Oper Wala

12129 views 29 replies
Reply to Topic
May Be

Age: 124
Total Posts: 1036
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Yeh aik bohat hi hasas mo-amla hai. aksar logon ko Allah ta-ala ki zaat kay liye word "OPER WALA" istemal kartay howay suna jia hai jo kuffar kay zumray mai aata hai. aur kufar baknay per tajdeed-e-iman ki shart laago hoti hai. agar kisi kay nikah mai hai to kufar baknay sai nikah batil ho gya aur isi tarah sari ibadat zaya chali gai.

Allah ta-ala ki zaat har jagah, har waqt mojod hai aur yeh sift-e-Ilahi hai. Isi tarah deegar safat per bhee yahi baat laago hoti hai.

Allah ham sab kay iman ki hifazat farmae. Aamin
Posted 13 Sep 2007

Doctor Sam says
I dont know. Hamain Allah Ta'ala ko ALLAH kehte huye kya hota hai, jo hum GOD, OOPER WALA aisay words use kartay hain..

"ALLAH" ALLAH ka zaati naam hai, aor doosri baat ye Quran-e-Pak main bhi aaya hai so jab bhi koi Allah kehta hai to usay Quran ka lafz bolne k hisaab se nekiyan bhi milti hain..

V GOOD TOPICS MAY BE... IT IS UR TOPICS WHICH BRINGS ME HERE ...    
Posted 13 Sep 2007

i personally never seen a muslim saying OPER WALA...but we should say ALLAH...ALLAH IS GREAT
Posted 13 Sep 2007

Doctor Sam says
I have seen people , in dramas ...
Posted 13 Sep 2007

paki drama? never heard
Posted 14 Sep 2007

May Be says
Allah woh waqt na hi lae keh kisi muslim kay samnay aisay kalmat kahay jaen. kyoun keh sun-nay per aur phir bolnay walay ko na roknay per bhi Iman kay jatay rehnay kay ahkamat miltay hain.

it was just an example. ALLAH ta-ala ko kisi khas jagah per mehdood nahi kaha ja sakta, is sai kalma toheed ki first part ki nafi ho jati hai i.e. LA-ILAHA ILLALLAH.

Yeh Iman ki sharaait mai sai hai keh ham Allah ta-ala ki TAMAM SIFAT per bhi zuban aur dil sai iman laen.




Thanks doctor for ur comments and appreciation.
Posted 14 Sep 2007

Bazigaar says
i don;t see anything wrong with calling ooper wala...

reason: like u said..Allah ke sifaat hain...we can call him with whatever right? now God is everywhere, up, doan, lef, right...everywhere...so if we call it ooper wala..nothing wrong with it...we r not saying "sirf ooper wala"...but saying ooper wala...kaheen aur bhi ho sakta hae...but like i said..jis tarah se marzi bula lo...

last but not least...it;s not about how u call him..it;s about neeyat...neeyat kiya hae...i am sure u must have heard the story of Moses (AH) & a goat/sheep hearder
Posted 14 Sep 2007

May Be says
If u see last part of Iman-e-mujamil "Bil-lisan -e - wa - tasdiq-um- bil-qalb"

very clearly zuban sai aur dil sai iqrar ki baat ho rahi hai. jab zuban sai "oper wala" kaha gya to "la-mahdood" sift ki foran nafi ho gai. kyoun kay har jagah ko oper kay barabar nahi kaha ja sakta.

WE CANNOT CALL HIM WITH WHATEVER.

once again i would clear it keh sifat-e-ilahi ki nafi na karnay baat ho rahi hai. that was just a single example.

Posted 14 Sep 2007

friend_16 says
Allah Tallah k bohat say specific names hein jaisay "Al-Rehmaan" Rehmat kernay wala..

is tarhaan dosri taraf "Al-Muntakim" intikaam lainay wala..

is ye ye matlab tu nahi hai k Wo sirf Rehman Hai ya sirf Muntakim hai..

baazi got a point here k sirf "Opper wala" tu nahi keh rahay tu koi problem nahi hai..
Posted 14 Sep 2007

Doctor Sam says
I feel v sorry for one thing... Hamara sab se bara masla ye hai k .. Agar aap kisi k sath koi achi baat share karo..( jesa k Hukm hai, Hadees-e-Mubarka ka mafhoom hai, K musalmaan ummat sab se behter hai,ye log neki ka batatay hain aor buray kaaam se roktay hain i.e AMAR BILMAROOF NAHI ANIL MUNKAR) ..

To agar aap kisi ko koi achi baat batao jisko mannay main koi nuqsan nahi hai , ya kisi buri baat se roko jis ko chord dene se bhi koi khaas masla nahi ho raha, Tab bhi log bajaye baat mannay k sawalaat shuru kar dete hain, ye kese hai, ye kya hai ... etc etc.. most of them are useless questions.

Agar kisi ko koi baat nahi manni to na maanay but we should not start ARGUING.

Agar aap log OOPER WALA nahi kahain gay to kya masla hoga aap k sath... is baat pe bhi behas its really tragic ...

Achi baat maan leni chahiye..

Posted 14 Sep 2007

Doctor Sam says
I agree to u MAY BE.. ye choti choti baatain bohat imp hoti hain...
Posted 14 Sep 2007

Bazigaar says
when God says himself k I am above u (offcourse he says i am everywhere too, but ooper wala kehna everywhere honay ke nafi nahi kerta)...to us ko ooper wala kehnay mae kiya masla hae?

From Quran:

"And when Allah said: 'O Jesus! I will take you and raise you to Myself'."[3:55]

"To Him ascend (all) the goodly words, and the righteous deeds lift them."[35:10]

Hadees:

Abdullah ibn Amr ibn Al-As related that the Messenger said, "Allah grants mercy to the merciful. Be merciful to those who are on the earth, (then) He Who is fis-Sama (above the heavens) will be merciful to you." [Abu Dawood & At-Tirmidhi]

Jabir ibn Abdillah said: "The Messenger of Allah said in his speech on the day of Arafah: 'Did I convey (the Message).' They said: 'Yes.' While raising his finger to the sky and then pointing at them, he said: 'O my Lord, be a witness." [Muslim]




now can u tell me why did Holy Prophet raised his finger to the sky? now I don't understand should I follow Holy Prophet (PBUH) who is calling God He Who is fis-Sama or listen to u guys who r stoping from it? U decide
Posted 14 Sep 2007

Bazigaar says
Doctor Sam said:


To agar aap kisi ko koi achi baat batao jisko mannay main koi nuqsan nahi hai , ya kisi buri baat se roko jis ko chord dene se bhi koi khaas masla nahi ho raha, Tab bhi log bajaye baat mannay k sawalaat shuru kar dete hain, ye kese hai, ye kya hai ... etc etc.. most of them are useless questions.

Agar kisi ko koi baat nahi manni to na maanay but we should not start ARGUING.



jab ek baat kisi ke samajh mae na aye to i don;t see nay problem with asking questions...it;s not called arguing and as i said...meri adat hae jab tak mere samnay koi baat clear na ho and i am not satisfied with it, i don;t agree with it...and it;s not arguing...it's called satisfaction

also...u said k ghalat baat se rokna..u guys think ooper wala kehna ghalat baat hae...i think k es ko ghalat baat kehna ghalat baat hae....i am simply giving my view point
Posted 14 Sep 2007

Bazigaar says
friend_16 said:

Allah Tallah k bohat say specific names hein jaisay "Al-Rehmaan" Rehmat kernay wala..

is tarhaan dosri taraf "Al-Muntakim" intikaam lainay wala..

is ye ye matlab tu nahi hai k Wo sirf Rehman Hai ya sirf Muntakim hai..

baazi got a point here k sirf "Opper wala" tu nahi keh rahay tu koi problem nahi hai..



excatally..dat was my point!
Posted 14 Sep 2007

friend_16 says
human right hai to know.. whats right and whats wrong. agar kuch bataya hai tu logic bhee honi chahyee us ko ghalat kehnay ki..

well .. dr sam .. agar app ko lag raha hai k itni choti se baat par behas ho rahe hai ... tu is tarhaan tu society mein itni buriyaan hein wo tu discuss nahi ki jaati laiken yahi choti choti baat kehnay say mana ker dia jata hai ..

waisay bhe niyat count kerti hai.. kis niyat say kaha ja raha hai.. and i don't find anything wrong in saying HIM "Opper Wala"
Posted 14 Sep 2007

May Be says
i guess ap nay iman-e-muajamil ka tarjuma parhnay ki zarorat mehsos nahi ki. us mai zuban aur dil donon sai iqrar ki baat ho rahi hai. ap zuban sai kahain oper wala to chahay ap kay dil mai ho jo bhi niyat ho zuban kay iqrar mai "oper wala" a raha hai.

Friend_16 said keh Al-Rehmaan aur Al-mutaqim. kya Allah ka koi ism-e-mubarak hia jis ka matlab ho oper wala???

and Baazigar, Quran-e-pak mai to yeh bhee aya hai "aur mai tumhari shahrug sai bhee ziada qareeb hoon" ap woh reference kyoun nahi use kartay aur qareeb wala kyoun nahi kehtay?

Shariat mai ahtiat wajib hai. ap ahtiat wali side chor kar risk wali side per kyoun jana chahtay hain?

Agar aap kay liye theek hai bhee to yeh aik aisa amal hai jis sai sun-nay walay kay gumrahi mai mubtala honay kay chances bohat ziada hai. ap ki dekha dekhi. to ap aisa amal kyoun adopt kartay hain?

ap nay woh bhi suna ho Mansoor Hallaj per kufar kay fatway wala waqia. Un per shariat kay taqazon kay tahat fatwa laga tha. wahan per niyat dekhi jati un per fatwa nahi ana tha.


Wa-akhir-ud-dawana anil hamdo-lillah-e-rabbil-Aalamin


Posted 15 Sep 2007

Bazigaar says
May Be said:



and Baazigar, Quran-e-pak mai to yeh bhee aya hai "aur mai tumhari shahrug sai bhee ziada qareeb hoon" ap woh reference kyoun nahi use kartay aur qareeb wala kyoun nahi kehtay?






kiya app ko zayada pata hae ke mae kareeb wala nahi kehta? Khuda kareeb bhi hae, door bhi hae, ooper bhi hae, neechay bhi hae...everywhere...

plus baaat ho rahi hae ooper walay ke..and i gave u a hadees where Holy Prophet (PBUH) ne bhi asee baat ke hae
Posted 15 Sep 2007

Bazigaar says
May Be said:

Friend_16 said keh Al-Rehmaan aur Al-mutaqim. kya Allah ka koi ism-e-mubarak hia jis ka matlab ho oper wala???



dat was an example...k kiya Khuda ko en dono namoon mae se ek pukarna dosray ke nafi nahi ho ge according to your school of though?
Posted 15 Sep 2007

Bazigaar says
May Be said:

i guess ap nay iman-e-muajamil ka tarjuma parhnay ki zarorat mehsos nahi ki. us mai zuban aur dil donon sai iqrar ki baat ho rahi hai. ap zuban sai kahain oper wala to chahay ap kay dil mai ho jo bhi niyat ho zuban kay iqrar mai "oper wala" a raha hai.



jab mae zubana se keh raha hoon ooper wala, dooo dil mae bhi neeyat yehee hae ooper wala...

BUT...na zaban se na he neeyat mae i am saying k oooper wala aur sirf ooper wala...i am not limiting God's presence am I?

jab hum namaz parhtay hain to ka'aba ke taraf he kiyoon sajda kertay hain....kiya Khuda har jagah mojod nahi hae? to phir sirf Ka'aba ke taraf sajda kerna Khuda ke har jagah honay ke nafi nahi kerta? kiya Ka'aba ko Khuda ka ghar kehna es baat ke nafi nahi hae k Khuda har jagah rehta hae?

answer is..no...cuz we r not saying specifically that Khuda lives ONLY there...esee tarah...when someone says ooper wala...he is not saying God is only ooper...not limiting...

well, this is all i gotta explain...sab ke apni apni samajh hae...either way...peace
Posted 15 Sep 2007

Ashii says
yaaarrrrrrrrrr
kufr k fatwe itne araam se nahi de diya karooooo mere bachoo
kuch to Khuda ka khauf karoooo


kal ko aap kaho ge k "do jahano ka mailk" kehna bhi kufr hai
kyun k iss mei Allah ki baki siffat nahi aati
Allah kehna behtar hai, par baki naam se pukaarne mei bhi koi burai nahi.. Khuda, upper wala, Rehman, Raheem....
yeh sab ussi k naam hein,,

bazu is abs right,,,
aap k hisab se to kaaba ya masjid ko Khuda ka ghar kehna bhi kufr hua kyun k Allah ki zaat kissi jaga ki paband nahi hain


aap ne aik achi baat batane ki koshish ki,, this is great,, i agree ALLAH kehna hi behtar hai
par itna araam se aap ne upper wala kehna ko kufr keh diya
i dont like it
Posted 16 Sep 2007

Doctor Sam says
Aray Ashi.. fatwa kon laga raha hai...? Fatwa dena bohat bardi baat hoti hai.. Mere khayal main to its Just a SHARING... Main ne yahan isliye reply kiya kion k main ne ye parha hai..

k Allah ko ALLAH hi kehna chahiye.. Khuda farsi zubaan ka lafz hai .. aor aap ne notice kiya hoga k Khuda aksar poetry main ya wese aor meanings k liye bhi use karte hain.. to jab Hamain Allah kehne main problem koi nahi hai aor phir ALLAH kehne se hamain nekiyan mil rahi hain to y dont we stop saying other words which are somewhat controversial.. aor agar aap k khayal main doosre words controversial nahi bhi hain, Tab bhi Allah ko Allah kehne main koi problem nahi hai.


Baazi bhai... aap theek kehte hain.. questions poocha bohat achi baat hai, knowledge barhta hai, observation achi hoti hai aor phir jab tak aapko satisfaction na ho , wo kaam karne ka maza nahi aata..
Lekin.. Her cheez her baat ka answer nahi mil sakta, her point ki logic nahi mil sakti.. kuch baatain qs ans aor logics se be-niaz hoti hain... Kya khayal hai aapka ...?

aor F 16. bay-shak niyyat count karti hai. lekin ACTIONS bhi count karte hain .. mujhe sirf ye samajh nahi a rahi thi k Allah kehne main kya problem hai ..?

Otherwise.. zabardasti to nahi ki ja sakti na kisi pe. Har banda apnay aamaal ka khud zimmaydaar hai.. par aik baat main ne pehle bhi kahi thi .. AMAR BILMAAROF AOR NAHI ANILMUNKIR..

and last thing.. agar aap istarah HAR baat ki logic aor answers dhoondne lagain gay to zindagi bohat mushkil ho jaye gi ...


Posted 16 Sep 2007

friend_16 says
pehlay tu app ki last baat ka jawab :

her baat par logic aur answers dhondnay say waqaye zindagi mushkil ho jaiy ge laiken her baat ko answers aur logic k begair accept kernay say kabhee satisfaction nahi milay ge..

Mujay Allah kehnay mein koi problem nahi hai .. par agar kabhee upper wala keh don tu is mein bhe koi problem mujhay nazar nahi aata ..

rahee Niyat ki baat tu app ka kehna sahe hai k actions bhe count kertay hein .. agar niyat sahe ho ge tu amal bhe sahi ho ga..
Posted 16 Sep 2007

May Be says
Bazigaar said:

May Be said:



and Baazigar, Quran-e-pak mai to yeh bhee aya hai "aur mai tumhari shahrug sai bhee ziada qareeb hoon" ap woh reference kyoun nahi use kartay aur qareeb wala kyoun nahi kehtay?






kiya app ko zayada pata hae ke mae kareeb wala nahi kehta? Khuda kareeb bhi hae, door bhi hae, ooper bhi hae, neechay bhi hae...everywhere...

plus baaat ho rahi hae ooper walay ke..and i gave u a hadees where Holy Prophet (PBUH) ne bhi asee baat ke hae


hadith mai fis-sama ki baat howi hai.. fis-sama ka matlab oper wala nahi lia ja sakta. can you tell kay asman kay baad kya hai? kis direction mai jana hai?

Posted 17 Sep 2007

May Be says
Bazigaar said:

May Be said:

Friend_16 said keh Al-Rehmaan aur Al-mutaqim. kya Allah ka koi ism-e-mubarak hia jis ka matlab ho oper wala???



dat was an example...k kiya Khuda ko en dono namoon mae se ek pukarna dosray ke nafi nahi ho ge according to your school of though?


Its not my own school of thought. ap 2 chezon ko mix-up kar rahay hain. 2 sifat mai sai aik ka zikr karna aur aik poori sift mai sai kuch hisa lena are 2 different things.
Posted 17 Sep 2007

May Be says
Bazigaar said:

May Be said:

i guess ap nay iman-e-muajamil ka tarjuma parhnay ki zarorat mehsos nahi ki. us mai zuban aur dil donon sai iqrar ki baat ho rahi hai. ap zuban sai kahain oper wala to chahay ap kay dil mai ho jo bhi niyat ho zuban kay iqrar mai "oper wala" a raha hai.



jab mae zubana se keh raha hoon ooper wala, dooo dil mae bhi neeyat yehee hae ooper wala...

BUT...na zaban se na he neeyat mae i am saying k oooper wala aur sirf ooper wala...i am not limiting God's presence am I?

jab hum namaz parhtay hain to ka'aba ke taraf he kiyoon sajda kertay hain....kiya Khuda har jagah mojod nahi hae? to phir sirf Ka'aba ke taraf sajda kerna Khuda ke har jagah honay ke nafi nahi kerta? kiya Ka'aba ko Khuda ka ghar kehna es baat ke nafi nahi hae k Khuda har jagah rehta hae?

answer is..no...cuz we r not saying specifically that Khuda lives ONLY there...esee tarah...when someone says ooper wala...he is not saying God is only ooper...not limiting...

well, this is all i gotta explain...sab ke apni apni samajh hae...either way...peace

jab niyat aa gai oper wala to phir nechay wala aur qareeb walay kia naoz-o-billah Allah nahi hai?

Qibla roo hona sharait-e-namaz mai sai hai. oper wala kehna pukarnay ki sharait mai sai nahi. Masjid-e-aksa ki taraf monh kar kay bhe namazain parhi gai hain. again ap different thing ko mix kar rahay hain.

and brother deen hamari ya ap ki soch per nahi chalta. jahan tak ehtiat ho karni chahiye.
Posted 17 Sep 2007

May Be says
Ashii said:

yaaarrrrrrrrrr
kufr k fatwe itne araam se nahi de diya karooooo mere bachoo
kuch to Khuda ka khauf karoooo


kal ko aap kaho ge k "do jahano ka mailk" kehna bhi kufr hai
kyun k iss mei Allah ki baki siffat nahi aati
Allah kehna behtar hai, par baki naam se pukaarne mei bhi koi burai nahi.. Khuda, upper wala, Rehman, Raheem....
yeh sab ussi k naam hein,,

bazu is abs right,,,
aap k hisab se to kaaba ya masjid ko Khuda ka ghar kehna bhi kufr hua kyun k Allah ki zaat kissi jaga ki paband nahi hain


aap ne aik achi baat batane ki koshish ki,, this is great,, i agree ALLAH kehna hi behtar hai
par itna araam se aap ne upper wala kehna ko kufr keh diya
i dont like it



"OPER WALA" kahin per bhee nahi aaya keh Allah ka naam hai. agar aya hai to bata dain.

jab is baat sai agree kar rahay hain keh Allah ki zaat kisi jagah mehdood nahi hai to phir oper wala kehnay kay liye logics per logics.

aur agar ap ghaur sai parhain to ham nay kufr nahi kaha. kufar kay zumray mai anay ki baat ki hai jis kay liye ehtiat karna wajib ho jata hai.

Posted 17 Sep 2007

May Be says
come to know latest keh yeh aik ikhtalafi mas-ala hai jis per bohat sai ulma-e-karam mai bhee ikhtilaf paya jata hai. so i want keh is topic ko mazeed discuss na kia jae.

hamara kaam tha achi baat pohnchana. so ham nay pohncha di.

Mods kindly close this topic.
Posted 17 Sep 2007

Ashii says
hmmm,, okk im sorry to call it a fatwa
par mera matlab yeh nahi thaaa
hum kuch emotional ho gae the

yar "upper wala" urdu ki term hai,, obviously Quran pak mei kahin yeh nahi aaya hoga
Upper wala se hum matlab yeh bhi le sakte hein k "woh jo sab se upper/uncha hai"
bohot se log Allah MIYAN kehne ko bhi galt samajhte hein
Khuda kehne par bhi kai objections hein..... aisa lagta hai kuch log Islam ko sirf ARBI (zuban/culture) ka rang dena chahte hein

khair,, I know aap ne yeh topic sahi niyat se shuru kiya hai
sorry to b a bit harsh
Posted 17 Sep 2007

Bazigaar says
i can keep going on and on but i don;t feel like going any further cuz mae ne jo explain kerna tha ker diya and i will keep explaining same thing in one way or another...our thoughts r set...hard to change
Posted 18 Sep 2007

cutefriend says
CLOSD

ON MAY BE s request
Posted 19 Sep 2007

Reply to Topic