific names hein jaisay "Al-Rehmaan" Rehmat kernay wala..
is tarhaan dosri taraf "Al-Muntakim" intikaam lainay wala..
is ye ye matlab tu nahi hai k Wo sirf Rehman Hai ya sirf Muntakim hai..
baazi got a point here k sirf "Opper wala" tu nahi keh rahay tu koi problem nahi hai..
May Be said:
and Baazigar, Quran-e-pak mai to yeh bhee aya hai "aur mai tumhari shahrug sai bhee ziada qareeb hoon" ap woh reference kyoun nahi use kartay aur qareeb wala kyoun nahi kehtay?
May Be said:Friend_16 said keh Al-Rehmaan aur Al-mutaqim. kya Allah ka koi ism-e-mubarak hia jis ka matlab ho oper wala???
May Be said:i guess ap nay iman-e-muajamil ka tarjuma parhnay ki zarorat mehsos nahi ki. us mai zuban aur dil donon sai iqrar ki baat ho rahi hai. ap zuban sai kahain oper wala to chahay ap kay dil mai ho jo bhi niyat ho zuban kay iqrar mai "oper wala" a raha hai.
Bazigaar said:
May Be said:
and Baazigar, Quran-e-pak mai to yeh bhee aya hai "aur mai tumhari shahrug sai bhee ziada qareeb hoon" ap woh reference kyoun nahi use kartay aur qareeb wala kyoun nahi kehtay?
kiya app ko zayada pata hae ke mae kareeb wala nahi kehta? Khuda kareeb bhi hae, door bhi hae, ooper bhi hae, neechay bhi hae...everywhere...
plus baaat ho rahi hae ooper walay ke..and i gave u a hadees where Holy Prophet (PBUH) ne bhi asee baat ke hae
Bazigaar said:
May Be said:Friend_16 said keh Al-Rehmaan aur Al-mutaqim. kya Allah ka koi ism-e-mubarak hia jis ka matlab ho oper wala???
dat was an example...k kiya Khuda ko en dono namoon mae se ek pukarna dosray ke nafi nahi ho ge according to your school of though?
Bazigaar said:
May Be said:i guess ap nay iman-e-muajamil ka tarjuma parhnay ki zarorat mehsos nahi ki. us mai zuban aur dil donon sai iqrar ki baat ho rahi hai. ap zuban sai kahain oper wala to chahay ap kay dil mai ho jo bhi niyat ho zuban kay iqrar mai "oper wala" a raha hai.
jab mae zubana se keh raha hoon ooper wala, dooo dil mae bhi neeyat yehee hae ooper wala...
BUT...na zaban se na he neeyat mae i am saying k oooper wala aur sirf ooper wala...i am not limiting God's presence am I?
jab hum namaz parhtay hain to ka'aba ke taraf he kiyoon sajda kertay hain....kiya Khuda har jagah mojod nahi hae? to phir sirf Ka'aba ke taraf sajda kerna Khuda ke har jagah honay ke nafi nahi kerta? kiya Ka'aba ko Khuda ka ghar kehna es baat ke nafi nahi hae k Khuda har jagah rehta hae?
answer is..no...cuz we r not saying specifically that Khuda lives ONLY there...esee tarah...when someone says ooper wala...he is not saying God is only ooper...not limiting...
well, this is all i gotta explain...sab ke apni apni samajh hae...either way...peace
Ashii said:yaaarrrrrrrrrr
kufr k fatwe itne araam se nahi de diya karooooo mere bachoo
kuch to Khuda ka khauf karoooo
kal ko aap kaho ge k "do jahano ka mailk" kehna bhi kufr hai
kyun k iss mei Allah ki baki siffat nahi aati
Allah kehna behtar hai, par baki naam se pukaarne mei bhi koi burai nahi.. Khuda, upper wala, Rehman, Raheem....
yeh sab ussi k naam hein,,
bazu is abs right,,,
aap k hisab se to kaaba ya masjid ko Khuda ka ghar kehna bhi kufr hua kyun k Allah ki zaat kissi jaga ki paband nahi hain
aap ne aik achi baat batane ki koshish ki,, this is great,, i agree ALLAH kehna hi behtar hai
par itna araam se aap ne upper wala kehna ko kufr keh diya
i dont like it