kabhi kabhi mere dil mai khayal aata hai k zindagi teri zulfo ki narm chhao mai guzarne paati to shadab ho bhi sakti thi ye teergi jo mere zeest ka muqadar hai teri nazar ki shauo mai kho bhi sakti thi ajab na tha k mai begaana-e-alam ho kar tere ishq ki raanaayio mai kho rehta tera gadaz badan teri neem baaz aankhe inhi haseen fasano mai mahav ho rehta magar ye ho na saka magar ye ho na saka or ab ye alam hai k tu nahi tera gham teri justajuu bhi nahi guzar rahi hai zindagi kuch is tara se jese ise kisi k sahare ki aarzoo hi nahi moheeb saaye mere simt aage barhte hai hayat o mot k pur hol khar zaaro se mai jaanta ho meri ham nafas magar yuhi kabhi kabhi mere dil mai khayal aata hai
Age: 125
6322 days old here
Total Posts: 133
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
shukurya nawazish tashakur karam meherbaan lijye ek or parrhiye tenoo yaad na saadi aayi k khat tenoo ki likhna dil roya te ankh pathrai k khat tenoo ki likhna
Age: 125
6322 days old here
Total Posts: 133
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
bujhti udaasio k hawale liye hue... ab chaand doob jayega haale liye hue.. kah do k is sheher mai zinda hai kuch ghareeb. sookhe labo pe sookhe niwale liye hue......
Age: 125
6322 days old here
Total Posts: 133
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
mujh ko ruswa to sar-e-mehfil na karwaya kare kaash aanso meri aankho mai hi reh jaaya kare ae hawa maine to bas is ka pata poocha tha ab kahani to na har baat ki ban jaaya kare bas bohat dekh liye khwaab suhane din k ab wo baato ki rafaqat se na behlaya kare ik museebat to nahi tooti so ab is dil se jis qayamat ne guzarna hai guzar jaaya kare jis k khwaabo ko mai aankho mai saja kar rakhoo is ki khushboo kabhi mujh ko bhi to mehkaya kare
Age: 125
6322 days old here
Total Posts: 133
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
kaash mai tere haseen haath ka kangan hota to barre pyaar se chao se barre maan k saath apni naazuk si kalayi mai charhati mujh ko aur betaabi se furqat k khazan lamho mai tu kisi soch mai dobi jo ghumati mujh ko jab kabhi mod mai aakar mujhe chooma karti tere honto ki mai hiddat se dehek sa jaata raat ko jab kabhi tu neendo k safar par jaati marmaree haath ka ik takya banaya karti mai tere kaan se lag kar kai baate karta teri zulfo ko tere gaal ko chooma karta jab bhi tu band qaba kholne lagti jana apni aankho ko tere husn se khaira karta mujh ko betaab sa rakhta teri chaahat ka nasha mai teri rooh k gulshan mai mehekta rahta mai tere jism k aangan mai khanakta rehta kuch nahi to yahi benaam sa bandhan hota kaash mai tere haseen haath ka kangan hota
Age: 125
6322 days old here
Total Posts: 133
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
kaash ab ye kia kare koi be takaluf mila kare koi nizaam-e-doraan mai barhami kiu hai? kaash itna pata kare koi ALLAH ALLAH wo kaif-e-baar-e-nazar dawa-e-hosh kia kare koi? dil ho roshan to bazm ho roshan shama roshan kia kare komahw-e-aaina jamal hai wo naqsh-e-hairat hua kare koi aarahi hai sada dar-o-rasan rasm-e-ulfat ada kare koi zindagi ki haqeeqato ko ae kaash! hum se pooche khuda kare koi
Age: 125
6322 days old here
Total Posts: 133
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
humne khushboo ki tara dukh bhi ikhatte dekhe safha-e-zeest ko paltoge to yaad aaoonga isi andaaz se hote the mukhatib mujhse khat kisi or ko likhoge to yaad aaoonga sard raato k mehekte hue sannato mai jab kisi phool ko choomoge to yaad aaonga ab to ye ashk mai honto se chura leta hoo haath se khud inhe ponchhoge to yaad aaoonga shaal pehnaaiga ab kon december mai tumhe? baarisho mai kabhi bhegoge to yaad aaonga is mai shaamil hai mere bakht ki taareeki bhi tum siya rang jo pehnoge to yaad aaoonga