Fairl_Girl said:
Safar Tanha Nahi Kartay
Suno Aisa Nahi Kartay
Jisay Shafaaf Rakhna Ho
Usay Maila Nahi Kartay
Teri Aankhein Ijzat Dain
To Hum Kya Nahi Kartay
Bohat Ujaray Huay Ghar Per
Bohat Socha Nahi Kartay
Safar Jis Ka Moqadar Ho
Usay Roka Nahi Kartay
Jo Mil Ker Khud Se Kho Jatay Hain
Usay Ruswa Nahi Kartay
Chalo Tum Raaz Raho Apna
Tumhain Afshaan Nahi Kartay
Ye Pair Kaisay Hain
Jo Saya Nahi Kartay
Jo Dhun Ho Ker Guzarnay Ki
To Phir Socha Nahi Kartay
Kabhi Hasne Se Dartay Hain
Kabhi Roya Nahi Kartay
Teri Aankhon Ko Partay Hain
Tujhay Dekha Nahi Kartay
Sehar Se Pooch Lo Mohsin
K Ham Soya Nahi Kartay
Fairl_Girl said:
Mohabbat Nahi Rahi ...
Tum hum say yah kahtay hoo, Mohabbat Nahin Rahi
Tum hi Badal Gay hoo, Yaa Woh Ulfat Nahin Rahi
Har Baat Pay Taana, har Andaaz main Gussa
Kiyun Saaf Nahin Kahtay, Mohabbat nahin Rahi
Gheron pay Karam, Apnoon pay Sitam kartay Hoo
Phir Shaan say kahtay, hoo Qurbat nahin Rahi
Sehra main Tapish main, jab Tum nay Humain Choora
Is Husan kay Bazaar main, woh Qeemat nahin Rahi
Maana kay Hum say, bhee buhat Galatiaan howee
Shayad kay Dar-Guzar, ki Tumhain Aadat nahin Rahi
Manzar too wohee hai, halat hain Badlay
Shayad kay Ishaq-e-Yaar, ki Zaroorat nahin Rahi..!
May Be said:thx u dear